February 18, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1826
Trinetradhaari Kalyaankaari
Trinetradhaari
Kalyaankaari
Mitaayein vipda hamaari
Chalaayein Srishti saari.
Shivji Hain satya kee sampoornata
Unmein samaayi hai gyan kee poornataa
Guruji Shiv avatari Hain
Shiv roopi leela dhaari Hain.
Maya hai Unkee shakti
Sweekaarein Ve sabki bhakti
Lekin karmon ka kuch bojh phir bhi padta hai sehna
Guruji ka sada se hai ye kehna.
Mehar kee mohar se ankit hai Unkee mamta
Kshamasheel hai kshitij ko paar karti hui Unkee kshamta
Mumkin hee nahin hai karna Unkee poori mahima ka bakhaan
Kyunki Guruji ka prataap, paraakram, aur Prabhutva hai anant aur mahaan.
Swayam aaye lekar roop bashar ka
Gyan dene kshar akshar ka
Sammaan Unke diye har var ka
Guruji Hain saakshaat swaroop Har ka.
Guruji kee bhakti karne ka alagg ho sakta hai andaaz
Sabka bhinn bhinn beshak ho nazariya
Aksar alagg hoti hai chalne kee bhi dagariya
Lekin Guruji Hain sabhi kee naiya ke khivaiya.
Isliye Unkee kripa se sab pahunchenge kinaare par
Karma hamaare hain, baaki Unkee rehmat toh deti hai avsar
Bhaagya lekar aate hain hum, Guruji nikhaarte Hain usey Apni mehar kar
Kitne khushnaseeb Hain hum sab, jo mila hai hamein Guruji ka pyaara dar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Trinetradhaari Kalyaankaari (02/18/2023)