Anantam Shukriya (03/21/2023)

March 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1857

                  Anantam Shukriya

Disha dikhe na mujhe is nisha mein
Guruji, dikhaayiye Apni chaah ke mutaabik raah
Niraasha ne gher liya hai asha ko
Aap Parwardigaar, baney rahiye aashvaasan ka aadhaar.

Aap par vishwaas honei ke bavajood pareshaan kyun hai shwaas
Is ashuddhi kee kripa kar keejiye shuddhi
Tark se na padega koi sakaaratmak fark
Deejiye samarpan ka vardaan, aye karunanidhaan.

Darr ke har avsar ka hota hai ye asar
Yaad taaza hoti hai ki Aapki mehar se ho raha hai jeevan basar
Ye sab bhi jo ho raha hai abb
Hai yakeenan Aapka pradaan kiya imtehaan.

Mujhe deejiye kshamta aur mann kee samta
Mera vivek rahe jeevit, hriday na ho peedit
Nirbhay rahoon bin sanshay
Bhakti mein daan keejiye aisee shakti.

Na karoon koi paap, mera haunsala na haraaye koi santaap
Aapse hee mera ghar parivaar, Aap Hain meri atma ka aadhaar
Har dosh se mukt keejiye, santosh se yukt keejiye
Sada Aapke darshan hon antas ke dono nayn ko, aur badhaate rahein chitt ke chayn ko.

Har seher hai Aapki mehar
Aap Hain Har roopi Guruvar
Aapke har ashirwaad ke prasad ke liye dhanyawaad
Aapka hee hai sab diya, shukriya, anantam shukriya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Anantam Shukriya (03/21/2023)

Leave a comment