Parabhakti Ke Prasad Se (11/19/2022)

November 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1735

             Parabhakti Ke Prasad Se

Kabhi kabhi aashcharya ho jaata hai
Kis tareh se har pal na jaane kahaan kho jaata hai
Dekh kar samay kee raftaar
Jaagte huey bhi sotei reh jaate hain aur waqt jaata hai bekaar.

Na simran hua uss pal mein, sochiye
Na hum kisee ke kaam aaye
Na yaad kiya Guruji ko humne, sochiye
Phir kaise mann ko aaraam aaye?

Subah socha shaam ko naam bhajenge
Shaam ko kiya vaada subah bhajne ka
Buss ek yahee ho nahin paata hai
Jab ki waqt milta hai baaki sab karne ka!

Sehensheelta hoti jaa rahi hai kumm
Mann ko ashant kar rahein hain dharma-sankat aur gumm
Khud kee sudh budh hai nahin, doosaron ko lekar hain pareshaan
Vishayon mein aasakti badhti rahegi, toh kaise milega gyan?

Guruji ko pasand hai nek neeyat aur bhaav nirmal
Guruji ne toh kar diya hai bhakti ko hamaare liye itna saral
Gurbani sunein, uspar manan karein, aur phir karein nidhidhyasan
Aatmabodh ke liye ye hain bahut yathochit saadhan.

Dincharya mein thoda toh samay nikaalein
Ho sakey toh ghar mein koi nishchit sthaan banaa lein
Na bhi ho paaye toh jahaan bhi ho paaye, Guruji se mann hee mann jodein taar
Bakhshish maangein, shukrana karein Unka baarambaar.

Guruji toh antaryaami Hain, phir bhi apna mann halka kar lein kar ke Unse baat
Unse dua karein ki mann hee mann humse simran ho paaye din raat
Baithne ka prayatna karein shant hokar dhyan mein
Unkee mehar hogi, badhauti hogi sehenshakti aur gyan mein.

Doojon ko toh kya, khud ko bhi jaayein bhool Guruji mein hokar magan
Guruji kee daya se aisee ho jaaye
Unmein antakaran kee lagan
Pareshaani, dharma-sankat, dukh
In sabka astitva jaaye mitt
Shanti, sthirta, samta
Inmein ramm jaaye chitt.

Tez aur adbhut hai kalyuga ka bahaav
Badhta jaaye Guruji ke prati hamaara prem bhaav
Bhakti itnee nikhar jaaye ki veh bann jaaye parabhakti
Parabhakti se milegi hamein jagriti, shanti aur shakti.

Samay kee raftaar
Na jaayegi bekaar
Guruji prasann hongei humse
Aur denge hamein taar.

Aaj se hee nahin, balki abhi se karein prayaas
Simran, dhyan, sadasheelta ka karte rahein abhyaas
Guruji kee kripa se badhti jaayegi yoon bhakti kee pyaas
Ki Guruji parabhakti ke prasad se aabaad karenge hamaara har shwaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Parabhakti Ke Prasad Se (11/19/2022)

Leave a comment