November 22, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1738
Aapki Rehmat Ke Rangg Se
Pyaare Guruji,
Aapki rehmat ke rangg se
Rangaa rahe Aapke bhakton ka jeevan
Aapki mehar kee mehndi se
Mehekta rahe Aapke bhakton ke ghar ka aangan.
Aapki kripa ka kanoon
Bakhshta rahe Aapke bhakton ke gunaah
Aapki divyata ke deep
Ujjwal karte rahein Aapke bhakton kee raah.
Aapke ashirwaad ka aanchal
Karta rahe Aapke bhakton kee raksha
Aapke gyan kee gehraayee
Deti rahe Aapke bhakton ko deeksha.
Aapke Swaroop ka simran
Deta rahe Aapke bhakton ko shanti
Aapke dhyan kee daat
Deti rahe bhakton ko kanti.
Aapki saumpi hua sewa
Laati rahe Aapke bhakton mein neevanpann
Aapki saralta ka saundarya
Laata rahe Aapke bhakton mein saadapann.
Aapki nirmalta ka noor
Banaata chale Aapke bhakton ko sadasheel
Aapke dheeraj ka dhanush
Banaata chale Aapke bhakton ko sehensheel.
Aapke ashish ke akash ke taley
Nikharta rahe har bhakt ka ghar parivaar
Aapki karuna kee kashti mein
Har bhakt ho jaaye bhavsaagar se paar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aapki Rehmat Ke Rangg Se (11/22/2022)