Pardes Laagey Yeh Sansaar (04/30/2023)

April 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1897

     Pardes Laagey Yeh Sansaar

Param poojya Guruji,

Pardes laagey yeh sansaar
Maya kee behti hai dhaar
Mann ka paatr Aapki kripa se bharta rahe
Toh Aapka ashirwaad har duvidha ko harta rahe.

Mann akhand ho taaki Aapka ashirwaad usmein samaaya rahe
Ye nacheez Aapse vintee karte huey ye kahe
Deejiye aisee subuddhi
Ki vichaaron mein rahe shuddhi.

Yahaan hoon mai ek mehmaan
Ekmaatra sahaara hai Aapka naam
Sotey huey bhi rehti hai bheetar ek ruhaani pyaas
Is pardes mein bheetar swadesh kee anubhooti hai bahut khaas.

Aapse baatein karte karte jabb bitatee hoon samay
Toh mitne lagte hain anekon sanshay
Aapke baare mein jabb karti hoon vichaar
Toh Aapki divya khushboo se aksar mehekta hai ghar ka dwaar.

Jabb Aapki mehar se hota hai Aapka simran aur dhyan
Toh har baar ehsaas hota hai ki Aap meri kisee bhi uljhan se nahin Hain anjaan
Aap Hain Mahesh, Aap Shivroop mein is Brahmand ke Naresh
Aapki kripa se hee pardes mein rehte huey bhi bheetar praapt hota hai swadesh.

Antas mein jalti hui Aapke naam kee divya jyot ko mera shat shat naman
Aapke charanarvindon mein jhuka rahe sada mera tann aur mann
Pardes mein rehte huey Aapne mujhe bakhsha hai swadesh har kshan
Aapka koti koti dhanyawaad karey meri har dhadkan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pardes Laagey Yeh Sansaar (04/30/2023)

Atma Ka Safar (04/29/2023)

April 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1896

      Atma Ka Safar

Moksh par muqammal hota hai atma ka safar
Raaste mein honei wale har anubhav ka hota hai safar par asar
Guru Apni oar se beshak nahin chodte bhakt kee madad karne mein koi bhi kasar
Lekin bhakt ko nirantar aagey badhne ke prayaas mein jeevan karna hota hai basar.

Dharma, arth, kaam, moksh shaamil hain purusharth mein
Ek tareh se yahee hai uddeshya hamaare jeevan ka
Anivaarya hai har stambh kee oar farz nibhaana
Agar safal hokar antim stambh takk hai jaana.

Karna hoga paalan naitik aur bhautik siddhaant ka
Bhog ke sangg yog ka karna hoga abhyaas
Is safar ko sampoornata takk pahunchaane ke liye
Zaroori hai jalaane atma gyan ke deeye
Nahin jeena kewal shareer kee khaatir
Balki atma ke liye mann ko karna hoga sthir.

Maante rehna hoga Guruji ka har hukm
Aasakti bhaav ko manobal dwaara karna hoga khatm
Karna hoga saattvik siddhaanton ka anusaran
Purushaarth kee siddhi kee oar karna hoga dridh nishchay aur prayatn.

Guru Govind karenge madad zaroor
Ve nikhaarenge har bhakt kee atma ka noor
Divya ashirwaad se milega adhyaatmik unnati ka vardaan
Deh mein basee atma ka awashya hoga kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Atma Ka Safar (04/29/2023)

Bhatakte Bhatakte (04/28/2023)

April 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1895

              Bhatakte Bhatakte

Bhatakte bhatakte thakk raha hai tera mann
Idhar udhar kee soch se pecheeda ho raha hai tera jeevan
Guruji se guzaarish kar ki Ve bakhshein tujhe simran
Taaki santon kee vaani se goonje tere antas ka upvan.

Is upvan mein vikaaron ke aate rahe hain tufaan
Tu agyan vash raha hai is hakeekat se anjaan
Is upvan mein hoti rahi hai tark vitark kee aisee baad
Jis ne upvan kee shanti aur sundarta ko diya hai ujaad.

Baahar beshak ho din
Lekin tere antas mein hai jo andheri raat
Uska antt hoga aarambh simran kee shuruaat se
Tera kalyaan nishchit hai simran kee daat se.

Guruji Hain bahut hee meharbaan
Simran hotei hotei ho paayega tujhse dhyan
Dhyan dwaara praapt hoga tujhe jo param gyan
Uske prakash mein na rahega andhere ka koi bhi pramaan.

Tu prayaas rakh jaari
Aayegi tere mann ke shant honei kee baari
Pecheedepann ka ho jaayega khandan
Hota jaayega tere antas ka pavitrikaran
Bhatakna chod dega tera mann
Manobal badhta jaayega har kshan.

Vikaaron ke tufaan jaayenge thamm
Tu jaayega Guruji ke naam mein ramm
Guruji par ho jaayega jo tera vishwaas atoot
Toh tark vitark bhi jaayega chhoot.

Sweekriti hogi, hoga Guruji ko sab samarpan
Mann ko unmat na kar paayega koi bhi vikarshan
Tujhe milta rahega bakhshish ka dhan
Guruji kee mehar se sanvar jaayega tera janam maran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhatakte Bhatakte (04/28/2023)

Sewa Aur Simran Kee Anmol Daat (04/27/2023)

April 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1894

 Sewa Aur Simran Kee Anmol Daat

Guruji se milee hai tujhe saugat
Sewa aur simran kee anmol daat
Is daat mein samaaya hai tera kalyaan
Is daat ka kar tu har pal sammaan.

Bilkul na aane de mann mein abhimaan
Satark reh, reh saavdhaan
Abhimaan mein hota hai agyan
Shubhta ka kar deta hai veh apmaan.

Jitnee sewa miltee hai Guruji se
Utna neevan tu hota jaa
Jitna simran bakhshte Hain Ve tujhe
Tu vinamrata se usmein khota jaa.

Jitnee neki se nibhaayega tu sewa aur simran
Utna hee shant hota jaayega tera mann
Utna hee sanvarta jaayega tera jeevan
Utna adhik hota jaayega tera ruhaani dhan.

Vahee dhan toh hai atma ka saathi
Bhautikvaad kee daud atma ko nahin bhaati
Atma ka uddeshya toh hai Paramatama se milan
Isliye sewa aur simran kee daat hai sabse anmol ratan.

Isee ratan se hota chalega tera atma-manthan
Isee se swasth rahega tera antarmann
Guruji kehte Hain, β€œBanda bann”
Sewa simran tujhe banaayenge is prayatn mein sampann.

Khaaskar is kalyuga ke samay mein
Tu na rahe kisee sanshay mein
Isliye Guruji sewa aur simran ke dwaara
Banenge har duvidha mein tera sampoorna sahaara.

Guruji ka kar dhanyawaad
Unhonei sewa aur simran se kiya hai tera jeevan aabaad
Sewa aur simran se teri zindagaani kee kahaani
Har pal banegi aur bhi ruhaani aur suhaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sewa Aur Simran Kee Anmol Daat (04/27/2023)

Komal Aur Nirmal Aseem Pyaar (04/26/2023)

April 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1893

    Komal Aur Nirmal Aseem Pyaar

Guruji ke bhakton par
Baras raha jo beshumaar hai
Veh param poojya Shivroopi Guruji ka
Komal aur nirmal aseem pyaar hai.

Guruji hee jaanein kabb se baras raha hai yeh pyaar
Is paawan pyaar se tarr raha hai bhakton ka ghar parivaar
Is pyaar kee baarish agochar ho toh bhi har pal barkaraar hai
Is pyaar mein mamta bhara laad, poshan, aur dulaar hai.

Guruji ke sabhi bhakt hain Unkee aankhon ke taare
Sabhi Guruji kee mehar se hee pahunche hain Guruji ke dwaare
Jo bhi Guruji ko bhole bhaav se pukaare
Guruji aayein bannkar uske liye sahaare.

Guruji ke pyaar kee baarish kee har boond hai anmol
Is boond mein samaaye huey prem ratn ko koi nahin sakta tol
Aa jaaye agar akaal bhi poore sansaar mein
Toh bhi katauti na hogi is baarish kee bauchar mein.

Bahut shaktishali hai is baarish ka pyaar roopi jal
Is jal se bhakton ke anek kasht jaate hain tal
Is jal ke ruhaani sparsh mein basaa hai anginat museebaton ka hal
Is jal se Guruji ke bhakt bheegte rahenge aaj aur kal.

Jo bheege is baarish mein aaj se pehle, unka bhi hua kalyaan
Unmein se kitnon ne satsang ke roop mein kee hai apni dastaan bayaan
Guruji Hain nath, meet, Guru, aur maargdarshak mahaan
Apne bhakton ke liye bashar ke roop mein dharti par aaye swayam Bhagwaan
Jin par Guruji aaj aur aane wale kal mein hongei meharbaan
Guruji ke baraste pyaar se unka bhi awashya hoga kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Komal Aur Nirmal Aseem Pyaar (04/26/2023)

Jeevan Mein Aayein Jaise Bhi Moad (04/25/2023)

April 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1892

Jeevan Mein Aayein Jaise Bhi Moad

Jeevan mein aayein jaise bhi moad
Jaisi bhi ho jeevan kee gati kee daud
Guruji sada Hain angg sangg tere
Har din, har peher, har shaam savere.

Kisee prakaar ka gumm na kar
Kisee bhi aapatti se na darr
Jeete jee kyun raha hai marr
Abhi toh tayy karna hai safar.

Ho sakta hai ki safar mein kuch vipadaaein hon bhari
Mumkin hai ki ho jaaye ek ya anek beemari
Lekin teri doar thaame Huey Hain MahaShivavatari
Unkee zimmedaari hain teri museebatein saari.

Beshak jo ho raha hai veh upajaa hai tere karma se
Guruji Apne ashish se tera har karma katvaa rahe Hain
Aur kalyaan kee is vidhi ke dauran
Guruji ne hamesha tujhse adhik kasht sahe Hain.

Nishchay hee bahut khushkismat hai tu
Ki miley Hain tujhe aise pooran Guru
Jinhe miltee hai itne paraakrami Guru kee sharan
Sanvar jaata hai unn sabka janam aur maran.

Phir kisee duvidha ka toh nahin hai koi bhi sawaal
Bahuton se achcha hai, jaisa bhi hai tera haal
Aagey bhi jo hoga, veh hoga sarvottam Guruji ke ashirwaad se
Tu buss Guruji ko prasann karta chal apne nishkapat nek neeyat dhanyawaad se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jeevan Mein Aayein Jaise Bhi Moad (04/25/2023)

Adi Shankaracharya (04/24/2023)

April 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1891

             Adi Shankaracharya

788 isveen ke Vaisakh maas kee Shukla panchami ka din thaa itna shubh
Uss din aise bachche ne janam liya jo thaa Shivavatari
Itna mahaan, itna vinamr aur gyani
Jiska janam hua jagat ke liye kalyaankari.

Kaalaadi gaaon ka hua paawan naam
Bannkar Adi Shankaracharyaji ka janma sthaan
Pita Shivguru aur Unkee patni ne kee tapasya kathin aur nishthaavaan
Shivji ko prasann kar milee dhanya mata pita ko yeh santaan
Jinhe Mahadev ne diya sarvgun sampann honei ka vardaan
Shankar hua isliye Unka baalpan mein hee naam.

Panch varsh ke honei takk
Ho gaya Unhe shashtron, puraanon ka poorna gyan
Maanav ke roop mein divyata ke Ve thei Swaroop shuru se
Shivji kee kripa se milan hua Unka aagey chalkar Apne Guru se
Chhoti si umr mein paana chaaha Unhonei tattva gyan
Khojne chale maarg aur manzil yahaan vahaan.

Pita chal basey aur mata kee oar se Shankar par moh bhari mamta bahi
Jaante thei Shankar aur Unkee mata ki Unkee deerghaayu hogi nahin
Phir bhi baalak chaahte thei karna vairagya vyateet lekar sanyaas
Aakhir mata ne agya dee ki Ve kar lein mannchaaha prayaas.

Swami Govindpaad ka suna jo Unhonei naam
Utsuk Huey ki kahaan thaa in Mahayogi ka dhaam
Ek sanyaasi ne kaha Unse ki Ve jaayein Omkarnath jisey Vendoorya Mani Parvat bhi kaha jaata hai
Abb toh in baal sanyaasi se na raha gaya.

Aaye Ve Narmada nadi ke kinaare
Pahunche ek gufa ke dwaare
Jata dhaari yogi thei vahaan
Kar rahe thei tapp aur sadhna.

Vaheen se mila Govindpaad Swami ka pataa
Badh gayi Shankaracharya ji kee Unse milne kee vyakulta
Bahut hitkaari hua Shankar ka Unse saakshaatkaar
Guru ne shishya Shankar ko bheja Kashi nagar ke dwaar.

Manikarnika Ghat ke sameep kiya Unhonei Brahmasutra bhaashya ka lekh
Kashi mein huey Unhe Shivji aur Vyaas ji ke darshan
Unke kiye atma-prakash se tarne laga thaa abb takk sansaar
Vyaas ji ke aadesh par Unhonei shuru kiya advaitvaad ka prachaar.

Bhaarat desh ka kiya bhraman aur char matth kiye sthaapan
Brahmasutra ke alaawa anek aur granthon kee Unhonei rachna kee
Dharmik maanyata se Unhe maana jaata hai Shivji ke avatar
Kedarnath dhaam mein Unke maanav shareer ne choda yeh sansaar.

Bhaagyashaali hain hum Shivavatari Guruji ke bhaktjann
Kyunki Guruji ne bhi jagat kalyaan ke liye liya maanav janam
Maha gyani leela dhari maha parakrami Guruji pyaare
Shukrana Unkee mehar ka, jo bhakton ke Unhonei kaaj sanvaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Adi Shankaracharya (04/24/2023)

Udaan (04/23/2023)

April 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1890

                           Udaan

Ummeed kee udaan bharte rahein
Baith kar hum vishwaas ke vimaan mein
Guruji bade dayalu Hain
Na chodenge koi bhi kasar hamaare kalyaan mein.

Vimaan mein baithey huey ekaagra rahein hum Guruji ke vandan mein
Akhandata kee oorja se vimaan udta jaayega aseem gagan mein
Sanyam aur shraddha se bhakti ko sajaayein
Udte huey poore sansaar ko Guruji kee mahima sunaayein.

Guruji kee mehar se hamaare antas mein hota rahega jo simran
Uske dwaara hum safar mein kar paayenge dhyan bhara chintan
Raaste mein agar tufaan ya aandhi banenge archan
Toh bhi hum na vichalit honei denge apna mann.

Koshish karein Guruji ko karna sarvsamarpan
Ve karenge har baadha ka khandan
Ve swasth rakhenge hamaara mastishk, mann, aur tann
Ve udaan mein hamaare angg sangg rahenge har kshan.

Jitna neeven hokar hum udenge
Pahunchenge utnee oonchaayee par
Jitna shuddh hoga bhaav hamaara
Guruji utna prasann hongei hum par.

Guruji, kripa kar bakhshiye sumat aisee
Ki udaan ho Aap chaahein jaisee
Aapse hee hai udaan aur vimaan shaktimaan
Ek Aap hee kar sakte Hain Apne bhakton kee udaan ko manzil pradaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Udaan (04/23/2023)

Sangam Yug Ka Hai Zamaana (04/22/2023)

April 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1889

    Sangam Yug Ka Hai Zamaana

Sangam yug ka hai zamaana
Anivaarya hai khud ko jagaana
Varna dukh nahin hongei khatm
Hotey rahenge bhautikvaad se zakhm.

Naam japna hai bahut hee zaroori
Kumm karni hogi ruhaaniyat se duuri
Maana ki hum hain ruhaani praani
Lekin adhiktar kee kalyuga mein mudd gayi doosri taraf zindagaani.

Guruji ne daya kar diya hai apna naam
Is naam ke japne se nishchit hai kalyaan
Kyunki Guruji Hain divya jyot mahaan
Jinke ashish se jyotirmay hoti hai bhakton kee dastaan.

Yug parivartan mein hamein bhatakne se bachaayega atma-chintan
Guruji se vintee karein ki Ve bakhshte rahein hamein dhyan aur simran
Jitna karenge nek neeyat se Gurbani ka hum shravan aur manan
Guruji kee mehar se saadagi aur gyan se sampoorna hota chalega jeevan.

Bahut kalyaankaari hoga aantrik parivartan
Is prayaas se vash mein honei lagega mann
Vishayon mein aasakti honei lagegi kumm
Guruji kee kripa se badhta chalega atma-niyantran.

Raasta khulta jaayega atma-saakshaatkaar ka
Guruji Apni leela se karenge prabandh hamaare uddhaar ka
Baahari yug badalega toh bhi satyuga hoga bheetar
Ye sab mumkin na hoga bin Guruji kee nadar.

Khud ko badalne mein hai sudhaar ka rahasya
Anivaarya hai nibhaana apna kartavya
Guruji ke parivaar ke hain hum sab sadasya
Guruji kee kripa se awashya milega hamein jaagriti ka gantavya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sangam Yug Ka Hai Zamaana (04/22/2023)

Veh Thoda Hai (04/21/2023)

April 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1888

                  Veh Thoda Hai

Hawaa ka jhonka kya hilaayega usey
Jo kar sakta hai saamna tufaan ka
Lekin uss shakhs ke liye aisee himmat tabhi mumkin hai
Jabb uske sir par haath ho Guru ke roop mein Bhagwaan ka.

Guruji kee sangat hai itnee khushnaseeb
Ki Guruji agochar hotey Huey bhi Hain har ek ke kareeb
Guruji ka koi bhi bhakt nahin hai gareeb
Kyunki Guruji aaye bannkar bashar najiib.

Guruji agochar hotey Huey bhi bhakt ka saath dete Hain har pal
Unke ruhaani maargdarshan se itne sanshay jaate hain tal
Guruji kee dee sumat se bhakt kee uljhan jaati hai sulajh
Naadaani mein bhi kayi baatein aa jaati hain samajh.

Sampoorna suraksha hai Guruji ke charan mein
Adhyaatmik deeksha miltee hai Unkee sharan mein
Veh madad karti hai jeevan aur maran mein
Aur dukh santaap ke haran mein.

Guruji rehte Hain Apne bhakton ke adheen sada
Ve sada sunte Hain bhakton kee sada
Bhakt ko Guruji ke kar kamal mein trishul ya damroo shaayad na dikh paaye
Kintu Guruji kee leela Unke MahaShiv honei ka poorna saakshya dikhaaye.

Kitnon ko pyaare Guruji ne swayam se joda hai
Kitnon kee kismat ka rukh Unhonei shubhta kee oar moda hai
Kitnon kee shuddhi kee hai aur kitnon ka ahankar Unhonei toda hai
Unka jitna bhi dhanyawaad kiya jaaye, veh sach mein thoda hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Veh Thoda Hai (04/21/2023)