Kalyaan Karegi Guruji Kee Mehar (02/11/2023)

February 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1819

   Kalyaan Karegi Guruji Kee Mehar

Satyuga kee subah ke baad aayi
Tretayuga kee dopeher
Phir Dwaapar kee shaam aayi aur apne baad laayi
Kalyuga kee ratri ka peher.

Saamanjasya aur sehensheelta honei lagey kumm
Vikaaron aur paapon se badhta gaya gumm
Vigyan kee badhauti awashya hui lekin maya ka badh gaya dumm
Sheeghrata se bhautikvaad kee oar badhne lagey insaan ke kadam.

Prakriti par honei lagey atyaachaar
Dikhaawa banta gaya sammaan ka aadhaar
Asal mein kumm hota gaya atma-vishwaas aur atma-sammaan
Kayi jann toh bhool gaye pooja aur Bhagwaan.

Sakaaratmakta aur sachchaayee ne muh nahin moda
Lekin nakaaratmak oorja ne badhkar santulan toda
Achchaayee ko loag samajhne lagey kamzori
Aur atma-bal kumm honei se honei lagi buraayee kee ji-huzoori.

Shaayad koi bhi praani nahin bachaa kalyuga ke prabhaav se
Kisee kee bhi kahaani adhoori nahin anubhav ke abhaav se
Badal gaye ghar parivaar
Badal gaya hai sansaar.

Kalyuga kee achchaayee par chhaane lagi
Yug Parivartan kee parchhaayee
Bhakti hee is se bachne ka saadhan hai
Sabhi ko lekin yeh baat samajh na aayi.

Lekin jinhei iska hua hai ehsaas
Unke oopar toh zimmedaari hai khaas
Kyunki ve bhakti dwaara nikhaar kar apna charitra
Apne prayaas se banaa sakte hain spandan ko pavitra.

Guruji ne pehle se hee
Dee thi chetavani is samay ke aane kee
Aur vidhi bataayee
Is samay ke klesh se bachh paane kee
Atma ke uddhaar par dhyan dete huey
Jeena hai Unke naam simran mein
Banda bann kar khud jeena hai
Aur doojon ko jeene dena hai jeevan mein.

Koi bachh nahin sakta hai yug parivartan se
Ye toh hai srishti ka niyam
Lekin atma ka safar shaayad is janam mein na ho khatam
Isliye kyun na apne har karam par nigarani rakhein hum swayam?

Taaki jabb kalyuga kee raat chuki ho guzar
Aur aaye satyuga kee pavitra peher
Toh Shiv roopi sthirta kee layy se
Judi ho aagey ke safar kee leher
Hum apni oar se nek prayaas toh karein
Nishchay hee kalyaan karegi Guruji kee mehar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kalyaan Karegi Guruji Kee Mehar (02/11/2023)

Leave a comment