December 20, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1766
Santosh Aur Shukrana
Santosh ka nahin hota koi aakaar
Santosh hai sukh ka aadhaar
Santosh agar rahe mann kee vritti ka saar
Toh koi bhi paristhiti nahin kar sakti jeena dushvaar.
Guruji ko shukrana karein jo hum har pal
Har uss daat ka jo hai hamaare paas
Aur har uss cheez ka bhi jo hamein nahin milee
Toh santosh kee oorja sada rahegi mann mein khilee.
Iska arth ye nahin ki apni oar se mehnat chod dein
Ya phir parishram se swayam ko aalasya kee oar moad lein
Apni oar se har shubh karma aur kartavya karte chalein
Guruji ke ashirwaad se santusht hokar jholi bharte chalein.
Santosh se mit jaayega shikaayat karne ka dosh
Santosh se kaayam rahega jeene ka josh
Santosh aur shukrana kee jugalbandi ke sangg hoga poorna samarpan
Aur Guruji kee kripa se sukh rahega har kshan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Santosh Aur Shukrana (12/20/2022)