Aapki Mehar-e-Nazar Kee Saugat (03/30/2023)

March 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1866

 Aapki Mehar-e-Nazar Kee Saugat

Pyaare pyaare Guruji,

Bakhshte rahiye sewa kee daat
Taaki jhel paayein apne kiye dushkarmon kee maat
Karaate rahiye simran
Taaki shant aur sthir ho paaye mann.

Dete rahiye saugat satsang kee
Rangat chadhti rahe bhakti ke rangg kee
Sewa, simran, satsang, ye ratn hain atyant moolyavaan
Aapki kripa se inse badhta rahe hamaara gyan aur dhyan.

Deejiye sabr rakhne ka hunar
Taaki tasalli se Aapki dikhaayee raah par chalein
Deejiye sanyam, shraddha, santushti
Banaaye rakhiye sangat par Apni kripa drishti.

Aise magn rahein Aapka shukriya karne mein
Ki sanshay ya shikayat ke utpann honei ka mauka na ho ratti bhar ka
Aapki raza ko hukm maankar sweekar karein sir aankhon par
Sweekriti hee veh kadam hai jo pahunchaayega samarpan kee seedhi par
Sarvsamarpan kee sumat aur neeyat bakhshiye
Aur neevanpann aisa, ki har pal satkaar ho Aapka aur Aapke dar ka.

Jaise bhi hain hum, bachche hain hum Aapke
Naadaan hain, anjaan hain, roag hain hamein paap aur santaap ke
Aapke charnon mein miltee rahe sharan
Yeh sukh milta rahe har janam
Sada yaad rahe hamein hamaari avar aukat
Miltee rahe Aapki mehar-e-nazar kee saugat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Mehar-e-Nazar Kee Saugat (03/30/2023)

Leave a comment