Karte Huey Guruji Ka Smaran (11/30/2022)

November 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1746

      Karte Huey Guruji Ka Smaran

Apnaa le hamaara aacharan
Guruji ka har vachan
Hamein har janam
Miley Guruji kee sharan.

Karein hum Guruji ka satkaar bhara naman
Kar dein swayam ko Guru charnon mein arpan
Har sukh dukh sabb ho Unko samarpan
Unhee mein sada leen rahe ye mann.

Guruji ke naam ka dhan
Aabhooshit karde hamaara antakaran
Yahee anmol dhan har kshan
Karey ashanti aur asthirta ka haran.

Phir Guruji kee kripa se shant aur sthir rahe antarmann
Taaki Guruji se taar joad paayein bin vikarshan
Dhyan ho paaye humse, ho paaye humse simran
Guruji ke charan mein beet jaaye ye jeevan.

Jis jiske sangg rehte hain bhugatne karam
Zindagi ke path par milte rahein ve jann
Karmon ka karz hota rahe khatam
Taaki uss bhaar se riha hokar ho maran.

Guruji ka shukraguzaar rahe is tann ka har kann
Unkee agya ka paalan karte huey bande jaayein bann
Jeete jee bhi aabaad rahe Guruji ke naam se hriday ka upvan
Aur praan bhi tann se niklein karte huey Guruji ka smaran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Karte Huey Guruji Ka Smaran (11/30/2022)

Leave a comment