Guru Ke Roop Mein Parwardigaar (02/08/2023)

February 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1816

   Guru Ke Roop Mein Parwardigaar

Mere shabdon mein, meri vaani mein nahin itna dumm hai
Jis bhi tareh se aur jitnee bhi mahima karoon Guruji kee, veh kumm hai
Pareshaani ke pyaale mein Guruji ne bhar diya Apna itna pyaar
Veh pyaar mere roam roam mein yoon baha
Ki pareshaani ka naamo nishaan na raha
Lekin pyaare Guruji ne mere liye usey saha.

Koi aur chaahe toh bhi aisa kar sakta nahin
Aur Guru aisa karte karte kabhi thakta nahin
Tabhi toh hamaare har sankat ka adhiktar bojh Guruji le lete Hain swayam par
Aur Apne ashirwaad ka anand barsaate Hain bhakton ke jeevan par.

Sooraj kee garmi dete Hain magar jalne se bachaate Hain
Apni aankh ke har taare par Apni mehar ka noor chamkaate Hain
Kab kiske liye kis kadam par chalne ka waqt hai sahi
Guruji ke alaawa aur koi yeh jaan sakta nahin.

Unhe sabki manzil ka pataa hai
Ve hee raasta karte Hain nirdhaarit
Kahaan rukna hai aur phir kab chalna hai
Kaunsa kasht kab aur kahaan talna hai
Har kadam par hai Unka niyantran
Besharte bhakt kar de Unhe poorna samarpan.

Har bhakt ka sahaara hai Unse
Har bhakt ke jeevan kee naiya ka kinaara hai Unse
Unhee ko paane kee chaahat hai is safar ke uddeshya ka saar
Ve kewal Guru nahin, balki Hain Guru ke roop mein Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Ke Roop Mein Parwardigaar (02/08/2023)

…Abhi Se Kar Lein Prayatn? (02/07/2023)

February 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1815

…Abhi Se Kar Lein Prayatn?

Mann ko roop deta hai hamaara har vichaar
β€˜Mera’ aur β€˜mai’ ka vichaar laaye mann mein ahankar
Aur bhautikvaadi vichaar se ashanti hoti hai baar baar
Tabhi toh anivaarya hai karna atma-vichaar.

Bhautikvaadi aur anuchit vichaaron se badhe mann kee chanchalta
Aise mein mumkin nahin mann kee sthirta
Aur sthir nahin hoga mann
Toh swayam par na ho paayega niyantran.

Jitne idhar udhar ke vichaar hongei mann mein
Utnee mushkil hoti rahegi niyantran mein
Mann shant bhi na ho paayega
Aur chhoti chhoti baaton se ghabraayega.

Dhyan mein basaa hai atma-vichaar ka raasta
Taaki mann ka chanchalta se tootey vaasta
Kyunki chanchal mann na shant rahega, na sthir
Kyunki veh vichaaron ke bhanvar se jaayega ghir.

Mann jab karega Guruji ke swaroop ka dhyan
Ya japega mantra sangg Guruji mein basey Shiv ka naam
Toh awashya hoga sthir aur shant inke prayaas se
Aur adhyaatmik gyan kee praapti mumkin hogi aise abhyaas se.

Jabb Guru Govind ke divya swaroop mein hee magn rahega mann
Toh chintaaon ke bajaaye mann karne lagega nirantar chintan
Vaise bhi, baaki sab nasht ho jaayega kisee na kisee kshan
Isliye kyun na mann ko sthir aur shant karne ka abhi se kar le prayatn?

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

…Abhi Se Kar Lein Prayatn? (02/07/2023)

Simran Ka Sukhdaayi Dhan (02/06/2023)

February 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1814

       Simran Ka Sukhdaayi Dhan

Jabb mann hota hai pareshaan
Toh aksar nahin lagta sadhna mein dhyan
Lekin tabb bhi agar hum rahein saavdhaan
Toh bhi mumkin hai jaagrookta roopi kalyaan.

Jaagrookta ka sambandh hai jeevan kee prakriti se
Isliye iske liye bhi mann mein na laayein tark
Varna sajagta toh aa jaayegi
Lekin dono mein hai bahut fark.

Kyunki sajagta gunn hai mann aur tann ka
Aur svajaagrookta toh maano hai nirgun
Sajagta se Guruji par kendrit honei ka karein prayatn
Taaki ekaagr hokar Unhee mein lagg jaaye chitt kee lagan.

Simran hai ek raasta
Aisee avastha paane ke liye
Guruji ne Apni sangat ke anginat kalyaan Simran dwaara Hain kiye.
Sajagta ke aagey badhein
Svajaagrookta kee oar chalein apnaa kar saavdhaani
Ekaagrachitt avastha awashya ho paayegi Guruji kee mehar se
Unmein dhyan lagega aur dhyan deedar karvaayega
Samadhi kee sehar se.

Adhyaatamik gyan ka honei lagega prakash
Har andhere ko duur karega aisa sakaash
Shant aur sthir hota jaayega mann
Mann Guruji mein leen rehne lagega har kshan.

Ye sab ho paaye humse
Iske liye Guruji ne bakhsha hai hamein simran
Unhee kee kripa se judta hai simran mein mann
Dhanya huey hum paakar simran ka sukhdaayi dhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Simran Ka Sukhdaayi Dhan (02/06/2023)

Na Azmaa (02/05/2023)

February 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1813

                      Na Azmaa

Na azmaa tu GurujΔ« ko, aye bande
Teri bilkul bhi ye aukat nahin
Buss, bharosa rakh atoot
Ki hogi Unkee saugat sahi.

Sahi, tere kalyaan ke liye
Aur milegi sahi samay par
Guruji tere baare mein soch rahe Hain
Beshak tujhe nahin hai khabar.

Tu maanta chal Unka hukm
Ve na honei denge tujh par koi jurm
Kintu parantu abb de tu chod
Azmaane mein apni akhandata na toad.

Guruji MahaShiv ka Swaroop Hain
Avatar Hain, jyot Hain Ve divya
Tujhe swayam itne anubhav huey hain
Phir bhi kyun hai tujhe sanshay?

Khuda ke roop mein farishte Hain
Ya farishte ke roop mein aaye thei Khuda
Ye samajh na aa sakta kabhi
Kyunki Unka divya astitva param tattva se hai juda.

Tujhse kaheen zyada shreshth hai dhool Unke charan kee
Tujhe bhikhsha milee hai Unkee sharan kee
Neevan hota jaa, Guruji mein khota jaa
Achche karmon ka beej bota jaa.

Apne ahankar ko Guruji ke charnon mein de tu tyaag
Teri β€˜mai’ ka sanhaar karegi bhakti kee aag
Isliye bhakti mein piroh tu bhaav bhola aur nirmal
Aur kalyuga mein khil, jaise khilta hai keechad mein kamal.

Jo azmaate hain, Unhe de tu azmaane
Tu Unka sangg kar, jo hain Guruji ke niswaarth deewane
Badalte rahenge yug, mausam, aur zamaane
Sachcha bhakt vo jo Guruji ka hukm maane.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Na Azmaa (02/05/2023)

Sachcha Sahaara (02/04/2023)

February 4, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1812

                Sachcha Sahaara

Samay hai yug parivartan ka
Bahut zaroori hai khayaal rakhna apne mann ka
Mann ko jitna milega khazaana Guruji ke naam ke dhan ka
Utna uddhaar hoga bhakton ke jeevan ka.

Guruji ka naam sheetal chhaaya hai
Is naam mein sampoorna ashish samaaya hai
Guruji ke naam mein hai jo pyaar
Uss se prafullit hota hai bhakton ka sansaar.

Guruji ke naam mein hai prasannata
Guruji ke naam mein hai sampannata
Guruji ka naam hai aisee aushadhi
Jis se bhakt kee aarogyata sada hai badhi.

Guruji ke naam mein hai dheeraj aur dhyan
Guruji ke naam mein hai garima aur gyan
Guruji ke naam mein hai mann ko shant karne kee shakti
Guruji ka naam hai mann ko sthir karne kee yukti.

Guruji ke naam mein neevenpann ka neer hai
Guruji ke naam mein kshamta ka ksheer hai
Guruji ke naam mein sanatan amrit dhaara hai
Guruji ka naam hee sachcha sahaara hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sachcha Sahaara (02/04/2023)

Pyaar Ka Vardaan (02/03/2023)

February 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1811

                Pyaar Ka Vardaan

Liya Guruji ka naam
Aaya Unka pratyaksh paigaam
Jod kar Unse seedhi taar
Hua anubhav sundar saakaar
Guruji ka dhanyawaad baarambaar
Unke naam kee shakti hai aparampaar.

Seedhi taar judne ka anand hai adbhut
Kyunki Guruji ke alaawa aur kisee kee nahin rehti sudh-budh
Unke aur bhakt ke beech koi ya kuch bhi aur nahin hota uss samay
Aisa divya paardarsh ho toh phir nahin rehta koi sanshay.

Guruji ka har bhakt ke sangg hai aisa naata
Ki bhakt ke koshish karne par veh seedhi taar dwaara Guruji se jud paata
Guruji kya keh rahe Hain, bhakt ke liye veh spasht ho jaata
Bhakt ko aksar apne ankahe prashn ka bhi jawaab mil jaata.

Koi aur chaahne par bhi na kar paaye veh madad
Jo Guruji kar sakte Hain
Phir bhi na jaane kyun hum aksar
Duniya waalon se ummeed karte nahin thakte hain.

Sada khula hai bhakton ke liye Guruji ka dwaar
Bhakt jabb bhi Unhe le dil se pukaar
Ekaagrata se judti hai veh seedhi taar
Jis se Guruji aur bhakt ke beech hota hai sanchaar.

Guruji ka pyaar hai anmol aur anokha
Khushnaseebon ko mila hai is pyaar ko paane ka mauka
Kalyaankaari hai rakhna is mauke ka maan
Isliye Guruji kee kripa se har bhakt ko miley is pyaar ka vardaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pyaar Ka Vardaan (02/03/2023)

Guzar Jaayegi Raat (02/02/2023)

February 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1810

             Guzar Jaayegi Raat

Raat hai andheri, tufaani bhi
Ek aur pareeksha hai zindagaani kee
Bujhne na dena tum chetna ke chiraag
Bilkul na lena vishwaas se vairaag.

Shraddha ko banaa kar apni shakti
Karte rehna tum bhaav poorna bhakti
Is raat ne sada ke liye nahin hai rehna
Simran, sewa, satsang se saral hoga isey sehna.

Tumne pehle bhi dekhi hai aisee raat
Aur tabb bhi Guruji thei tumhaare saath
Abb bhi Guruji Hain angg sangg
Isliye jaisa bhi hai is raat ka rangg
Ye raat nahin hai tikne wali
Kuch samay mein hai ye mitne wali.

Guruji bade kripalu aur dayalu Hain
Ve duur kar rahe Hain tumhaari mushkil
Tum sabr ke saanche mein Unhe shukrana karo arpan
Aur apne har kartavya ko karo Unkee sharan mein samarpan.

Beshak khatm na hoga safar
Kintu raat zaroor jaayegi guzar
Der se saver se
Sannaate kee silaayi ko udhed ke
Subah ke sooraj kee kiran dikhegi tumhaare jeevan mein
Guruji Apni marzi se lekha badalte Hain ek ya kuch kshan mein.

Mushkil lagey toh bhi muskuraate raho
Guruji ke satsang sunte aur sunaate raho
Pyaar se Guruji ko pukaarte raho
Guzar jaayegi raat, Guruji kee garima ke geet gaate raho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guzar Jaayegi Raat (02/02/2023)

Rudraksha (02/01/2023)

February 1, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1809

                   Rudraksha

Shiv Puran mein Rudraksha, Tripund, aur Shivji ke naam
In teenon ke mahaatmay ka kiya gaya hai
gungaan
Teenon Triveni ke jaise punya dete hain param
Aur sanvaarte hain bhakton ka janam maran.

Bhagwaan Rudra ke aksh se Rudraksha ke vriksh ka hua janam
Unkee leela se inke phal kee guthali karey kashton ka haran
Jo Dev Hain sabhi Devon ke Bhagwaan
Unke ashru bhi toh hongei itne mahaan
Rudraksha karta hai sakaaratmak oorja ka sanchaar
Aur swaasthya se judey laabh hain iske kayi hazaar.

Kayi rangg ke hotey hain ye, chhote bade anek hain aakaar
Kuch halke hotey hain kuch ka zyada hota hai bhaar
Ek se anek hotey hain Rudraksha ke mukh
Kisee na kisee prakaar se dete hain ye sab sukh.

Shreshth Rudraksha hai kaunsa, likha hai shaastron aur Puran mein
Unka prataap badhta hai mantra japne ke saath, itnee shakti hai naam mein
Rudraksha dhaaran karne se hota hai kalyaan
Kaha jaata hai ki kayi niyamon ka rakhna hota hai dhyan.

Rudraksha ka moti hota hai paawan kitna
Aur Guruji ne toh uska mahaatmay badhaaya itna
Apne ruhaani sparsh ke ashirwaad se
Apne dwaara japey mantra ke prasad se.

Guruji ke paas hai Rudraksha kee divya mala
Guruji ne uss mala ko sangat ke liye jal mein daala
Banaaya amrit uss jal ko
Jis se sudhaara Unhonei bhakton ke aaj aur kal ko.

Jis jis sangat ko mila is amrit ka daan
Hua unn sabka kalyaan hee kalyaan
Kisee kisee ko Rudraksha pehen lene ka hukm diya Guruji ne
Lekin kabhi vehem na karein, ye aadesh diya Guruji ne.

Rudraksha ko maana jaata hai alaukik aur chamatkaari
Kyun na ho, aakhir Shivji ke netron ke ashruon se shuru hui unkee katha saari
Guruji se zyaada hum bhakton ke baare mein aur koi na jaane
Guruji mehar karein ki har sangat Unke dwaara diye hukm ko maane.

Rudraksha se karein, ya langar ke prasad se
Darshan dein, ya anugrihit karein jis bhi ashirwaad se
Saari sangat tarr jaati hai Guruji kee sharan mein
Sabka kalyaan nishchitt hai Unke kamal charan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Rudraksha (02/01/2023)