Guru Teg Bahadur (11/28/2022)

November 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1744

  Guru Teg Bahadur

Guru ke roop mein aaye Nirankaar
Guru Tegh Bahadur, sikhon ke nauvein Guru
Guru Hargobind aur Mata Nanaki ke putr thei Ve
Tyaagmal naam se Unka jeevan hua shuru.

Bachpan se hee Unka vyavhaar aur charitra
Anokha aur ruhaani thaa, nirbhay aur pavitra
Bhakti mein magn rehte thei Ve bachpan se
Vidya bhi grahan karte thei shuddh mann se.

Takreeban terahn saal kee aayu mein
Kartarpur pahunche Ve pitaji ke sangg
Teg chalaane mein kushal thei itne
Ki Unke pita ko bahut pasand aaya Unka dhangg.

Tabb se Teg Bahadur hua Tyaagmal ji ka naam
Talwaar chalaane mein liya Unhonei aseem saahas se kaam
Pita ke guzar jaane ke baad Baba Bakaala banaa Unka dhaam
Vahaan pahunch kar bhi simran aur dhyan mein leen rehte thei Ve subah shaam.

Guru Harkrishan ji ne shareer chodne se pehle
Guru Teg Bahadur ji kee oar kiya sanket ‘Baba Bakaala’ keh kar
Paakhandiyon ne gaddi leni chaahi jhooth fareb kar ke
Lekin Guru Teg Bahadur ekaagrachitt rahe ye sab kuch bhi seh kar.

Harmandir Sahib pahunche Guru Teg Bahadur ji
Pujaari agyaantaa vash chale gaye bandd kar ke vahaan ke dwaar
Vahaan ke chabootare par Guru ne kiya pujaariyon ka intazaar
Isee chabootare ka ‘Thadaa Sahib’ hua naam, dene Guru Teg Bahadur ko satkaar.

Guru Teg Bahadur ne paas ke Gaaon ‘Valla’ mein kee sewa
Phir Bakaala aur Kartarpur se hotey huey pahunche Kiratpur
Thodi si zameen khareedkar ‘Gaaon Chak Nanaki’ ka Guru Sahib ne kiya nirmaan
Isee paawan sthaan ka baad mein ‘Anandpur Sahib’ hua naam.

Sikh dharam ka karte huey paawan prachaar
Guru Teg Bahadur kayi sheheron aur gaaon mein gaye
Karne sewa aur sudhaar
Antt mein pahunche Punjab, aur vahaan bhi karte rahe sangat ka uddhaar.

Balidaan ke liye tayyaar huey jabb Aurangzeb panditon ko dharma parivartan ke liye kar raha thaa laachaar.
Guru Sahib sangg teen bhakton ne dharma badalne se kiya inkaar
Bhai Dayaala Bhai Matidas Bhai Satidas
Aurangzeb ke hukm par kiya gaya unpar vadh ka vaar.

Guru Teg Bahadur ke dhadh se sees ko alag kar diya gaya
Tez aandhi tufaan se mausam bhi pratikriya mein bigad gaya
Diya gaya Unhe prem aur bhakti se bhara aadar
Shraddha se kaha jaata hai Unhe ‘Hind Kee Chaadar‘

Sir kataa liya dharma kee khaatir
Lekin sir ko nahin jhukaaya
Apni jaan kee qurbaani dekar
Kitnon ko Unhonei bachaaya.

Dheeraj, dharma, shanti kee moorat
Prerna aur prem ke strot
Bhakti, nirmalta, sadgunon kee khaan
Guru Teg Bahadur ji ko koti koti pranaam.

Guruji kee sharan mein bhakt jann
Gurbani ka karte hain shravan aur manan
Guruji ka hukm maankar banda banein
Sudhaar kar apne vichaar aur karam.

Guruji chaahein hum tyaagein paakhand aur andhvishwaas
Guruji kee maanein aur hum karein simran ka abhyaas
Guru Nirankaar ke swaroop Hain jo aate Hain dharti par taarne ye sansaar
Guru Teg Bahadur ke Shahaadat Divas par Unke charnon mein namaskaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Teg Bahadur (11/28/2022)

Leave a comment