November 12, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1728
Samta Ke Deepak Se
Koi udaas hokar bhatak gaya hai
Koi khushi se apne buss mein nahin
Koi niraasha se bebas hai
Koi asha lekar baitha hai kaheen.
Kisee ka dil toot gaya
Kisee ka saathi rooth gaya
Koi doojon sangg jud gaya
Koi doojon se mud gaya.
Koi desh chod kar chala gaya
Koi laut kar aaya vaapis
Kisee ko thikaana mil gaya
Koi reh gaya laavaaris.
Koi bhautikvaad mein gum hai
Koi khayaalon mein gumsum hai
Koi bheed dhoondh raha hai
Koi ekaant kee talaash mein hai.
Sabhi ke liye thoda theherna aur rukna
Sabhi ke liye Srishti ke maalik ke naman mein jhukna
Ho kitna achchaa
Chaahe veh ho bada ya phir bachcha.
Jisne Srishti kee rachna kar ke usey sambhaala hai
Jisne hum sabko banaaya aur paala hai
Jo na bhi dikhe toh bhi sabse shaktimaan hai
Jisey ateet, vartmaan, aur bhavishya ka poorna gyan hai.
Beshak bhinn bhinn hain roop Unke
Aur alag alag hain Unn Vidhaata ke naam
Divya jyot vahee hai sab mein
Jo karti hai har jann ka kalyaan.
Guru hee kara sakte Hain
Is divya jyot ke darshan
Tabhi toh Guruji sikhaate Hain
Dhyan se bhi pehle simran.
Simran ke bahaav mein beh kar
Mann pavitra honei lagta hai
Simran ke har kshan se
Mann mal rahit honei lagta hai.
Simran se dhyan
Dhyan se samta
In sabse badhti hai
Atma kee kshamta.
Aayengi chunautiyan
Aayenge imtehaan
Tabb kaam aayega shraddha poorna prayaas
Aur Guruji kee raza par beshart vishwaas.
Maana ki yeh nahin aasaan
Lekin isee se hoga vikaas
Varna toh bujh hee na paayegi
Vishay kee pyaas aur aas.
Samta mein hee kshamta hai
Bhedbhaav se rahit honei kee sundarta hai
Isee mein santulan bastaa hai
Yahee mukti ka raasta hai.
Banee rahe Guruji kee mehar
Mann anubhav kar paaye samta kee sehar
Andhera mitt jaaye, ho ujaala sanatan
Samta ke deepak se prakaashit ho jaaye mann.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja