March 14, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1850
Na Soch Isey Akelapann
Na soch isey akelapann
Ye toh hai ekant
Aise mein kar le simran
Kar le mann ko shant.
Divyata ke saanidhya mein
Neerastaa jaati jaayegi
Guruji ke baare mein vichaar kar
Ekaagrata aati jaayegi.
Tajurba hoga anokha
Ekant mein hee hai aisa mauka
Vaheen par hoga uchit pratigyan
Uday hoga ruhaani gyan
Vichaaron kee leherein hongi sanyam mein
Anupam divya jyot jalegi mann mein.
Apni khaamiyon se bhi hoga saamna
Unpar vijay paane kee phalibhoot hogi bhavna
Khatm honei lagegi bhautik kaamna
Hoga vyarth vichaaron ka khatma
Adhyaatm praapti kee badhegi ichcha
Guru Govind ka deedar hoga sachcha.
Baahar kee bhaag daud se alagg
Ekant mein anubhav hoga jo jagg
Vahaan hogi aakarshak tanhaayee
Aur divya deedar kee shehnaayee.
Atyant sukhdaayee hai ekant ka prant
Shuddh, shubh aur shant
Guruji kee kripa se mann mein rahe Unka dhyan
Guruji bakhshte rahein bhakti, vairagya, aur gyan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Na Soch Isey Akelapann (03/14/2023)