Aayenge Jaayenge Tyohaar (03/08/2023)

March 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1844

Aayenge Jaayenge Tyohaar

Har varsh laata hai apne aanchal mein
Tyohaaron kee behti hui reet
Yaad dilaane maanav ko
Ki veh nibhaaye sabhi se preet.

Insaan hain hum, isliye aksar
Hum par aakraman karte hain madd aur matsar
Aur bhi anya vikaar banaate hain hamein shikaar
Aur inse azad honei kee prerna bhi dete hain tyohaar.

Jhooth par jeet sachchaayee kee
Buraayee par vijay achchaayee kee
Mausam mein parivartan
Shubh hota hua spandan.

Fasal bonei ka aur kaatne ka samay
Yaad dilaana paarivaarik kartavya
Dosti ka haath badhaane ka
Dvesh ka bhaav bhulaane ka.

Niraavishikaran ( detox) aur pavitrikaran
Jinke dwaara ho beemaariyon ka haran
Sadhna kee taakeed ( reminder )
Ek nayi ummeed.

Kayi tyohaaron ka hai granthon mein itihaas
Jaise Hiranyakashyap ka, jisne phailaaya thaa itna traas
Prahlad thaa suputr uska, jiska dridh thaa Vishnu ji par vishwaas
Isee vishwaas aur bhakti ne bachaaya uska shwaas.

Holika thee Hiranyakashyap kee behen
Usey mila thaa vardaan ki na hoga uska dehen
Prahlad ko maarne ke liye Holika kee goad mein usey gaya bithaaya
Jis vastr ne Holika kee raksha karni thi, veh uss kar Prahlad par aaya.

Prahlad har pal jap raha thaa apne aaraadhya ka naam
Unkee leela se hua Prahlad ka kalyaan
Holika toh jal gayi
Prahlad kee mushkil tal gayi.

Sangat ke liye Guruji ka naam
Hai raksha kavach ke samaan
Bhakt kee oar se buss bhaav shuddh ho
Guruji toh Hain karunanidhaan.

Guruji le chalein andhvishwaas se duur
Guruji kahein vehem se na hon hum majboor
Shuddh bhakti bhaav se chadhta rahe atma par Guruji ka noor
Maafi maang lein Unse jo bhi kiye hon jaane anjaane mein humne kusoor.

Har pal karey jo Guruji ka chintan
Usey kabhi na mehsoos ho akelapann
Bhakti mein leen rahe uska mann
Guru naam ke sahaare veh jee le jeevan.

Jeevan ke har din ko agar
Hum jeeyein maano veh ho tyohaar
Toh ullaas aur utsaah rahega barkaraar
Aur sadbhaav kee rahegi bahaar.

Ishwareeya shaktiyon ne aur poorvajon ne
Hamein diya hai tyohaaron ka dhan
Taaki hum naveekrit (renew) karein achche insaan bann-ne ka prann
Aur sakaaratmakta se jeeyein yeh jeevan.

Kyunki bahut anmol hai yeh manushya janam
Guruji kee sharan mein katne hain hamaare karam
Anivaarya hai neki se nibhaana insaaniyat ka dharam
Agar paana hai dham param.

Aayenge jaayenge tyohaar
Na bhoolna inka mahatvapoorna saar
Aane wali peediyon ko inke vishay mein bataayein
Taaki chalti rahein tyohaaron kee sundar paramparaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aayenge Jaayenge Tyohaar (03/08/2023)

Leave a comment