January 27, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1804
Aye Mann Matvaale Mere
Aye mann matvaale mere
Bahut huey yahaan ke phere
Aa, abb dekhein asal savere
Rehkar Guruji ke nede.
Toone dekha yahaan ka tamasha
Phir kyun hai yahaan se ummeed ya asha
Toone yahaan sukoon talasha
Lekin phansta gaya maya mein betahaasha.
Maya ne tujhe bhatkaaya
Tu phir bhi samajh na paaya
Maya ne chanchal jaal bichhaaya
Tu uska shikaar bannkar pachhtaaya.
Moh mein tu dhansa, bhool gaya tu atma
Ahankar tujh par hansa, kiya usne tera khatma
Aye mann, tu karta chala manmaani
Ye thi teri naadaani.
Abb bahut hui kheencha-taani
Shukr hai toone rooh kee zarooratein pehchaani
Guruji samajhte Hain teri pareshani
Jabb ki tere sagey sambandhiyon ne teri vyatha na jaani.
Aye mann, Guruji sangg rishte mein hai ruhaaniyat
Usey nikhaar tu kar ke Unkee ibadat
Anmol hai Guruji kee har inaayat
Isliye tu chod de abb har shikaayat.
Buss, Guruji ka karta chal tu chintan
Tu shant honei lagega har kshan
Tujh mein sthirta aa jaayegi
Teri zindagi sudhar jaayegi.
Duniya ke jhamelon mein aasakt hona chod de
Guruji kee mehar mahaan hai, Unkee oar apni disha moad le
Unkee mehar se ho paayega tujhse Unka simran aur dhyan
Unkee sharan mein mitt jaayega tera janmon ka agyan.
Milega tujhe gyan aur Guruji ka pyaar
Milega Guruji se bakhshish ka uphaar
Tu Guruji ke vichaar mein zyada se zyada waqt guzaar
Dekhna, hota chalega tera uddhaar.
Tarr jaayega tu, aye mann
Sanvar jaayega tu, aye mann
Abb aur anjaan na bann
Guruji kee dee har daat se dhanwan bann.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aye Mann Matvaale Mere (01/27/2023)