November 10, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1726
Bheetar Ka Dwaar
Jis jisko socha apna
Veh hota gaya begaana
Apnapan hee lagne lagaa sapna
Aisa hua zamaana.
Karmon ka khel
Aatmaaon ka mel
Maya ka jail
Duvidhaaon kee bel.
Guruji ne liya sharan mein
Poori madad dee dharma-sankat ke haran mein
Saralta mein khushi ka raasta dikhaaya
Anaasakti mein shakti ka rahasya bataaya.
Kuch lamhon mein ye ho sakta nahin
Isliye hee toh kehte hain isey ek safar
Neeyat parishram prayaas ho sahi
Aur Guruji kee kripa ka hota rahega asar.
Guruji par rakhein shraddha aur vishwaas
Guruji Hain apne, Unhee se karein dil kee baat
Doosre samjhein aur saath rahein, chod dein iskee aas
Guruji ne thaama hai haath, Ve sada denge saath.
Sabhi mein Shiv Hain
Sabhi se karein pyaar
Kisee kisee ko bheetar jaane kee aas hai
Kisee kisee ko baahar mil jaata hai sansaar.
Kyun ummeed rakhein sansaar se
Kyun rangein rangg mein sansaar ke
Guruji ke rangg mein rangg jaayein
Aur judey rahein Guruji mein basey Parwardigaar se.
Parwardigaar kaheen duur nahin Hain
Hain Ve hamaare bheetar
Hamaari atma Paramatama ka hee ansh hai
Jaise paani se alag nahin hai sikar.
Zindagi sikha degi chalte chalte
Ki rangg badalta rahega sansaar
Sadhna sikha degi badhte badhte
Ki sabse sundar hai bheetar ka dwaar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja