December 28, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1774
Ajar Amar Hai Atma
Ajar amar hai atma
Iska nahin hota hai khatma
Iskee manzil hai Paramatama
Moksh par atma ke safar ka hai khatma.
Poshan karo sanskaar ka
Na ki apne ahankar ka
Sahi poshan sahaayak hai atma ke safar mein
Aur yahaan ke jeevan ke basar mein.
Bhakti moksh ka mahatvapurna aadhaar hai
Aur bhakti ke putr hain vairagya aur gyan
Vairagya se judi hai anaasakti
Jis se susadhya hoti hai bhakti.
Gyan sukar hota hai jigyaasa se
Gyan jab juda ho moksh kee asha se
Toh uska koi mel nahin hota ahankar se
Kyunki veh toh khilta hai neevenpann ke shringar se.
Moksh takk pahunchne ke liye
Anivaarya hai mann ka sampoorna samarpan
Indriyon par niyantran
Ekaagrachitt dhyan, aur simran.
In sabki maujoodagi ho safar mein
Toh prasann hongei Guruji pyaare
Kisee na kisee janam mein yakeenan
Moksh milega Guruji ke sahaare.
Moksh ke manzar par pahunch kar
Kar rahi hai jo janmon se alag alag deh mein basar
Khatm hoga safar uss ajar amar atma ka
Punar milan hoga atma aur Paramatama ka.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Ajar Amar Hai Atma (12/28/2022)