November 13, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1729
Aayegi Veh Bela
Sansaarik chakra mein bhraman se
Baar baar ke janam maran se
Milegi hamein azaadi ek din
Na milegi par ye Guru ke bin.
Anivaarya hai, kewal zaroori nahin
Hamaare liye achcha hai, chaahe majboori hee sahi
Guruji kee maan-na
Na ki kewal Guruji ko maan-na.
Hamaari soch khatm hoti hai jahaan
Guruji kee soch shuru hoti hai vahaan
Guruji Hain param gyani karunanidhaan
Guruji Hain mahaparaakrami meharbaan.
Unke gungaan se uttam koi paath nahin
Unse zyada vishvasaneeya kisee ka saath nahin
Unke haath ke jaisa sahaayak aur rakshak kisee ka haath nahin
Guruji Shivavatari Hain, Unke samaksh hamaari koi aukat nahin.
Ve hee taaranhaar Hain
Ve hee bakhshanhaar Hain
Ve param poojya param gyaata Hain
Ve mukti ke daata Hain.
Pooran Guru Hain Guruji
Ye khushkismati hai hamaari
Unka har nirnay
Hota hai bhakton ke liye hitkaari.
Unke kadmon ke nishaan karte rahein hamaara maargdarshan
Unka simran aur dhyan chamkaa de hamaare mann ka darpan
Guruji mein shraddha rakh kar kaarya hum karein Unhe arpan
Toh Ve hamaare karmon ke bache hisaab karvaayenge khatam
Karenge Ve hamaare vikaaron ka khandan
Aur yakeenan sanvaarenge hamaara janam maran.
Aayegi veh bela
Aayega veh samay suhela
Jabb na karna padega atma ko aur saansaarik chakra mein bhraman
Aur ho jaayega atma ka Paramatama se milan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja