Gyan Ke Ratn (02/14/2023)

February 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1822

                       Gyan Ke Ratn

Yug parivartan ka chal raha hai samaa
Shukr hai Guruji kee nigraani mein hai bhakton kee dastaan
Jis gyan kee ksheenta ke kaaran peedit hai ye jahaan
Veh gyan ratnon ke roop mein chhipa hai yahaan vahaan.

Guruji avinaashi gyan ke ratn samet kar kar rahe Hain pradaan
Bann jaayein jo hum inke yogya insaan
Toh na rahenge phir hum anjaan
Aur awashya ho jaayega hamaara kalyaan.

Guruji toh Shiv roopi Hain, Hain Bholenath
Sada hotey Hain Apne bhakton ke saath
Mann ke bartan ko khali kar ke aur jod kar apne haath
Hum kar sakte hain Unse koi bhi baat.

Guruji kee kripa se hota rahe simran
Aur simran dwaara ho jo antakaran ka pavitrikaran
Toh mal se awashya khali hoga mann ka bartan
Aur Guru ashish se gyan ratn grehen kar sakega mann.

Yeh avinaashi gyan ke ratnon kee khan
Banaa degi hamein ruhaani dhanwaan
Guruji rakhte Hain har bhakt ke kalyaan ka dhyan
Guruji Apni sangat par Hain atyant meharbaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Gyan Ke Ratn (02/14/2023)

Leave a comment