December 3, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1749
Aapke Charnon Mein Hee
Param poojya Guruji,
Aapne japne diya Apna naam
Toh hui mai dhanwaan
Aapne diya ashiyaan
Poora hua ghar ka armaan.
Aapse honei lagi pehchaan
Mitne lagi janmon kee thakaan
Aapko liya apna nath jaan
Sada rahoon Aapki santaan.
Sahi galat se mai anjaan
Aap sumat dekar mitaayein agyan
Aap Hain gyan kee khan
Mai naadaan insaan.
Ye duniya moh maya kee dastaan
Aap saarthakta, Aap Bhagwaan.
Mann par vijay dega yahaan
Aapke naam ka nirmal baan.
Sada bakhshiye Apna simran aur dhyan
Mere Guruvar karunanidhaan
Deejiye Prabhu mere, kripa ka daan
Aapke charnon mein hee hai mera kalyaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aapke Charnon Mein Hee (12/03/2022)