Kabhi Na Bisaar (03/17/2023)

March 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1853

                Kabhi Na Bisaar

Simar simar simar le
Tu Guruji ka naam
Guruji ko maante huey
Guruji kee tu maan.

Unke hukm ka mool pehchaan
Jod kar Unse seedhi taar
Guruji tujhe bakhshenge
Asal gyan ka rahasya aur saar.

Simran mein hai ibadat
Simran mein hai ruhaaniyat
Simran hai tujh par Guruji kee inaayat
Shukrana kar, bhool ja har shikaayat.

Simarte simarte saaf hoga mann ka bartan
Pehle se adhik swasth hoga mastishk, tann, aur mann
Guru sahib kee mehar barasti rahegi har kshan
Praapt hoga tujhe dhyan aur gyan ka dhan.

Guruji ne tujhe raasta hai dikhaaya
Apni leela se Unhonei tujhe uspar chalna hai sikhaaya
Unke chintan se sanvar jaayegi tere antakaran kee kaya
Naam ke kavach kee badaulat na chhoo paayega tujhe nakaratmakta ka saya.

Naam hai uddhaar ka aadhaar
Shraddha se leta chal naam ka sahaara
Chuk jaayenge karmon ke udhaar
Guruji ke sanatan saath ko kabhi na bisaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kabhi Na Bisaar (03/17/2023)

Leave a comment