Rangamanch (12/14/2022)

December 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1760

                     Rangamanch

Duniya banaane wale ne rangamanch kiya tayyaar
Aur praaniyon kee rachna kee
Khula jaise hee phaatak
Usne shuru karvaaya naatak.

Ye hua kayi baar
Yug yug chala sansaar
Abhi bhi naatak chal raha hai ek
Jismein kirdaar nibha rahein hain hum praani anek.

Karna hai abhinay yahaan
Aisa ki laabh ho hamein vahaan
Apna apna kirdaar nibhaana hai
Phir rangamanch se chale jaana hai.

Guruji sunn aur dekh rahe Hain
Har soch aur har kriya hamaari
Yahaan nahin toh vahaan hisaab hoga
Aayegi zaroor sabki baari.

Satyugi hai ya nahin hamaara abhinay
Kis tareh se humne usey kiya adaa
Ek ek kadam par ho raha hai hamaara nireekshan
Isliye laparawahi nahin honi chahiye kisee bhi kshan.

Guruji kitne prasann hon agar ho hamaara shreshth abhinay
Guruji kee mehar se hamaare abhinay se ho shubhta ka uday
Aayiye duniya ke rangamanch ko sundar banaayein
Aur yahaan se vida honei ke baad bhi sukh paayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Rangamanch (12/14/2022)

Leave a comment