February 10, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1818
Dil Kee Dehleez Par
Dil kee dehleez par khadi thi dhadkan
Karti hui Guruji ka intazaar
Vyakul thi, daras ko thi taras rahi
Uskee aankhon se ashru kee dhaara thi baras rahi.
Achanak lagaa usey jaise uske aansoo ko Thaama kisee ne Apne haath mein
Dhadkan ne palkein uthaayeen toh dekha
Ki Guruji khade thei saath mein.
Dhadkan ne kiya Guruji ko naman
Jhuk kar chhooye Unke kamal charan
Dhadkan soch mein gayi ulajh
Na aa raha thaa usey samajh
Ki baahar kadam rakhe ya jaaye bheetar
Tabhi dhadkan se kaha Guruji ne ruk kar
Ki Ve dil mein Hain rehte
Jahaan Ve uska har dukh dard Hain sehte.
Guruji ne Apni mahima dikhaayee
Dhadkan mein Unkee khushboo samaayee
Dhadkan Guruji ke kayi swaroop dekh paayi
Aur andekhi si awaaz usey dee sunaayee.
Dhadkan ne jabb dekha
Dil ke bheetar jhaank kar
Tabb hataa veh parda
Jo thaa uskee aankh par.
Hua Guruji se uska deedar
Barsa dono oar se pyaar
Dekh kar Guruji kee leela aparampaar
Dhadkan ne jaana Guruji ke paigaam ka saar.
Jaan gayi dhadkan yeh ruhaani raaz
Ki Guruji ko dhoondh sakti hai veh baahar aur aaspaas
Kyunki Ve toh Hain har sthaan par
Parantu veh dil ke bheetar Guruji ko pehchaan
Bin vyakulta ke kendrit kar sakti hai Unpar dhyan
Aur Unkee kripa se paa sakti hai βShivohamβ ka gyan.
Dhadkan kee bebasi aur bechaini tali
Veh dil kee dehleez se dil ke bheetar chali
Neerav hui, nishchint hui dhadkan
Dil ka hua punarjeevan
Dil mein basey Guru mein dhadkan yoon samaayee
Ki sada ke liye duur ho gayi uskee tanhaayee.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Dil Kee Dehleez Par (02/10/2023)