March 19, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1855
Sabka Maalik Ek
Sabka Maalik ek
Roop hain Jinke anek
Shraddha se maatha tu tek
Maalik sambhaalein tera kaaraj pratyek.
Guruji ke swaroop mein MahaShiv kahein
Ya kahein Shivji ke avatar
Hain Ve bhakton ke taaranhaar
Hain Ve kalyaan ka aadhaar.
Gyan hai Guruji ko hamaare ateet aur bhavishya ka
Unka chintan bhakt ko de bodh uske daayitva ka
Maalik Hain Ve, Hain Ve bakhshanhaar
Uthaate rahe Hain tere karmon ka adhiktar bhaar.
Aagey bhi uthaate rahenge Ve is bojh ko tere liye
Tu kalpana bhi nahin kar sakta ki Ve kitna sehte Hain tere liye
Maafi maang le unn dukhon ke liye jo toone Unhe hain diye
Aur unn sab paapon kee maafi jo toone hain kiye.
Jis bhi roop mein Unhe tu poojega
Unn takk tera poojan pahunchega
Unke sangg har bhakt ka rishta hai anokha
Ve dete Hain har bhakt ko seedhi taar se judne ka mauka.
Is seedhi taar kee khoobsoorati hai veh aatmeeya anubhav
Jo Guruji dete Hain Apne har bhakt ko
Guru bhakt mein ho paata hai nijee vyaktigat vaartaalaap
Adbhut si raahat paatein hain dukh santaap.
Guruji aur bhakt ke rishte kee gehraayee ke liye
Is seedhi taar ka hona hai bahut zaroori
Veh apnapan, veh divya saanidhya
Veh gopneeyataa, veh saameepya
In sabse duur ho jaati hai beech kee duuri.
Is taalmel se milti rahegi santushti
Ki Guruji kee tujh par sada hai kripa drishti
Tu shraddha aur prem bhaav se karta chal dhanyawaad
Ve karte chalenge tujhe teri har shankaa se azad.
Isliye beshak aayein imtehaan anek
Kaheen chun na lena tu avivek
Tu jaagrit rakhna apna vivek
Aur Guruji dwaara hoga tera poorna shuddhikaran abhishek.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Sabka Maalik Ek (03/19/2023)