Udta Jaa Raha Hai (01/09/2023)

January 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1786

                 Udta Jaa Raha Hai

Udta jaa raha hai
Waqt ka vihangam
Itnee duur na ud jaane dena usey
Ki pachhtaaye baad mein tera mann.

Waqt ke vajood kee pratishtha ko pehchaan
Vartmaan ke waqt kee mahima ko maan
Ye gaya toh phir laut kar na aayega
Beete huey kal kee bhanti tu isey bhi ganvaayega.

Guruji ne har vehem hataa diya hai
Guruji ne har bhram mita diya hai
Jabb bhi jahaan bhi kar sakey
Tu karta chal Unke naam ka jaap
Guruji MahaShiv Hain
Duur karenge tere santaap.

Guruji Hain kripa dhaar
Aise jod Unse tu seedhi taar
Ki tu baahar ho ya ho ghar par
Tera chitt ho Guruji ke dar par.

Subah ho ya ho shaam
Tu leta chal mann mein Guruji ka naam
Amritvela jaag sakey toh achcha
Varna kabhi bhi kar le simran sachcha.

Dhoop ho ya ho chhaaon
Mann se chhoota chal Guruji ke paaon
Khushi ho ya ho gumm ka pal
Na soch ki tu simran karega kal.

Sewa mein aur satsang mein
Tu rangta chal naam ke rangg mein
Iska asar dikhega tere jeene ke dhangg mein
Tu jeeta chalega Guruji ke naam kee umang mein.

Mayavi hai waqt ka vihangam
Har pal hai udne ko tayyaar
Ye tere kaam aayega
Jo tu Guru se karega shraddha bhara pyaar.

Jitna kamaa sakta hai tu naam ka dhan
Waqt rehte huey le tu kamaa
Kyunki jo waqt ka vihangam udaa
Toh tu reh jaayega haath par haath dharaa.

Waqt ke vihangam kee teevra hai gati
Guruji se vintee kar ki tujhe dein sumati
Uss sumati ka sadupyog tu kar
Naam japte japte tu jaayega tarr.

Jaan tu waqt ke vihangam ka paigaam
Simar le har kshan Guruji ka naam
Waqt ke sangg bhar le adhyatmik udaan
Is mein hai tera kalyaan hee kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Udta Jaa Raha Hai (01/09/2023)

Leave a comment