Shubh Avsar (01/08/2023)

January 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1785

                      Shubh Avsar

Na lagan lagaa is deh ya duniya se
Is zindagi ko jeene ke liye
Atma shareer ko pehen kar aayi hai yahaan
Apne safar ke dauran shaayad liya usne kuch palon ka viraam.

Yahaan maya ka raaj hai
Aisa hee kal thaa, aisa hee aaj hai
Jabb sabb hai maya, toh kaisa sukh dukh
Maya badal deti hai apni marzi se sabka rukh.

Maya hai Maheshwar kee shakti
Hum Guruji mein basey Shiv kee karein bhakti
Guruji kee leela hai aparampaar
Ve tum mein basee atma ka karna chaahte Hain uddhaar.

Jabb is shareer kee zindagi beet jaayegi saari
Toh atma safar rakhegi jaari
Aayegi kisee aur pehnaave mein basar karne kee baari
Hoti rahegi iskee aagey jaane kee tayyaari.

Jo tum madad karoge atma kee
Toh duuri kumm hogi atma aur Paramatama kee
Kyunki jabb takk veh na pahunchegi Paramatama ke paas
Tabb takk dono ke milan kee rahegi atma ko aas.

Guruji madad kar rahe Hain tumhaari
Lekin swatantra ichcha toh tumhaare haath mein hai
Guruji ka ashirwaad har pal tumhaare saath mein hai
Ve jaante Hain kitna sach ya jhooth tumhaari har soch aur baat mein hai.

Na karo apni chetna kee awaaz ko nazaraandaz
Tumhaare chitt kee grahansheelta hoti chale antargyani, aisa karo tum prayaas
Guruji tumhaare prayaas ko chaar chand lagaayenge
Ve atma ke safar ko aagey badhaayenge.

Guruji ka simran aur dhyan bahut asardaar hai
Yaad rahe, tumhe ye karna baar baar hai
Har vehem ko chod do taaki badhe atmabal
Apne shareer kee nashwarta yaad rakho har pal.

Ichchaaon ko tyaag kar ho jaaoge tum nirbhay
Kyunki ichchaaon se zyada honei lagta hai bhay
Moh na rakho shareer se, na kisee aur se
Varna na bach paaoge yooniyon kee baarambaar daud se.

Farz nibhaate chalo
Bhakti badhaate chalo
Ye hai adhyaatma ka safar
Yahaan har kadam par rakhna nazar.

Yahaan tumhaare vichaar aur karmon ka hoga prabhav
Is safar par na aane dena apni nishtha mein abhaav
Guruji ka shukrana karte rehna har samay
Mann mein na aane dena nakaratmak soch ya sanshay.

Shareer mein rehte huey shareer ka rakhna poora khayaal
Shareer atma ka aavaran hai, aur Guruji ka ashish hai atma aur shareer kee dhaal
Uss atma ka shukrana jisne shareer ko diye praan
Jabb atma chodegi shareer ko toh chali jaayegi jaan.

Gumm na karna kabhi bhi is baat ka
Ki antt hoga jagg ke saath ka
Kyunki atma ashapoorvak hokar badhegi aagey apne safar par
Badhte badhte veh Paramatama mein samaayegi ek shubh avsar par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shubh Avsar (01/08/2023)

Leave a comment