January 11, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1788
Thaama Hai Jabb Se Aapne Mera Haath
Pyaare Guruvar,
Thaama hai jabb se Aapne mera haath
Diya hai Aapne jabb se Apna salona saath
Santosh hai ki bann jaayegi har bigdi baat
Jo na baney, toh uskee nahin koi ahamiyat ya aukat.
Kyunki Aap hee jaanein mere liye kya hai sahi
Kya mere lekhe mein hai aur kya nahin
Kya Aap likhna chaahte Hain dobaara
Aapko gyat hai ye saara ka saara.
Mujhe ye sab sochne kee zaroorat nahin hai, Aapka shukr hai
Jo hona hai meri zindagi mein, uskee zabse zyaada Aapko fikr hai
Aapse hee mera raasta, Aapse hee meri manzil
Ye jaan kar beparwaah ho gaya hai mera dil.
Beparwaah sahi, magar kabhi laparwah honei lagoon
Toh kar deejiyega mujhe savdhaan
Ashirwaad deejiye mujhe
Ki har din banti chaloon pehle se behtar insaan.
Zindagi mein har imtehaan kee kasauti par Khari utarne ka karti rahoon nek prayaas
Jeevan mein utaar ho ya chadhaav
Har paristhiti mein Aap par rahe mujhe atoot vishwaas.
Meri galatiyon ko kshama kar
Mujhe unse seekhne kee deejiyega subuddhi
Mann mein heen vichaar na aayein
Kar deejiyega aisee chitt shuddhi.
Bakhshte rahiyega daat sewa aur simran kee
Daan mein deejiye shanti aur sthirta mann kee
Aapse pyaar aur wafaa nibhaati rahoon
Aapki mahima ke geet gaati rahoon.
Sweekriti aur samarpan rahein mere har karma ke do patvaar
Jis bhi haalaat mein rakhein Aap, karti rahoon Aapka shukrana baarambaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Thaama Hai Jabb Se Aapne Mera Haath (01/11/2023)