Mumkin Hoga Hamaara Uddhaar (12/26/2022)

December 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1772

  Mumkin Hoga Hamaara Uddhaar

Guzarta hai kayi avasthaaon se maanav ka jeevan
Har avastha mein hotey hain anek parivartan
Navjaat shishu ke roop mein hota hai janam
Baal avastha ke baad aati hai jawaani
Roop ka ho jaata hai kabhi kabhi ahankar
Kayion ke jeevan mein dhan daulat kee hoti hai jhankaar.

Honei lagta hai is se bhi maanav ko abhimaan
Maano veh ho gaya hai abb aur bhi mahaan
Phir sampann hokar aur bhi bhatak jaata hai antakaran
Gyan aur Prabhutva aane se aksar dambh aabaad karta hai mann.

Har avastha mein Ishwar ke prati aastha
Aur bhakti kee shubh shakti
Inkee hai khaas ahamiyat
Aur zabardast zaroorat bhi.

Lekin saansaarik maajaron mein
Maanav jaata hai yoon ulajh
Ki aksar na ye yaad rehta hai
Aur na hee aata hai samajh.

Guruji ne kayi tareh se Apne bhakton ke liye
Kar diya is yug mein jeena is maamale mein saral
Ve kehte Hain β€˜aish kar’ lekin aasakti mein na kho
Bhog bhogta chal magar chetna ko na dene de so.

Chetna ko sonei se bachaane ke liye
Diya hai Guruji ne simran ka upaay
Aur Unhonei banda bann-ne ke liye
Achche vichaar aur karma ka raasta diya hai dikhaaye.

Na hai shubh mahoorat kee koi anamyataa
Na bhojan ke upvaas kee aawashyakta
Na chahiye dikhaawa, na koi chadhaava
Na teerath, na koi daava.

Buss, jeena hai mastt aur sakaraatmak andaaz se
Anukampa aur anaasakt pyaar ke ehsaas se
Saadagi aur saralta, komalta aur taralta
In sabke sangg jodkar vinamrata aur nirmalta.

Vaise bhi zindagi jeeni hai na ki koi pratiyogita
Sab ka alag hai safar aur sab kee alag hai yogyataa
Jaanein ya na jaanein, sabhi ka safar anokha hai
Maanein ya na maanein, sabhi ko maya ne diya dhokha hai.

Guruji kee toh har bhakt par hai nazar
Jis bhi avastha mein ho hum par achcha asar
Vaheen se shuru ho jaayega sudhaar
Nek koshish se khatm hotei chalenge manovikaar
Neevenpann ke noor se nasht ho jaayega ahankar
Jis bhi avastha mein hongei hum, mumkin hoga hamaara uddhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mumkin Hoga Hamaara Uddhaar (12/26/2022)

Leave a comment