Aaya Aaya Makar Sankranti Ka Utsav (01/14/2023)

January 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1791

Aaya Aaya Makar Sankranti Ka Utsav

Aaya aaya Makar Sankranti ka utsav
Sabhi manaayein khushi se ye parv
Dhanu Rashi se kiya Makar Rashi mein pravesh Surya Dev ne
Sankranti ka naam paaya is pravesh ke samay ne.

Shuru hua is varsh kee nayi fasal ka mausam
Daan aur snaan ka mahatva hai sarvapratham
Din honei lagte hain lambe aur raatein hoti hain chhoti
Surya ke dharti ke uttari golaarddh mein aane se Uttaraayan kee sthiti hai hoti.

Kaha jaata hai ki Bhishma Pitamah ne shareer chodne ke liye
Makar Sankranti ke din ka kiya thaa chayan
Ganga Maiya jaakar samaayin saagar mein karne shayan
Bhagirath Maharaj ne apne poorvajon ke moksh ke liye kiya tarpan.

Bhaarat ke anek pranton mein anekon hain is parv ke naam
Jaise Tamil Nadu mein Pongal, jismein
gaay aur bhainson ko sajaakar bhakt jann karte hain unhe pranaam
Uttar Pradesh Bihar mein Khichri hai is tyohaar ka naam
Kaata jaata hai taaza dhaan
Uskee khichri ke bhog lagaate Hain Surya Bhagwaan.

Saath mein dahi chuda bhi hai banaaya jaata
Maanyata hai ki in sab se kasht duur ho jaata
Shubhta aaye iske daan se, aisa bhi hai kaha jaata
In sabse paachan kriya mein aaraam bhi hai aata.

Til aur gur ke mishran se banaayee gayi gajjak aur mithai
Sharad ritu mein shareer ko de garmi ka laabh
Hum apne vichaar, vyavhaar aur vaani ko meetha rakhein, miltee hai ye prerna
Tyohaar aane par kaash jaagey hum sabki soyi chetna
β€˜Patang Mahotsav’ manaaya jaaye is din
Patangein udtee hain, rangg unke bhinn bhinn.

Shuru hongei abb maangalik kaam
Vishnu ji kee vishesh pooja ka bhi hai vidhaan
Har oar umadta hai udaarata, prem, aur daan ka paigaam
Kaash har samay aise hee rahein hum insaan.

Aapas mein ho saamanjasya aur pyaar
Zarooratmandon kee madad karne se na karein hum inkaar
Bhojan aur bhaav mein ho sakaaratmak oorja
Insaan hain, insaan bannkar jeeyein, neki se saji ho pooja.

Guruji ne Apne bhakton ko dee hai azaadi har tyohaar manaane kee
Guruji ne β€˜banda bann’ kehkar koshish kee hai har bhakt ko samjhaane kee
Guruji chaahein hum har pal aise jeeyein jaise ho vo ek tyohaar
Khush rahein, mastt rahein, aur Unka shukrana karein baar baar.

Gupt paath, gupt sewa, gupt daan
Karne ko kahein Guruji meharbaan
Kewal Sankranti ke din hee nahin
Balki har din karein nek kaam.

Makar Sankranti mein udtee patang kee bhanti
Hamaari kahaani kee kitaab ka kaagaz bhi phat jaayega
Naam simran hai jo har janam mein kaam aayega
Guruji kee kripa se naam simran hamein sachkhand takk pahunchaayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aaya Aaya Makar Sankranti Ka Utsav (01/14/2023)

Leave a comment