Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1726
Bheetar Ka Dwaar
Jis jisko socha apna Veh hota gaya begaana Apnapan hee lagne lagaa sapna Aisa hua zamaana.
Karmon ka khel Aatmaaon ka mel Maya ka jail Duvidhaaon kee bel.
Guruji ne liya sharan mein Poori madad dee dharma-sankat ke haran mein Saralta mein khushi ka raasta dikhaaya Anaasakti mein shakti ka rahasya bataaya.
Kuch lamhon mein ye ho sakta nahin Isliye hee toh kehte hain isey ek safar Neeyat parishram prayaas ho sahi Aur Guruji kee kripa ka hota rahega asar.
Guruji par rakhein shraddha aur vishwaas Guruji Hain apne, Unhee se karein dil kee baat Doosre samjhein aur saath rahein, chod dein iskee aas Guruji ne thaama hai haath, Ve sada denge saath.
Sabhi mein Shiv Hain Sabhi se karein pyaar Kisee kisee ko bheetar jaane kee aas hai Kisee kisee ko baahar mil jaata hai sansaar.
Kyun ummeed rakhein sansaar se Kyun rangein rangg mein sansaar ke Guruji ke rangg mein rangg jaayein Aur judey rahein Guruji mein basey Parwardigaar se.
Parwardigaar kaheen duur nahin Hain Hain Ve hamaare bheetar Hamaari atma Paramatama ka hee ansh hai Jaise paani se alag nahin hai sikar.
Zindagi sikha degi chalte chalte Ki rangg badalta rahega sansaar Sadhna sikha degi badhte badhte Ki sabse sundar hai bheetar ka dwaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1725
Guruji Kee Huzoori Mein
Guruji kee huzoori mein reh tu satkaar se Char din kee zindagi hai reh tu pyaar se Koi laabh nahin chaalaaki ke vyaapaar se Kuch lekar nahin jaana hai yahaan ke sansaar se.
Saath jaayenge apne hee karam Isliye unhee par de dhyan Paap ka bojha halka ho Rakh is baat ka dhyan Jabb jabb ho sakey Leta chal Guruji ka naam Guru ke naam mein hee Basaa hai tera kalyaan.
Chintan kar, kar Guruji ka vandan Na honei de mann kee shanti ka khandan Tu jaanta hai ki vyarth hain moh maya ke bandhan Phir kyun unse rogi karta hai tu apna tann mann?
Roam roam mein Guruji ke naam ko basne de Ardaas kar Guruji se iske liye Ve karunanidhaan kripaalu Hain Jalaayenge tere antarmann mein Apne naam ke deeye.
Guruji Hain Shiv avatari Ekmaatra sahaara hai is kalyuga mein Unka naam Unka diya mantra βOm Namaha Shivayaβ se hota hai shuru Unka naam japne se nishchit hai tera kalyaan.
Unke prati bhaav rakh shraddha aur pyaar ka Niraasha na hogi agar tujhe jhelna pada kuch samay intazaar ka Guruji tere liye intazaam kar rahe Hain kalyaankaari uphaar ka Unhe yaad rehta hai har lamha teri har pukaar ka.
Unhee se judey rehne ka prayaas kar Unhee se rishta gehra karta chal Baaki sab rishte karmic khaate ke anusaar aate jaate rahenge Unmein tu apna farz nibhaata chal.
Is chaar din ke mele mein jee lene ke baad Sabhi ne chale jaana hai Janam chaahe jitne bhi hon Antt mein Atma ko Paramatama mein samaana hai.
Guruji atma ko manzil takk pahunchaane mein param madadgaar Hain Meet Hain, Nath Hain, Guru Hain, swayam hee Parwardigaar Hain Kshamasheel Hain, sabhi bhakton ko karte sweekaar Hain Tu prem aur nishtha se Unka naam japp, Ve taral taaranhaar Hain.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1724
Chaturmaas Ka Antt
Is varsh ke chaturmaas ka hua antt Yoganidra se jaage Vishnu Bhagwaan Kaartik maas ke Shukla paksh kee Poornima hai aayi Vishnu ji Vaikunth mein le rahe Hain Apna sthaan.
Kartik poornima kahiye, ya phir kahiye Tripurari poornima Aaj hai Dev Deepawali ka yeh tyohaar Tripurantak Shivji ne kiya Taarakasur ke putron par vaar Aur devtaaon ka kiya uddhaar Devtaaon ne Kashi mein sainkdon deep jalaaye Isliye ye din Dev Deepawali ke naam se bhi jaana jaaye.
Vishnuji ke saath vivaah hua Tulsi maa ka Janam hua Vishnu ji ke Matsya avatar ka Kartikeya Bhagwaan janme Maa Parvati aur Shivji kee divya leela se Aur Krishnaji Radha ke sangg Huey ras leela mein.
Ye saari mahatvapoorna kathaayein judi hain Kartik Poornima ke parv ke saath Aur is din Ganga snaan aur daan ka mahatva hai mahaan Vishnu ji ke sangg Tulsi maa ka bhi hota hai vandan Har taraf pooja, daan, aur shraddha se shuddh hota hai spandan.
Kewal ye sab hee nahin, balki aur bhi uphaar de gaya hai itihaas Isliye aaj ek anant shubh divas hai khaas Guru Nanak Dev ji ka Prakash Purab hai aaya Sikhon ke in pratham Guru ne gyan ka prakash phaylaaya.
Pakistan ke Shri Nankaana Sahib mein hua Guru Nanak Dev ji ka shubh janam Isee sthaan ka naam thaa Talwandi Mata Tripta aur Bapu Kalyaanchand ji ke suputr ne Poore sansaar mein jaagrit kiya βEk Onkarβ ka dharam.
Santt aur samaj sudhaarak thei Ve Swayam hee Nirankaar Doosaron ke kalyaan kiye Unhonei anginat Unkee mahima hai aparampaar.
Saadagi aur saralta kee anupam chhavi Unkee Aaj bhi bhakton ko raah hai dikhlaati Nirankaar ka chintan karne kee Prerna hai jagaati.
Guruji saarsangreha Hain saadagi aur saralta ka Unke roop aur vachan mein vaas hai taralta, nirmalta aur komalta ka Ve kahein simran ho Gurbani ka Taaki sudhaar ho maanav zindagaani ka.
Guruji ke darbar mein Unkee ruhaani adhyakshata ke sangg Guru Nanak Dev ji aur Shivji kee prataapi maujoodagi ka hota hai poorna ehsaas Guruji ke satsang mein bhakt karte hain Gurbani ka shravan aur manan Aur Guruji kee agyapaalan mein bilkul shant hota hai vaatavaran.
βEk Onkarβ mool mantra se aksar shuru hota hai satsang Jaap aur Shivji kee aarti se bahudha hoti hai samaapti Chai prasad aur langar prasad miley bhakt janon ko Aur divya anubhav sunn-ne sunaane se aur bhi shraddha hai jaagti.
Aaj ke is khaas tyohaaron ke din kee Sabhi ko prem bhari shubhkaamnaayein Jis bhi Dev aur Guru ko poojein sab Ve Aradhya sabki chetna jagaayein.
Har ghar mein ho khushhaali aur pyaar Saamanjasya se rahein sab parivaar Guru aur Govind ka chintan ho jis bhi roop mein Satyugi bhaav kee oar badhe saara sansaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1723
Bhakt Ka Bhaav
Bhaav niswaarth pyaar ka Bhaav bin shart aitbaar ka Bhaav shraddha aur samarpan ka Bhaav ekaagra hokar simran ka.
Bhaav bholepan ka Bhaav neevenpan ka Bhaav jismein bhayy nahin Bhaav jismein sanshay nahin.
Bhaav bin ahem ka Bhaav bin vehem ka Bhaav sewa aur honei qurbaan ka Bhaav balidaan ka.
Bhaav shishya ka, das ka Bhaav vikaaron ke upvaas ka Bhaav bhakt ka, bachche ka Bhaav iraade sachche ka.
Bhaav kartavya nibhaane ka Bhaav Guru mahima gaane ka Bhaav jismein ho parabhakti Bhaav jismein ho vairagya kee shakti.
Bhaav aatmabodh kee oar badhne ka Bhaav ruhaani oonchaayee chadhne ka Bhaav swayam mein sudhaar laane ka Bhaav khud ko kho kar Guruji ko paane ka.
Bhaav nirlep rehne ka, jaise neeraj Bhaav jismein basaa rahe dheeraj Bhaav sakaaratmakta ka Bhaav aadhyaatmikta ka.
Bhaav bin maange Guruji kee maan-ne ka Bhaav apni khaamiyon ko pehchaan-ne ka Bhaav Guru charanodak peene ka Bhaav shukrana mein jeene ka.
Bhaav sardiyon kee meethi dhoop sa Bhaav uttam pavitra anoop sa Bhaav sheetal chhaaya ke jaisa Bhaav jaisa Guruji chaahein, bilkul vaisa.
Guruji, Aap Apne har bhakt ka bhaav dekhna chaahein jaisa Aapki mehar se Aapke har bhakt ka bhaav ho bilkul vaisa Bhakt Aapke chaahe bhaav se Aapse juda rahe har kshan Bhakt ka ekmaatra uddeshya ho rakhna Aapko prasann.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1722
Kalyaan Kee Yukti
Duniya kee dagariya mein Ek musaafir raha thaa guzar Guruji kee uspar padi nazar Uska kalyaan honei lagaa kuch is kadar.
Ek din mazdoori kar ke laut raha thaa veh apne ghar Shabad kee awaaz aayi aur veh aakarshit hokar chal pada udhar Ek ghar mein ho raha thaa Guruji ka satsang Guruji kee kripa se uske mann mein jaagi umang.
Veh gaya ghar ke darwaaze ke paas Bahut se jooton ke jodey thei baahar Usne bhi utaare apne joote Aur chala gaya veh uss ghar ke bheetar.
Kuch jann aankhein moond kar baithe thei Aasan thaa vahaan darbar mein Musaafir ko lagaa Ki veh pahunch gaya kisee doosre sansaar mein.
Shabad rahe thei chal Musaafir ne maatha teka aasan ko Mitne lagi uske mann kee halchal Saraaha usne vahaan ke anushaasan ko.
Om Namaha Shivaya ka jaap hua Phir hui Shivji kee aarti Ek anokhi si khushboo aayi musaafir ko Jo gayi maano uske chitt ko sanvaarti.
Shivji kee moorti aur Guru Nanak ji ka Swaroop Saath mein ek devta roopi maanav ka saumya roop Jaana usne kuch palon mein ki Unhe sabb pukaarein Guruji ke naam se Guruji kee hui mehar, aur veh usee kshan jud gaya Unn karunanidhan se.
Usey Guruji mein huey anek devi devtaaon ke darshan Uskee neeras si zindagi mein jaise ho gaya bahut bada parivartan Langar prasad chhaka usne aur amrit ka paan kiya Guruji kee kripa se usne Unhe Apna murshid maan liya.
Matt hui uskee matvaali Uske mann roopi upvan mein hui hariyali Uskee niyati hui niraali Uske liye har raat hui Diwali.
Mushkilein kumm huin jeevan mein ya nahin Ye sochne mein usne vyarth na ganvaaya samay Guruji kee mehar se sewa, simran, satsang mein leen ho gaya Guruji ka shukrana kar ke Unkee bhakti karne laga bin sanshay.
Sakaaraatmak hua uska nazariya Himmat aur sehensheelta badhti gayi Sthir hota gaya uska mann aur ravaiya Uskee zindagi sanvarti gayi.
Veh santusht rehne lagaa Shikayat karna usne chod diya Jo bhi usey Guruji se duur le jaata Usne aise har prabhav se muh moad liya.
Guruji ke charan mein hua uska jeevan basar Unke simran aur dhyan se chalta raha uske kaam aur ghar parivaar se juda safar Na jaanta thaa vo ki usey kitne janmon ke baad milegi mukti Lekin yeh vishwaas thaa usey ki Guruji ke paas hai uske param kalyaan kee yukti.
Uske atoot vishwaas se Guruji huey prasann Uske vikaar dhulte gaye aur pavitra hua uska mann Guruji mein shraddha rakh kar guzaara usne jeevan Har kshan uske mann mein chalta thaa Guruji ka simran.
Bhakton ke liye anmol hai har ghadi Guruji ke simran aur dhyan kee Guruji toh param dayaavaan Hain Dein bhakton ko daat gyan kee.
Jitna shukrana kiya jaaye Guruji ka veh kumm hai Koi seema hee nahin hai Unke diye kisee daan kee Guruji ke paas toh yukti hai Apne har bhakt ke kalyaan kee.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1721
Sabse Badi Daat
Shraddha ke suman se atma ka shringar kiya Aadar kee chaadar odh kar veh khadi Mann ko baahari maamalon se hataakar Bachchi bheetar kee oar chali.
Samarpan ke rath par thi savaar Guruji ko yaad karte huey baarambaar Jo kuch ya koi jaisa thaa Veh karti gayi sab sweekaar.
Maafi maangti, maafi deti hui Saanson mein vayu kee khushboo leti hui Apne bheetar dekhti hui Beej Mantra ke spandan se chetan hui.
Duniyadari se ho rahi thi vikarshit Guruji kee oar hoti jaa rahi thi aakarshit Usne bhakti kee jwaala na kee pradarshit Jwaala ke jagmagaane se hui veh harshit.
Farz nibhaane hain zaroori, veh gayi thi samajh Lekin unse judna chodkar gayi thi sulajh Har kaarya ko karne lagi thi Guruji ko arpan Halka mehsoos kar raha thaa uska mann.
Usey magn rakhta raha Guruji ka fitoor Hoti gayi uskee vishay aasakti duur Koi rishta na kar paaya usey majboor Chaa gaya uspar poori tareh se Guruji ka noor.
Na din ka hosh raha usey na raat ka Fark hee nahin padta thaa usey kisee baat ka Usey santosh thaa Guruji ke anant ruhaani saath ka Usne shukrana kiya Guruji ko is sabse badi daat ka.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1720
Abb Der Na Kar, Aye Dil
Raasta tujhe raha hai pukaar Pukaar rahi hai tujhe manzil Guruji ne khola hai tere liye Apna dwaar Abb der na kar, aye dil.
Guruji tera lekha likh rahe Hain dobaara Har kadam par tujhe Ve denge sahaara Na tu bhatak idhar udhar bann kar kismat ka maara Na samajh ki tu haalaat se hai haara.
Guruji kee sharan mein bhi mushkilein aayengi Lekin tu vishwaas rakh, ve Guruji ke aagey ruk na paayengi Guruji kaatenge tere karam tere chalte chalte Teri khushkismati ka sooraj uday hoga udaas dinon ke dhalte dhalte.
Guruji maafi denge tujhe tere dosh kee Aur daat denge simran aur santosh kee Unhonei tujhe sweekaara hai Apne kamal charan mein Unka anmol ashish sahaayak hai tere har kasht ke haran mein.
Tu deta chal Guruji ko Niswaarth pyaar aur shraddha ka nirmal nazraana Unkee kripa se dhanya hua hai tere jeevan ka afsaana Isliye tu karta chal Guruji ka shukrana.
Tujhe Guruji kee sharan gayi hai mil Tera bhaagya gaya hai khil Tujhe zaroor milegi manzil Abb der na kar, aye dil.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1719
Bhakti Sada Badhti Rahe
Gyan ka sooraj ho uday Mann ho jaaye nishchint nirbhay Duur ho jaaye har sanshay Bhakti ke saadhan se ye sab ho sakta hai tayy.
Bhakti ek avastha hai aisee Jismein har kaam hai Ishwar ko arpan Bhakti swayam ek geet hai Jismein sur prem hai aur samarpan hai sargam.
Shraddha hai bhakti ka gehna anmol Bhakti hai Bhagwan takk pahunchne ka zariya Bhakti safar hai dil aur atma ka Bhakti hai vishwaas kee dagariya.
Dil mein ho jo Guruji ka dhyan Toh bhakt Guruji ko dhyaaye Guruji ko hee veh dil mein basaaye Unhee kee bhakti mein veh ramm jaaye.
Bhakti mein swaarth ka nahin hai koi sthaan Bhakti mein Guru aur Ish ka hai sammaan Ve hee dete Hain bhakti ke liye shakti Unka ashish rahe toh bhakti kabhi nahin rukti.
Vikaaron aur vishay aasakti se duur hai bhakti Bhakti mein satya aur niswaarthata hai zaroori Aisee lagan laage Guruji mein Ki har pal Unhee mein ho sudh budh poori.
Bhakti mein hai divyata ke ras kee mithaas Bhakti mein hai Guru Govind mein samaane kee aas Bin sewa aur prem ke bhakti ka arth hai adhoora Aaraadhya ka simran, dhyan, aur gungaan isey karta hai poora.
Bhakti Bhagwan mein ho ya Guru mein Dono mein bhinnataa nahin Jaise Guru aur Ish Hain anant Vaise hee bhakti ka nahin koi antt.
Bhakti kabhi boodhi nahin hoti Bhakti rehti hai sada javaan Aap mein meri bhakti sada badhti rahe Guruji, kripa kar deejiye yeh vardaan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1718
Sampoorna Hitt
Thakk gaya thaa musaafir Kintu veh chalta raha Mushkil thaa safar Lekin usne kisee se kuch na kaha.
Guruji ne raasta thaa dikhaaya Isliye uska vishvaas bilkul na dagamagaaya Usne apne mann ko samjhaaya Mann ne bhi saath nibhaaya.
Mann ka ho raha thaa Simran dwaara itna paawan poshan Ki raaste ka koi nakaraatmak prabhaav Na kar sakk raha thaa mann ka shoshan Mann mein rakhey huey Guruji ke prati poorna aasthaa Musaafir tayy karta raha jeevan ka raasta.
Nibhaata chal raha thaa veh apne farz Taaki utartaa jaaye pichhle karmon ka karz Jaise jaise chadhta chala uspar Guruji ke naam ka khumaar Saadagi se hota chala musaafir ko din ba-din aur bhi pyaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1717
Param Oonchaayee
Sikhaati hai Guruji kee Guruyaayee Ki khojein khud mein hum Khudaayee Guruji ne har baar hamaare bhale kee baat hai bataayee Isliye khud ke kalyaan ke liye dhoondhein hum antarmann kee gehraayee.
Guruji kee rehmat Hamaare har shubh prayaas mein rangg hai laayi Unke ashish se s Simran shuru hua hai aur atma dhyan hai kar paayi Antardhyan se hee dhulegi Mann par jamee hui dooshan roopi kaayi Aur dhyan kee tanhaayee mein Bajegi deedar kee divya shehnaayee.
Shaayad aisa kabhi ho bhi jaaye Ki saath chod de apni hee parchhaayee Lekin itna nishchit hai Ki sada saath degi Guruji kee vaddi vadiyaayee.
Nirantar simran aur antardhyan mein hee hai hamaari bhalayee Isee se khatm hogi atma kee Paramatama se judaayee Guruji kee mehar se jo humne is raaste par gati hai badhaayee Toh Guruji kee kripa se atma awashya paa legi veh param oonchaayee.