Bhakti Kee Bakhshish (11/24/2022)

November 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1740

Bhakti Kee Bakhshish

Pyaare Guruji,

Kumm hai jitna bhi karoon Aapka dhanyawaad
Jeevan ka har lamha hai Aapka diya hua prasad
Maalik mere, na ho kabhi bhi anaadar mujhse is prasad ka
Har lamha aur bhi anmol hota chale hokar kritaarth Aapke ashirwaad ka.

Galatiyan chundd nahin, karti hoon kayee hazaar
Aapka shukrana jo Aap nazar andaaz kar dete Hain har baar
Sikhaate Hain saath saath, iske liye bhi hoon shukraguzaar
Sambhaalte Hain itne pyaar se mera ghar parivaar.

Jitna shukrana karoon Aapka
Veh nahin hai kaafi
Aap deenanath Hain
Dete Hain kitnee maafi.

Simran kee daat ka shukrana
Satsang kee saugat ka shukrana
Sewa, daan, paath kee mahima samjhaane ka aur avsar dene ka shukrana
Ghar parivaar ka shukrana
Sangat parivaar ka shukrana
Har veh daat jo Aapne dee, uska shukrana
Har veh daat jo Aapne deni munaasif na
samjhi, uska shukrana.

Diya hai Aapne Apne pyaar aur dulaar ka khazaana
Anant kripa hai Aapki, kumm hai mera shukrana
Aapki mehar se hee chal raha hai jeevan ka afsaana
Apni hee sharan mein rakhna, mere maalik, jabb yahaan se karenge mujhe ravaana.

Aapke charnon mein rahe mera sees
Aap hee Guru Hain, Aap hee Hain mere Ish
Aapse hai yeh vinamr guzaarish
Ki sadaa dete rahiyega bhakti kee bakhshish.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhakti Kee Bakhshish (11/24/2022)

Leave a comment