Atyant Pavitra Hai Ye Rishta (03/12/2023)

March 12, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1848

        Atyant Pavitra Hai Ye Rishta

Atyant pavitra hai ye rishta
Guruji aur shishya ke beech
Guru Apne paawan ashirwaad se
Dete Hain iskee neev ko seench.

Hotey hain badi kismat wale
Jinhe Guru Apne aanchal mein sambhaale
Is rishte ke aakhyaan hotey hain bahut anokhe aur niraale
Bhaagyashaali hai har bhakt jo apne Guru kee mahima gaa le.

Bhakt apne aaraadhya Dev ya Guru se judta hai
Bhakti ke niswaarth naate se
Guru Govind azad karaate Hain
Bhakt ko karmon ke khaate se.

Guruji Shiv avatari Hain
Ve divya leela dhari Hain
Unke ashirwaad jann hitkari hain
Unke vachan kalyaankaari hain.

Kripa karein Guruji har bhakt par
Ki bhakti par na ho bhautikvaad ka anuchit asar
Vikaar grasit swaarth kee dhool
Na karey bhakti bhaav ko pratikool.

Guruji kee sharan mein har bhakt ka uddhaar hai
Guruji ke kamal charan mein jeevan ka sudhaar hai
Is rishte mein har dosh se nivritti miley
Is rishte mein sampoorna sweekriti ka suman khiley.

Yeh rishta hai ruhaani reet
Is rishte mein ho niswaarth preet
Bhakt kee oar se ho poorna samarpan
Toh Guruji hon atyant prasann.

Is rishte kee bakhshish jo paaye
Is rishte ka satkaar jo kar paaye
Apne Guruji kee mahima jo gaaye
Veh is rishte se Guruji ka ashish paaye.

Kyunki anugraha kee Hain khan Guruji
Dete Hain jeevan daan Guruji
Asal gyan karein pradaan Guruji
Praanon mein basey Bhagwaan Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atyant Pavitra Hai Ye Rishta (03/12/2023)

Leave a comment