Awashya Lautega Ujiyaara (03/11/2023)

March 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1847

Awashya Lautega Ujiyaara

Ek daur vo bhi thaa
Jabb waqt jaagte jaagte thaa so gaya
Ek daur ye bhi hai
Jabb waqt ne angraayi lee hai.

Jaag raha hai waqt ek baar phir
Isliye tu aalasya aur nishkriyataa se aur na ghir
Toad de gati heenta kee zanjeer
Kewal Guru Govind ke aagey hai tu fakeer.

Na tootne de apna atma vishwaas
Kaayam rakh apna atma sammaan
Aisa mumkin hai bin kiye abhimaan
Agar yaad rahe ki tera jeevan hai naashvaan.

Guruji ko bataa apna dukh aur apni uljhan
Ve pradaan karenge sukoon aur suljhan
Unka diya hua mantra japta chal shaam savere
Adrishya ho jaayenge teri vyatha ke baadal ghanere.

Guruji ka hukm maan
Apna kartavya pehchaan
Na ho pareshaan
Guruji kar rahe Hain tera kalyaan.

Beshak abhi aisa lagg nahin raha tujhe
Lekin dhyan rahe ki teri shraddha ka deep na bujhe
Aur beshak tujhe koi hal na soojhe
Kintu Guru teri har paheli hai buujhe.

Abb khaaskar waqt jo gaya hai jaag
Tu bhi gatiheen avastha ko tyaag
Apni gati ko waqt kee raftaar se kar le ek
Dobaara shuru hongei tere rukey huey kaam anek.

Guruji Hain tere sanchaalak
Ve Hain tere pratipaalak
Unka har bhakt hai Unkee aankhon ka tara
Isliye tere jeevan mein bhi awashya lautega ujiyaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Awashya Lautega Ujiyaara (03/11/2023)

Mann Kee Dehleez (03/10/2023)

March 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1846

               Mann Kee Dehleez

Aandhi ke saath paani raha thaa baras
Ghar ke bheetar jaane ko raha thaa taras
Beshak paani ka vaig thaa jaise uttejit leher
Kintu dehleez ne usey na aane diya andar.

Surakshit rahe ghar mein rehne wale
Bann gaye ve swayam ko khushkismat kehne wale
Na mitti, na paani, na keechad
Ghuss paaya ghar ke bheetar.

Kaash mann bhi apni dehleez ke bheetar
Na pravesh karne de kuvichaaron kee barsaat ko
Jitna jhaankega mann bheetar kee oar
Utna surakshit rakh paayega apni paawan aukat ko.

Jo mann hua agyani aur kamzor
Toh na chalega uska zor
Aur kuvichaaron ka paani laayega ashuddhi ka keechad apne sangg
Mann par chadhta jaayega unhee vichaaron ka rangg.

Mann kee safaai chalti rahe nirantar
Taaki mal na jamne paaye andar
Swacch rahe manobhaav ka samundar
Manobal ka dwaarpal khada ho dehleez par.

Guruji kee mehar se aisee ho bhakt kee bhakti
Ki Guruji ke simran se mann ko miltee rahe aisee shakti
Jis se mann par aakraman na kar paaye koi anuchit prabhaav
Aur shuddhi aur subuddhi se sajaa rahe mann ka bhaav.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Kee Dehleez (03/10/2023)

Tera Prayaas Hoga Safal (03/09/2023)

March 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1845

          Tera Prayaas Hoga Safal

Guruji badhaayenge tera manobal
Tu Unse ardaas kar
Aur simran ka prayaas kar
Tera prayaas hoga safal.

Prayaas kee shuruaat toh kar
Na soch tu ki karega kal
Aaj bitaa le simran mein kuch pal
Tera prayaas hoga safal.

Waqt haathon se jaayega nikal
Na rehta jaaye kaheen haath mal
Kar le tu prayaas ka prann atal
Tera prayaas hoga safal.

Yakeenan dhulega tere mann ka mal
Tu bakhshish maang, na maang phal
Guruji Hain dayalu aur nishchhal
Tera prayaas hoga safal.

Jaisi bhi hai tere karmon kee fasal
Guruji ke paas hai kasht nivaaran ka hal
Ve toh niyati bhi sakte Hain badal
Tera prayaas hoga safal.

Idhar udhar ke vichaaron se na jaana phisal
Saavdhaan, tere aaspaas hai daldal
Unkee nadar se sab jaayega sambhal
Tera prayaas hoga safal.

Shaktishali hai simran aur dhyan kee anal
Tere vikaar aur dosh usmein jaayenge jal
Tu Guruji ke hukm par chalta chal
Tera prayaas hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tera Prayaas Hoga Safal (03/09/2023)

Aayenge Jaayenge Tyohaar (03/08/2023)

March 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1844

Aayenge Jaayenge Tyohaar

Har varsh laata hai apne aanchal mein
Tyohaaron kee behti hui reet
Yaad dilaane maanav ko
Ki veh nibhaaye sabhi se preet.

Insaan hain hum, isliye aksar
Hum par aakraman karte hain madd aur matsar
Aur bhi anya vikaar banaate hain hamein shikaar
Aur inse azad honei kee prerna bhi dete hain tyohaar.

Jhooth par jeet sachchaayee kee
Buraayee par vijay achchaayee kee
Mausam mein parivartan
Shubh hota hua spandan.

Fasal bonei ka aur kaatne ka samay
Yaad dilaana paarivaarik kartavya
Dosti ka haath badhaane ka
Dvesh ka bhaav bhulaane ka.

Niraavishikaran ( detox) aur pavitrikaran
Jinke dwaara ho beemaariyon ka haran
Sadhna kee taakeed ( reminder )
Ek nayi ummeed.

Kayi tyohaaron ka hai granthon mein itihaas
Jaise Hiranyakashyap ka, jisne phailaaya thaa itna traas
Prahlad thaa suputr uska, jiska dridh thaa Vishnu ji par vishwaas
Isee vishwaas aur bhakti ne bachaaya uska shwaas.

Holika thee Hiranyakashyap kee behen
Usey mila thaa vardaan ki na hoga uska dehen
Prahlad ko maarne ke liye Holika kee goad mein usey gaya bithaaya
Jis vastr ne Holika kee raksha karni thi, veh uss kar Prahlad par aaya.

Prahlad har pal jap raha thaa apne aaraadhya ka naam
Unkee leela se hua Prahlad ka kalyaan
Holika toh jal gayi
Prahlad kee mushkil tal gayi.

Sangat ke liye Guruji ka naam
Hai raksha kavach ke samaan
Bhakt kee oar se buss bhaav shuddh ho
Guruji toh Hain karunanidhaan.

Guruji le chalein andhvishwaas se duur
Guruji kahein vehem se na hon hum majboor
Shuddh bhakti bhaav se chadhta rahe atma par Guruji ka noor
Maafi maang lein Unse jo bhi kiye hon jaane anjaane mein humne kusoor.

Har pal karey jo Guruji ka chintan
Usey kabhi na mehsoos ho akelapann
Bhakti mein leen rahe uska mann
Guru naam ke sahaare veh jee le jeevan.

Jeevan ke har din ko agar
Hum jeeyein maano veh ho tyohaar
Toh ullaas aur utsaah rahega barkaraar
Aur sadbhaav kee rahegi bahaar.

Ishwareeya shaktiyon ne aur poorvajon ne
Hamein diya hai tyohaaron ka dhan
Taaki hum naveekrit (renew) karein achche insaan bann-ne ka prann
Aur sakaaratmakta se jeeyein yeh jeevan.

Kyunki bahut anmol hai yeh manushya janam
Guruji kee sharan mein katne hain hamaare karam
Anivaarya hai neki se nibhaana insaaniyat ka dharam
Agar paana hai dham param.

Aayenge jaayenge tyohaar
Na bhoolna inka mahatvapoorna saar
Aane wali peediyon ko inke vishay mein bataayein
Taaki chalti rahein tyohaaron kee sundar paramparaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aayenge Jaayenge Tyohaar (03/08/2023)

Bhakti Ke Rangg Mein (03/07/2023)

March 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1843

            Bhakti Ke Rangg Mein

Rangg jaayein Guruji kee bhakti ke rangg mein
Guruji hee Guruji hon angg sangg mein
Toh safal ho jaaye holi ka tyohaar
Tann mann mastishk ka ho jaaye uddhaar.

Dhyan rahe Guruji ka
Sammaan rahe Guruji ka
Rangg na ho kachcha
Bhakti ka bhaav ho sachcha.

Bhakti ka rangg ho jitna gehra
Utna milega Guru Govind ka pehra
Aagey ka safar hota chalega sunehra
Guruji ke noor se khila rahega chehra.

Aaj holi ke tyohaar par
Apne bheetar daalein nazar
Chalaayein swayam par bhakti ke rangg kee pichkaari
Taaki holi ka parv ho jaaye hitkaari.

Sabhi ko mubarak holi ke utsav kee
Sakaaratmakta se sajey zindagi sab kee
Koi bhi praani sukh santosh ke liye kabhi na tarse
Guruji ka aisa anupam ashirwaad sabhi par sada barse.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bhakti Ke Rangg Mein (03/07/2023)

Sashakt Baney Ye Baanvra Mann (03/06/2023)

March 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1842

  Sashakt Baney Ye Baanvra Mann

Zarooratein seemit hain lekin
Khwaahishon kee kamee nahin
Mann hai aisa baanvra
Ki usey lagey ye hai sahi.

Lekin jaagrookta sikhaaye
Ki khwaahishein nahin deti hain tripti
Balki phanste jaate hain unke daldal mein
Koi madad nahin miltee kisee mushkil ke hal mein.

Guruji ne diya hai naam ka daan
Unkee mehar se ho paaye simran aur dhyan
Unhe ardaas karein ki hum mein jaagrit ho adhyaatma ka gyan
Aur hum khwaahishon kee nirarthakta ko lein pehchaan.

Mumkin hai ki zidd karne par
Guruji poori kar dein khwaahish har
Lekin unkee poorti se jude hongei jo parinaam
Unka saamna karna hoga hamaara kaam.

Aur khwaahishein toh khatm na hongi kabhi
Mann jab takk banaa rahega swami
Santushti bhi aayegi tabhi
Jabb mann ko das banaa lenge hum praani.

Manobal badhaana zaroori bhi hai
Manobal badhaana majboori bhi hai
Taaki mann ho paaye apne niyantran mein
Aur badhauti ho santushti aur sanyam ke dhan mein.

Guruji chaahein hamein taarna
Hamaare mann ko sudhaarna
Hamaare jeevan ko sanvaarna
Hamaari soch ko nikhaarna.

Simran, dhyan, aur sadhna
Jabb ho inkee kaamna
Guruji se ardaas ho ki aisee khwaahish poorna ho
Taaki uddhaar sampoorna ho.

Hotey hotey hota hai simran
Maalik kee bakhshish se
Guru dwaara hee milan hai mumkin
Bande ka apne Ish se.

Yahee khwaahish hai shubh
Yahee khwaahish hai saarthak
Is khwaahish mein kalyaan hai
Ismein nahin hai koi shak.

Khokhli hai shaayad baaki har khwaahish
Isliye Guruji se karein guzaarish
Ki Ve karte rahein aisa maargdarshan
Ki sashakt baney ye baanvra mann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sashakt Baney Ye Baanvra Mann (03/06/2023)

Adhyaatmik Sukh Ka Hak (03/05/2023)

March 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1841

        Adhyaatmik Sukh Ka Hak

Abb bhi waqt hai bande, jaag
Maya ke jaal mein phanse se duur bhaag
Maya ne toh jaal phailaaya hee hai
Aur phansaane hetu toh paryaapt maya ka saya hee hai.

Na hota chal maya se behaal
Tujhe milee hai Guruji ke naam kee dhaal
Tu toh hai Guruji ka laal
Unhee se baanta kar tu apne dil ka haal.

Maya kee chamak jitnee prabal hoti hai
Utna hee andhkaar laane kee hoti hai usmein kshamta
Aur maya ke jaal mein phanste phanste
Uss se nikal paane mein badhti jaati hai kathinta.

Maya toh rahegi har oar
Lekin bandhi hai teri Guruji sangg doar
Sansaar mein jeete huey apni disha le tu moad
Toh baahar kee raat mein bhi tere bheetar hogi bhor.

Guruji ke simran aur dhyan mein hai adbhut shakti
Jo deti hai jaagriti aur sumati
Pavitrikaran dwaara sanvarti hai antarmann kee aakriti
Aur gehri hoti hai bheetar jhaanke kee pravritti.

Is se sookshma gyan kee hoti hai vriddhi
Badhti hai subuddhi aur chitt kee shuddhi
Isliye karta chal Guruji se ardaas
Ki lagti rahe tujhe simran kee pyaas.

Aisa prayaas dega tujhe adhyaatmik sukh
Maya mein nimagn honei ke bajaaye asal gyan kee oar hoga tera rukh
Tujh par kumm hota jaayega maya ka asar
Aantrik safar mein hoga tera yeh jeevan basar.

Ho sakta hai ye mumkin Guruji kee mehar se
Lekin jaise mahasaagar nahin hota ek hee leher se
Vaise hee ek din kee nahin hai ye prakriya
Lekin tu jalaa kar toh dekh hriday mein nek neeyat ka deeya
Jisey bhi hui aise sukh kee praapti
Usne Guruji ko samarpan hai kiya
Tu bhi paa le adhyaatmik sukh
Guruji ne ye hak tujhe bhi hai diya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Adhyaatmik Sukh Ka Hak (03/05/2023)

Amrit Kee Dhaara (03/04/2023)

March 4, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1840

                 Amrit Kee Dhaara

Guruji kee chuppi mein bhi shakti hai aisee aparampaar
Ki saare sansaar ke shor ko bhi kar le veh paar
Jo Mahadev Hain sampoorna srishti ka aadhaar
Guruji Hain Unhee Mahadev ke avatar.

Har pal angg sangg Hain khade
Phir bhi Hain Ve samay se parey
Tu kyun apne bhaagya se ladey
Guruji Hain sabse bade.

Teri har mushkil se bade
Teri har khwaahish se bade
Tere har khwaab se bade
Kaayinaat ke har khitaab se bade.

Phir kaisa bhayy
Kaisa sanshay
Kaisa ghabraana
Kaisa hichkichaana?

Buss, paakar Unhee ka sahaara
Teri raahein roshan karega har taara
Guruji ka shukrana kar ki Unhonei tujhe hai sweekaara
Unka ashirwaad hai nirantar behti amrit kee dhaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Amrit Kee Dhaara (03/04/2023)

Guruji Ka Kripa Prasad (03/03/2023)

March 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1839

            Guruji Ka Kripa Prasad

Poore sansaar ka bhraman na de paaye vaisa sukh
Jo milta hai Guruji kee sharan mein
Bahut kismat wale hain hum sabb
Jinhe jageh milee hai Guruji ke kamal charan mein.

Kitna kuch ho raha hai aaspaas
Ek oar suvidhaaein, toh dooji oar tareh tareh ke traas
Kalyuga ke spandan mein le rahein hain hum shwaas
Sabhi ko ho raha hai ajab ehsaas.

Guruji kee mehar se hamein mil raha hai simran aur satsang ka ashirwaad
Aarogyata bakhshne ke liye Guruji de rahe Hain chai prasad aur langar prasad
Bhakti ka utsaah kar raha hai antakaran ko aabaad
Guruji ke prem mein magn hai dil ka jazbaat.

Niyati mein likhi hai kshati agar
Guruji hee kar sakte Hain kumm uska asar
Jis bhi tareh se Ve karna chaahein hamein agrasar
Unse vintee hai ki ho Unka hukm hamaare sir aankhon par.

Guruji Shiv avatari Hain
Ve kripalu leela dhari Hain
Kuch bhi nahin hai Shivji ke hukm se bada
Har devta bhi Unke hukm ke aagey sir jhuka kar ho khada
Isliye jisne Guruji ka hukm maana, veh adhyaatmik seedhi hai chadhaa
Veh Guru bhakti se himmat paakar har haanikaarak taakat aur kamzori se hai ladaa.

Jaise jaise aa raha hai aagey ka samaa
Aur bhi zaroori hota jaa raha hai karna sadhna
Guruji se judi rahe jo mann kee taar
Toh aise kathin waqt mein bhi awashya mumkin hai uddhaar.

Karte huey Guruji ka dhanyawaad
Santushti se lein Unka ashirwaad
Har paash se Unka ashirwaad karaayega hamein azad
Dhanya hain hum paakar Guruji ka kripa prasad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ka Kripa Prasad (03/03/2023)

Is Satya Se Koi Na Rahega Anjaan (03/02/2023)

March 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1838

  Is Satya Se Koi Na Rahega Anjaan

Muskaan Jinkee mandd mandd hai
Bhola bhaav Jinhe pasand hai
Jinkee chhavi mein nirmal anand hai
Jinkee leela aparampaar aur akhand hai.

Kisee mein kaabiliyat nahin
Ki jhank sakey Unke naynon kee gehraayee mein
Har bhakt kee har uljhan kee suljhan hai
Unkee guruyaayee kee vaddi vadiyaayee mein.

Ve Hain parampoojya Guruji pyaare
Jinke noor ke sanmukh sharmaate hain chaand aur taare
Sooraj Jinhe karta hai naman
Vayu karti hai Jinka vandan.

Akash Unke abhinandan mein jhuk jaata hai
Paani Unke pavitra spandan se amrit bann jaata hai
Prithvi Unke paawan paaon ke sparsh se anugraha Unka paati hai
Agni Unke aagaman se maano yagya ke shrey se kritaarth ho jaati hai.

Guruji par vishwaas ka ehsaas
Banaa deta hai jeevan ko khaas
Chunautiyan aur aandhiyan aati hain magar
Guruji unn sabke beech se bhi banaa dete Hain chalne kee dagar.

Bhakt ka socha aur kaha
Kabhi ansuna nahin karte Hain Guruji
Lekha dobaara likhte likhte toh
Bhakt ke bhaagya ko badalte Hain Guruji.

Bin maange karte Hain bhakton ka paropkaar
Unkee rehmatein deti hain har bhakt ko taar
Unkee mehar se Unse seedhi jud jaaye jiske antakaran kee taar
Sahi samay aane par nishchit hee hoga uss jann ka uddhaar.

Guruji ko hee hai sahi samay ka gyan
Hum bhakt jann hain kewal insaan
Guruji karte Hain sabka kalyaan
Is satya se koi na rahega anjaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Is Satya Se Koi Na Rahega Anjaan (03/02/2023)