Guruji Kee Leela (02/22/2023)

February 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1830

                  Guruji Kee Leela

Beshak maya ho tamopradhaan
Shiv avatari Guruji Hain karunanidhaan
Dete Hain Ve naam ka daan
Vidya aur gyan dene mein Hain meharbaan.

Guruji kee leela adbhut hai
Anokha hai Unka dhangg
Maya Unkee shakti hai aisee
Jiske adbhut hain rangg.

Taarta hai Guruji ka divya pyaar
Kalyaan karte Hain Ve baarambaar
Angg sangg hotey Hain sangat ke
Chaahe aayein ya na aayein nazar
Beshak lagey ki haalaat sudhar nahin rahe
Lekin, Guruji ke prataap ka tabb bhi ho raha hota hai asar.

Adrishya hai Guruji ka kalam
Jis se Ve lekh likhte Hain dobaara
Unke hastakshep ke prabhaav se
Chamak jaata hai kismat ka taara.

Guruji lete Hain bhakton ke karmon ka adhiktar bojh swayam par
Apne praarabdh karmon ke phal ka kuch ansh bhugatna padta hai magar
Isliye poori nahin hoti unn karmon ke phal se bachne kee kaamna
Hamaari atma ka uddhaar ho, isliye Guruji karaate Hain unka saamna.

Kitnee baar humne ye sab hai suna aur kaha
Aur kitnee baar mann mein phir bhi sawaal hai raha
Ki kyun aisa jeevan mein hai hota
Ki koi jaag kar hai vyakul aur koi chayyn kee neend hai sota?

Guruji kee sharan mein kar rahe hain bhakt jis ruhaani safar ko tayy
Usmein Guruji kee kripa se mitne lagta hai aisa sanshay
Guruji kee mehar aur bhakt ke nek bhaav se sthiti aati hai sweekriti aur samarpan kee
Aur jeevan chalta rehta hai chaahe jaisi bhi paristhiti ho jeevan kee.

Der se, saver se, safal honei lagta hai safar
Katt jaati hai karmon kee fasal
Har mushkil jaati hai tal
Ho jaata hai uddhaar asal.

Phir na rehta hai ye tann aur na hee iska saaya
Chalti rehti hai magar Shiv Shakti kee maya
Par brahm kee sunehri dhoop mein samaa jaati hai atma ke sangharsh kee chhaaya
Guruji MahaShiv Hain, Unhonei Apne har bhakt ko hai manzil takk pahunchaaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Leela (02/22/2023)

Leave a comment