Ye Pehar Bhi Bann Jaayega Itihaas (01/13/2023)

January 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1790

    Ye Pehar Bhi Bann Jaayega Itihaas

Jald hee ye pehar bhi bann jaayega itihaas
Tum abb takk baithey nahin ho Gurujī ke paas
Maana ki Guru Govind ka hai tumhaare mann mein vaas
Kintu kuch kaho Unse, aur kuch Unkee sunn-ne ka karo prayaas.

Kehna aur sunn-na dono hain zaroori
Taaki rishte mein na mehsoos ho koi duuri
Shant ho, ekant ho, toh kehna sunn-na hoga sukar
Buss, tum ho aur hon tumhaare Guruvar.

Guruji sunte Hain, ismein nahin hai koi sanshay
Guruji se baanta karo dil ka haal
Ve kisee na kisee tareh se denge jawaab
Jabb bhi tumhaare mann mein hongei sawaal.

Swapn mein, ya kisee shabad ke dwaara hee
Saakshaat darshan dekar, ya swaroop dwaara bhi
Vo titlee jo dikh jaaye mandaraati hui
Ya koi moar, ya phir kali mehekti aur muskuraati hui
Ya koi sandesh jo swayam ko doharaayega
Ya prakriti se hee koi sanket aayega.

Har bhakt ke saath anokha hai Guruji ka naata
Har bhakt ni-sandeh Unka ashirwaad hai paata
Tum bhi is sabse anmol rishte kee oar nibhaao apna kritya
Pyaar bhari bhakti se nikhaaro apna har kartavya.

Guruji kee kripa se tumhe mila hai sewa, simran, satsang ka avsar
In rehmaton se tumhaara jeevan gaya hai nikhar
Mann se kar do Guruji ko sarv-samarpan
Mil jaayega santosh ka dhan.

Na jaane do bekaar kisee pehar ko
Honei do anant antarmann kee sehar ko
Guruji ke sanatan saath ko angikaar karo
Unkee mehar ke ehsaas se chitt ka roam roam bharo
Guruji aur tumhaare beech mahafooz hai tumhaari har baat
Guruji tumhaari jholi mein barsaayenge Apne ashirwaad kee daat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ye Pehar Bhi Bann Jaayega Itihaas (01/13/2023)

Leave a comment