Guruji Dwaara Diya Divya Dhan (03/13/2023)

March 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1849

      Guruji Dwaara Diya Divya Dhan

Musaafir thaa bahut pareshaan
Usey badla badla sa lagne lagaa thaa jahaan
Moh ne bhi diya usey bahut dukh
Badalna chaahta thaa mann ka rukh.

Na khushi milee bann kar mann mukh
Bann-na chaahta thaa Gurumukh
Lambe samay se raha thaa bhatak
Adhyaatmik unnati bhi rahi thi atak.

Dhoondha usne yahaan vahaan
Ja sakta thaa veh jahaan jahaan
Beet-ta gaya samaa
Veh samajh na paaya ki jaaye toh jaaye kahaan.

Thakk kar veh ruk gaya
Akash kee oar dekha, phir jhuk gaya
Bin moondey nayyn
Dhoondhte huey chayyn
Pehle toh udaas hokar lagaa veh ronei
Phir yakaayak kisee dhvani mein lagaa khonei.

Thodi hee duur thaa ek mandir
Pujari aur bhakt thei shaayad bheetar
‘Om Namaha Shivaya’ ka ho raha thaa japp vahaan
Jiskee dhvani ka prabhaav thaa itna mahaan.

Musaafir ke kadam le chale usey dhvani ke kareeb
Lagaa jaise milee hai utsaah kee koi tarkeeb
Usey lagaa ki uske antarmann mein jaise jal gaya koi chirag
Aur jaise veh koi agyan kee nidra se gaya ho jaag.

Mandir pahunch kar gaya veh bheetar
Baithe thei bhakt jann Shivji kee moorti ke samaksh
Kuch kee aankhein khuli thein aur kuch ne aankhein thein moondi
Kayion ke chehre par bhakti bhaav thaa pratyaksh.

Musaafir bhi baith gaya jod kar haath
Japne lagaa veh bhi unn bhakton ke saath
‘Om Namaha Shivaya’ japte japte usey mehsoos hui antas mein oorja
Mann hee mann Shivji se baat karte huey karta raha veh pooja.

Amrit aur prasad paakar hua veh prasann
Uska toh vahaan se jaane ka nahin kar raha thaa mann
Pujari ji ne sabhi se kaha ki pooja hui sampann
Aur kaha ki sabhi japte rahein is shadaakshar mantra ka dhan.

Pujari ke aadesh ko maan kar
Usey apne liye kalyaankari jaan kar
Veh japne lagaa nirantar ‘Om Namaha Shivaya’
Ye mantra banaa uske uddhaar ka upaay.

Antt hua adhyaatmik nirbalta kee nisha ka
Is mantra dwaara sahaara mila sahi disha ka
Uska vichalit mann hota raha shant
Abb usey pasand aane lagaa ekant
Antakaran ka hota raha pavitrikaran
Safal honei lagaa uska janam.

Guruji ke naam ke japp kee shuruaat
Hoti hai ‘Om Namaha Shivaya’ ke saath
Mantra ke roop mein jaap hai Guruji dwaara diya divya dhan
Isko japne se shant aur sthir hota hai mann.

Guruji Hain Shivji ke avatar
Bashar bannkar aaye karne bhakton ka uddhaar
Shukrana Guruji ka aparampaar
Dete Hain Apni sangat ko itna pyaar
Sanvaarte Hain bhakton ka ghar sansaar
Karaate Hain bhavsaagar se paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Dwaara Diya Divya Dhan (03/13/2023)

Leave a comment