February 1, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1809
Rudraksha
Shiv Puran mein Rudraksha, Tripund, aur Shivji ke naam
In teenon ke mahaatmay ka kiya gaya hai
gungaan
Teenon Triveni ke jaise punya dete hain param
Aur sanvaarte hain bhakton ka janam maran.
Bhagwaan Rudra ke aksh se Rudraksha ke vriksh ka hua janam
Unkee leela se inke phal kee guthali karey kashton ka haran
Jo Dev Hain sabhi Devon ke Bhagwaan
Unke ashru bhi toh hongei itne mahaan
Rudraksha karta hai sakaaratmak oorja ka sanchaar
Aur swaasthya se judey laabh hain iske kayi hazaar.
Kayi rangg ke hotey hain ye, chhote bade anek hain aakaar
Kuch halke hotey hain kuch ka zyada hota hai bhaar
Ek se anek hotey hain Rudraksha ke mukh
Kisee na kisee prakaar se dete hain ye sab sukh.
Shreshth Rudraksha hai kaunsa, likha hai shaastron aur Puran mein
Unka prataap badhta hai mantra japne ke saath, itnee shakti hai naam mein
Rudraksha dhaaran karne se hota hai kalyaan
Kaha jaata hai ki kayi niyamon ka rakhna hota hai dhyan.
Rudraksha ka moti hota hai paawan kitna
Aur Guruji ne toh uska mahaatmay badhaaya itna
Apne ruhaani sparsh ke ashirwaad se
Apne dwaara japey mantra ke prasad se.
Guruji ke paas hai Rudraksha kee divya mala
Guruji ne uss mala ko sangat ke liye jal mein daala
Banaaya amrit uss jal ko
Jis se sudhaara Unhonei bhakton ke aaj aur kal ko.
Jis jis sangat ko mila is amrit ka daan
Hua unn sabka kalyaan hee kalyaan
Kisee kisee ko Rudraksha pehen lene ka hukm diya Guruji ne
Lekin kabhi vehem na karein, ye aadesh diya Guruji ne.
Rudraksha ko maana jaata hai alaukik aur chamatkaari
Kyun na ho, aakhir Shivji ke netron ke ashruon se shuru hui unkee katha saari
Guruji se zyaada hum bhakton ke baare mein aur koi na jaane
Guruji mehar karein ki har sangat Unke dwaara diye hukm ko maane.
Rudraksha se karein, ya langar ke prasad se
Darshan dein, ya anugrihit karein jis bhi ashirwaad se
Saari sangat tarr jaati hai Guruji kee sharan mein
Sabka kalyaan nishchitt hai Unke kamal charan mein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Rudraksha (02/01/2023)