Ye Zindagi (01/31/2023)

January 31, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1808

                      Ye Zindagi

Ummeed hai, utsaah hai
Ik raah hai ye zindagi
Nazar bhi hai, safar bhi hai
Dagar hee hai ye zindagi.

Farz hai
Na nibhaao toh marz hai
Karz hai
Tarz hai ye zindagi.

Kitaab hai
Karmon ka hisaab hai
Kayi sawaal bin jawaab hai
Phir bhi rubaab hai ye zindagi.

Yahaan aana hai
Yahaan se jaana hai
Maqsad toh Paramatama ko paana hai
Bahaana hai ye zindagi.

Imtehaan hai, udaan hai
Armaan bhi hai ye zindagi
Miley jisey vo khushnaseeb hai
Guru Govind ka diya vardaan hai ye zindagi.

Guruji se ye hai, Guruji se khatm
Unke niyantran mein hai ye zindagi
Unkee bandagi mein leen raho
Toh bandagi hai ye zindagi.

Prasad hai, ashirwaad hai
Jawaad hai ye zindagi
Kshanikvaad hai, atmavaad hai
Dhanyawaad ki milee hai ye zindagi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ye Zindagi (01/31/2023)

Guruji, Aapke Pyaar Ka……. (01/30/2023)

January 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1807

Guruji, Aapke Pyaar Ka…….

Guruji Aapke pyaar ka
Jitna shukrana karoon vo hoga kumm
Itna bhaav vibhor hai dil Aapke pyaar mein
Ki muskuraate huey bhi aankhein hoti hain numm.

Jeevan mein kashton ke tufaan ke aane par
Aapne Apne ruhaani aanchal se marham kee maddham hawaa dee
Swaasthya sudhaarne ke liye Aapne
Apne langar prasad kee davaa dee.

Amrit Aapke ashirwaad ka
Deta hai jeevan ka daan
Jabb bhi mann ho pareshaan
Sukoon deta hai Aapka naam.

Chaahe baahar hoon ya ghar par
Aapki har pal nazar hai mujh par
Itnee tasalli miltee hai is baat se
Ki aashanka nahin hoti chunauti kee kisee raat se.

Bakhshte Hain Aap, Aapki hai vadiyaayee
Khushnaseeb hoon mai ki Aapki sharan mein aayi
Aapne taras kar Apne charnon mein diya sthaan
Aap Hain mahaan, Aap Hain meharbaan.

Taareef kar paaoon poori tareh se Aapki
Itnee mujh nacheez mein nahin hai kaabiliyat
Sada Apne charnon mein rakhna
Parwaah nahin agar mitt jaaye meri haisiyat.

Vaari jaaoon Aapke noor par
Aapne meri har fikr ko duur kar
Aane diya hai Apne dar par
Naman karoon kar jod kar
Dete rahiyega sewa ka avsar
Mita deejiye meri ‘mai’ is kadar
Ki Aapko poorna samarpan kar
Apna astitva bhula kar karoon jeevan basar.

Kyunki tann mein, mann mein, kann kann mein Aap hon
Chaahe jeevan mein khushi ho ya santaap ho
Har saans chale Aapke naam ke aadhaar par
Aur Aapka naam lete lete hee khatm ho ye safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji, Aapke Pyaar Ka……. (01/30/2023)

Unke Chintan Ke Alaawa (01/29/2023)

January 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1806

        Unke Chintan Ke Alaawa

Meri soch ka saancha sada shuddh ho
Mere Guruji na mujhse kabhi kruddh hon
Unke nirdesh se meri har soch upaje
Sadbhaav aur anukampa se veh sajey.

Guruji toh bade kripalu Hain
Rehte Hain Apne har bhakt ke angg sangg
Guzaarish rehti hai nirantar Unse
Ki chadhta rahe mujh par Unkee bhakti ka rangg.

Is rangg se meri har soch rangti rahe
Guruji kee mehar se aaspaas sadhu bhaav waalon kee sangati rahe
Guruji ke ashirwaad se sumati rahe
Aur janam maran ke is safar mein sadgati rahe.

Kyunki aakhir is jeevan ka maqsad hai karna uss paar jaane kee tayyaari
Aaj ya kal sabhi kee aani hai baari
Shukr hai ki Guruji kee rehmat saath hai raat aur din
Kyunki ye tayyaari namumkin hai Unkee rehmat ke bin.

Guruji kee sharan mein hee hai veh upaay
Jis se jeevan kee asaarata mitt jaaye
Guruji ke ashish se veh pal aaye
Jabb Unke chintan ke alaawa kaheen aur na mera chitt jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unke Chintan Ke Alaawa (01/29/2023)

Achchaa Ho (01/28/2023)

January 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1805

                      Achchaa Ho

Dainik jeevan mein bhog ke sangg
Yog ka prayaas ho toh achchaa ho
Tann ke liye itna kuch karte hain
Antakaran ke liye kuch kar lein toh achchaa ho.

Baahari duniya bahut dekh lee
Bheetar bhi jhaankein toh achchaa ho
Maang kar bhautikvaad bahut hua
Na maangein toh achchaa ho.

Shikaayat karne ka koi mauka na choda
Shukrana ka mauka dhoondhein toh achchaa ho
Madd aur matsar ke nashe mein dhut rahe
Simran mein jhoomein toh achchaa ho.

Kaam bhaav mein padkar krodh, phir lobh badhaa
Santosh badhaayein toh achchaa ho
Moh mein beh kar bhatak gaye
Dosh mitaayein toh achchaa ho.

Doosron ko jaan-ne kee koshishein kee anek
Swayam ko pehchaanein toh achchaa ho
Duniya waalon se judte rahe itna
Guruji se judein toh achchaa ho.

Guruji ke dar par sirf joote utaare
Akal ka tuchh taj utaarein toh achchaa ho
Guruji ko maana jab se judey Unse
Guruji kee maanein toh achchaa ho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Achchaa Ho (01/28/2023)

Aye Mann Matvaale Mere (01/27/2023)

January 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1804

          Aye Mann Matvaale Mere

Aye mann matvaale mere
Bahut huey yahaan ke phere
Aa, abb dekhein asal savere
Rehkar Guruji ke nede.

Toone dekha yahaan ka tamasha
Phir kyun hai yahaan se ummeed ya asha
Toone yahaan sukoon talasha
Lekin phansta gaya maya mein betahaasha.

Maya ne tujhe bhatkaaya
Tu phir bhi samajh na paaya
Maya ne chanchal jaal bichhaaya
Tu uska shikaar bannkar pachhtaaya.

Moh mein tu dhansa, bhool gaya tu atma
Ahankar tujh par hansa, kiya usne tera khatma
Aye mann, tu karta chala manmaani
Ye thi teri naadaani.

Abb bahut hui kheencha-taani
Shukr hai toone rooh kee zarooratein pehchaani
Guruji samajhte Hain teri pareshani
Jabb ki tere sagey sambandhiyon ne teri vyatha na jaani.

Aye mann, Guruji sangg rishte mein hai ruhaaniyat
Usey nikhaar tu kar ke Unkee ibadat
Anmol hai Guruji kee har inaayat
Isliye tu chod de abb har shikaayat.

Buss, Guruji ka karta chal tu chintan
Tu shant honei lagega har kshan
Tujh mein sthirta aa jaayegi
Teri zindagi sudhar jaayegi.

Duniya ke jhamelon mein aasakt hona chod de
Guruji kee mehar mahaan hai, Unkee oar apni disha moad le
Unkee mehar se ho paayega tujhse Unka simran aur dhyan
Unkee sharan mein mitt jaayega tera janmon ka agyan.

Milega tujhe gyan aur Guruji ka pyaar
Milega Guruji se bakhshish ka uphaar
Tu Guruji ke vichaar mein zyada se zyada waqt guzaar
Dekhna, hota chalega tera uddhaar.

Tarr jaayega tu, aye mann
Sanvar jaayega tu, aye mann
Abb aur anjaan na bann
Guruji kee dee har daat se dhanwan bann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aye Mann Matvaale Mere (01/27/2023)

Guruji Kee Komal Sharan Mein (01/26/2023)

January 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1803

   Guruji Kee Komal Sharan Mein

Har kali khil jaati hai
Murjahaaye phool ko muskuraahat mil jaati hai
Guruji kee mamta se
Guruji kee kshamta se.

Har bhatka hua paata hai manzil
Marham paata hai har ghaayal dil
Guruji ke dulaar se
Guruji ko pukaar ke.

Sulajh jaati hai har uljhan
Hatt jaati hai har adchan
Guruji ke badappan se
Guruji par samarpan se.

Milte hain sewa simran
Milte hain satsang ke kshan
Guruji kee bakhshish se
Guruji ke ashish se.

Aankhein jaati hain khul
Paap jaate hain dhul
Guruji kee amrit dhaara se
Guruji ka sahaara le.

Deewanapann sa hota hai
Mann naam mein ramm kar khota hai
Guruji ke pyaar se
Guruji par aitbaar se.

Nazariya jaata hai sudhar
Dagariya jaati hai sanvar
Guruji kee mehar se
Guruji dwara kee gayi seher se.

Gyan ka deep jal jaata hai
Mushkil vela tal jaata hai
Guruji ke ashirwaad se
Guruji ko dhanyawaad se.

Bhakt Unke dar par jaata hai
Bhakt sada tarr jaata hai
Guruji kee guruyaayee se
Guruji kee vadiyaayee se.

Katt jaate hain karam
Safal ho jaata hai janam maran
Guruji ke kamal charan mein
Guruji kee komal sharan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Komal Sharan Mein (01/26/2023)

Basant Panchami (01/25/2023)

January 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1802

                 Basant Panchami

Maagh maas ke Shukla paksh kee panchvi tithi hai aayi
Sharad ritu ke prasthaan ke saath basant ritu ko hai laayi
Basant Panchami ke naam se is tithi ne shubhta hai phailaayi
Sabhi ko is paawan parv kee bahut bahut badhaai.

Veena vaadini ko vandan
Vidvaan ko deti Hain jo vidya ka daan
Ashirwaad ke roop mein gyan karein pradaan
Hans ke vaahan par savaar Devi laayein kala, vidya, aur gyan ka paigaam.

Din lambe aur raatein chhoti hain hoti is parv ke aane se
Kaliyan khilti hain aur phool sundar lagte hain muskuraane se
Har oar vaataavaran mein hoti hai anokhi umang
Anek kathaayein bhi judi hain is parv ke sangg.

Maa Saraswati ka hua janam isliye Saraswati Puja bhi hai is parv ka naam
Maha Dev ne is din Maa Parvati ko diya sampannata ka vardaan
Maa Shabri ke ghar jhoothe ber khaane aaye Prabhu Shri Ram
Prithvi Raj Chauhan ne Gori ka vadh kiya chalaa kar shabd bhedi baan.

Peele sarson se khet lagte hain itne sundar
Peele chandan se hoti hai Maa kee pooja
Peele phool, peele vastra se nikharti hai har disha
Bhakt Maa se vintee karte ki mitey agyan kee nisha.

Guruji Shivji ke Hain avatar
Sanvaarte Hain Ve Apne bhakton ka ghar parivaar
Guruji kee mehar se Ritu Raaj Basant sabhi ke bheetar gyan ka aisa deep jalaaye
Ki sampoorna sansaar ke agyan ka timir sada ke liye mitt jaaye.

Sadbhaav ho, har oar ho niswaarth pyaar
Duur ho jaayein sabhi ke manovikaar
Mitt jaaye jhooth, hinsa, chori, nasha, vyabhichaar
Sukhi sampann satyugi bann jaaye ye saara sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Basant Panchami (01/25/2023)

Khivaiya Safal Karenge Safar (01/24/2023)

January 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1801

      Khivaiya Safal Karenge Safar

Na dar thaa na kinaara
Na ghar thaa na sahaara
Jeevan kee naiya dol rahi thi
Prakriti se bol rahi thi
Ki kismat khilne ka usey hai intazaar
Isliye veh dol rahi hai hokar bekaraar.

Dhoondh rahi thi disha ye naiya
Lekin disha paana namumkin thaa bin khivaiya
Naiya chaahti thi miley khivaiya itna saksham
Ki naiya sahi disha kee oar badhe har kshan.

Kar rahi thi veh mann hee mann guzaarish
Kaayanaat ne jaan lee naiya kee khwaahish
Kaayanaat kee arzi banee Guruji kee marzi
Guruji ne sambhaali naiya bannkar khivaiya.

Kismat khilee
Disha milee
Naiya ko mila Guruji ka sahaara
Abb duur nahin thaa kinaara.

Guruji ke har bhakt ke jeevan kee naiya
Guruji kee mehar se pahunchegi apne ghar aur dar par
Buss, rakhna hai atoot bharosa sahaare par
Khivaiya safal karenge safar pahuncha kar kinaare par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khivaiya Safal Karenge Safar (01/24/2023)

Sab Aapka Ashirwaad, Guruji (01/23/2023)

January 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1800

Sab Aapka Ashirwaad, Guruji

Mere shwaas kee awaaz mein
Mere har geet ke sur aur saaz mein
Mere jeevan ke ruhaani raaz mein
Aapka vaas hai, Guruji.

Meri aankhon ke har sapne mein
Mere har paraaye aur apne mein
Mere dhyan mein aur japne mein
Aap hee Aap, Guruji.

Simran mein
Mann mein
Kann kann mein
Aap Hain har kshan mein, Guruji.

Har vichaar mein
Vyavhaar mein
Har sanskaar mein
Basey rahiyega, Guruji.

Chetna Aapse
Prerna Aapse
Abhiprerna Aapse
Samvedana Aapse, Guruji.

Pyaar mein
Aitbaar mein
Parivaar mein
Aapka sahaara, Guruji.

Meri har dhadkan
Mere dwaara vandan
Mera Aapke liye stavan
Aap mein magn, Guruji.

Din aur raat
Aapka haath
Aapka saath
Aap hee nath, Guruji.

Dhanyawaad
Jeevan aabaad
Ruhaani jazbaat
Sab Aapka ashirwaad, Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sab Aapka Ashirwaad, Guruji (01/23/2023)

Simran Roopi Shringar (01/22/2023)

January 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1799

              Simran Roopi Shringar

Tumhaara chhal
Nahin hai kisee mushkil ka hal
Tumhaara jhooth
Ek din tumhee se jaayega rooth.

Tumhaara ghamand
Na jaane dega tumhe sachkhand
Tumhaara swaarth
Badhaata rahega paakhand.

Tumhaara kaam aur krodh
Roak dega tumhaara atmabodh
Tumhaari anuchit laalasa
Bigaad degi tumhaare chitt kee dasha.

Tumhaare moh ka mayajaal
Karega ek din tumhe hee behaal
Lekin bin moh ke karoge tum pyaar
Toh na hoge tum lajjit ya laachaar.

Kyunki pyaar mein hota hai bhaav samarpan ka
Lekin moh mein vaas karta hai swaarth mann ka
Pyaar kee sachchaayee se miltee hai ruhaani oonchaayee
Lekin moh se kisee ne oordhvagati na paayi.

Pyaar mein hai ibadat
Moh mein shikva shikayat
Pyaar hai strot sukh ka
Moh hai janjaal dukh ka.

Shareer beemar ho par swasth ho mann
Toh nahin hai fikr kee baat
Lekin mann ke vikaaron ka roag jo raha
Toh ashanti hee ashanti hogi tumhaare saath.

Isliye simran, dhyan, aur satsang dwaara
Mann ko nirogi karne ka karo prayaas
Varna shareer swasth ho ya ho rogi
Mann kee aarogyata kee na hogi poori aas.

Maan kar Guruji ka kehna
Pehen lo tum simran ka gehna
Hoga is gehne se tumhaare mann ka shringar
Ruk na paayega phir vahaan koi vikaar.

Nek neeyat ko banaa lo tum dwaarpaal
Guruji ke naam ko banaa lo dhaal
Sachcha prayaas tum apni oar se karoge
Toh apni atma ke muqaddar ko chamkaate rahoge.

Ye hoga nahin ek din mein ya ek pal mein
Lekin isee oar badhaate chalo tum kadam
Guruji bahut meharbaan Hain
Ve tumhaari unnati se zaroor hongei prasann.

Guruji sada rahenge tumhaare madadgaar
Ve uthaayenge tumhaare karmon ka adhiktar bhaar
Unkee kripa aur tumhaare prayaas se tumhaara mann hoga nirvikaar
Bahut kalyankaari hoga tumhaare mann ka simran roopi shringar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Simran Roopi Shringar (01/22/2023)