February 20, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1828
Mann Ka Shivaalay
Ye jeevan hai anubhav ka vidyaalay
Karmon ka kaaryaalay, bhaagya ka pustakaalay
Kyun na isey jeeyein
Sajaa kar apne mann ka Shivaalay?
Simran aur dhyan ke dwaara
Judein Guruji se bheetar kee gehraayee mein
Jo bhi ho jaaye, vishwaas rakhein
Guruji kee guruyaayee kee vadiyaayee mein.
Haalaat beshak dete rahein jhatke
Mann idhar udhar na bhatke
Kendrit rahe Guruji par mann har kshan
Toh buss, mann Shivaalay jaaye bann.
Guruji kee chhavi mann mein ho basee
Toh mushkilon ke dauran bhi aa jaayegi hansee
Lekin, agar aasakti duniyadari mein rahi phansee
Toh samjho ki gati vishay vikaar ke daldal mein hai phansee.
Mann ke Shivaalay mein goonje Guruji ke naam kee dhvani mangal
Guruji kee sharan mein arpit hon shraddha ke phool aur phal
Divyata kee pyaari jyot jalti rahe akhand
Guruji ko arpit hon neevenpann se naivedya mann pasand
Ho vahaan vandaneeya Guruji kee mehek ruhaani
Nirmal anand pradaan karein Guru prasad aur Gurbani.
Mann ke Shivaalay mein Guruji ka jo hota rahe deedar
Toh phir ek taraf Unka pyaar aur doosri taraf saara ka saara sansaar
Jahaan Guruji, vahaan lamhe nijee aatmeeya ekaant ke
Jahaan sansaar, vahaan anubhav bhinn bhinn drishtaant ke.
Har anubhav se seekhein, Guruji se hai ye guzaarish
Jaisa Guruji chaahein, vaisa bann jaane kee hai khwaahish
Kewal mann ke Shivaalay mein Guruji ke samaksh ho har numaaish
Vishay kee pyaas mit jaaye aur hamein taar de Guruji kee bhiksha kee baarish.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Mann Ka Shivaalay (02/20/2023)