Salaam (01/01/2023)

January 1, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1778

                          Salaam

Beete huey varsh ko pyaar bhara salaam
Naye varsh ko pyaar bhara salaam
Beete huey varsh ke har anubhav ko salaam
Guruji kee kripa se
Yaad rahe hamein har anubhav ka paigaam
Is varsh ke har aane wale anubhav ko bhi salaam
Jo pichhle varsh hum na seekh paaye
Guru kripa se hamein ho jaaye uss gyan ka anumaan
Guruji kee mehar se is naye varsh kee har subah aur shaam
Hum vyast rahein, mastt rahein lete huey Guruji ka naam.

Dhan daulat aayegi jaayegi
Ruhaaniyat saath nibhaayegi
Bhautikvaad kee daud na honei degi agrasar
Aatmabodh kee chetna se hee aagey badhega safar.

Kyunki pehnaava hai ye shareer, ye yaad rakhna
Lekin isee se taadaatmya sthaapit karna
Yahee bhool ho jaati hai jeete jeete is sansaar mein
Aur adhyaatmik yatra mein baadha aa jaati hai bekaar mein.

Prakriti kee paawan mahima ka karte huey satkaar
Paryaavaran par aanch na aane de hamaara vyavhaar
Bikherein hum har oar pyaar aur anukampa kee sunehri phuhaar
Rehna hai yahaan, kyun na mil jul kar banaayein isey satyugi sansaar.

Guruji kee mehar se badhti rahe hamaari Unpar aastha
Unke divya maargdarshan se tayy karein is jeevan ka raasta
Judi rahe Guruvar ke sangg antakaran kee taar
Unkee prerna se apne farz nibhaate huey sada rahein hum Unke shukraguzaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Salaam (01/01/2023)