December 31, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1777
Jaate Jaate Har Saal
Jaate jaate har saal
Bulaava dega naye saal ko
Is ummeed se ki veh naya saal
Sudhaar de waqt ke haal ko.
Guruji ne diya hai Apni sangat ko ashish har pal
Guruji ka ashirwaad kal bhi barasta rahega
Samay apni raftaar se guzarta rahega
Bheetar aur baahar ka sansaar badalta rahega.
Guruji, bakhshiye sumat
Guruji, deejiye himmat
Ki bann sakein hum behtar insaan
Aur doojon kee madad kee oar kar sakein kuch kaam
Yoon ho hamaara parivartan bheetar
Ki hamaare badalne se sanvar jaaye baahar ka jahaan.
Bakhsh deejiye hamaare gunahon ko
Apne noor se ujjwal rakhiye hamaari raahon ko
Waqt jaise bhi haalaat dikhaaye, hum dhairya aur sehejta se saamna kar paayein
Aapki mehar se khush rahein aur Aapki mahima sunein aur sunaayein.
Hum sabb hain Aapki sangat
Chadhti rahe hum par Aapki rangat
Hum sabhi ko miley santosh, shanti aur shakti
Nikharti jaaye hamaari sewa bhavna aur bhakti
Mann mein aaye aur bhi sanyam aur sabr
Har paristhiti mein karte rahein Aapka shukr
Gyan aur dhyan mein badhauti ho
Vikaaron aur vikarshanon mein katauti ho
Jaagrit rahe bhaav hum mein saamanjasya ka
Sammaan rahe apne har kartavya ka
Agyan aur ahankar ke andhere ko chod
Badhte rahein hum gyan aur neevenpann ke savere kee oar.
Prakriti ka hum sada karein aadar
Sadbhaav kee phaylaa dein chaadar
Hinsa na ho vichaar aur karma mein
Insaaniyat ka saar ho hamaare dharma mein.
Seekhein bin aasakti, bin moh ke kar paana pyaar
Jeetein dil sabka, istemaal kar ke aitbaar aur pyaar ka hathiyaar
Aapki dee prerna se tootein samast paash hamaare
Chhoo paayein hum sadgati ke akash aur taare
Ye sab hum kar paayenge kewal Aapki mamta aur Aapke maargdarshan ke sahaare
Aap hee Hain nath, Ish, murshid, meet, aur prerak hamaare.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Jaate Jaate Har Saal (12/31/2022)