Apni Manzil Ke Nede (04/08/2023)

April 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1875

Apni Manzil Ke Nede

Pyaare Guruvar,

Aap meri rooh ke rahnuma pyaare
Meri rooh ka safar hai Aapke sahaare
Aapki mujh par hain rehmatein kayi hazaar
Aapki har rehmat ke liye hoon shukraguzaar.

Ye safar tayy karna mumkin hee nahin Aapke saath ke bin
Tasalli hai ki meri rooh Aapse judi hai raat din
Phool hon ya hon kaante jeevan kee raahon mein
Mere kalyaan kee doar hai Aapki baahon mein.

Raahgeer hoon Aapke banaaye jahaan mein
Aapki mehar se sajaa hai har lamha meri daastaan mein
Aapke ashirwaad se ho rahe hain jeevan ke sabhi anubhav
Anandmayi hoga veh pal jismein hoga swaanubhav.

Ajanabi sa lagta hai jabb ye jahaan
Lekin zaroori hai paar karna har mukaam
Aapki maujoodagi is kadar banaati hai chalna aasaan
Ki andhere mein bhi raasta dikhaate hain Aapke kadmon ke nishan.

Chhaaye Aapki divyata kee mehek mere har mukaam ke gulistaan mein
Meri rooh kee manzil toh basee hai Aapke deedar mein
Aisee bhakti aur sumat bakhshiye, daata mere
Ki har din meri rooh aati rahe apni manzil ke
nede.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apni Manzil Ke Nede (04/08/2023)

Leave a comment