April 24, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1891
Adi Shankaracharya
788 isveen ke Vaisakh maas kee Shukla panchami ka din thaa itna shubh
Uss din aise bachche ne janam liya jo thaa Shivavatari
Itna mahaan, itna vinamr aur gyani
Jiska janam hua jagat ke liye kalyaankari.
Kaalaadi gaaon ka hua paawan naam
Bannkar Adi Shankaracharyaji ka janma sthaan
Pita Shivguru aur Unkee patni ne kee tapasya kathin aur nishthaavaan
Shivji ko prasann kar milee dhanya mata pita ko yeh santaan
Jinhe Mahadev ne diya sarvgun sampann honei ka vardaan
Shankar hua isliye Unka baalpan mein hee naam.
Panch varsh ke honei takk
Ho gaya Unhe shashtron, puraanon ka poorna gyan
Maanav ke roop mein divyata ke Ve thei Swaroop shuru se
Shivji kee kripa se milan hua Unka aagey chalkar Apne Guru se
Chhoti si umr mein paana chaaha Unhonei tattva gyan
Khojne chale maarg aur manzil yahaan vahaan.
Pita chal basey aur mata kee oar se Shankar par moh bhari mamta bahi
Jaante thei Shankar aur Unkee mata ki Unkee deerghaayu hogi nahin
Phir bhi baalak chaahte thei karna vairagya vyateet lekar sanyaas
Aakhir mata ne agya dee ki Ve kar lein mannchaaha prayaas.
Swami Govindpaad ka suna jo Unhonei naam
Utsuk Huey ki kahaan thaa in Mahayogi ka dhaam
Ek sanyaasi ne kaha Unse ki Ve jaayein Omkarnath jisey Vendoorya Mani Parvat bhi kaha jaata hai
Abb toh in baal sanyaasi se na raha gaya.
Aaye Ve Narmada nadi ke kinaare
Pahunche ek gufa ke dwaare
Jata dhaari yogi thei vahaan
Kar rahe thei tapp aur sadhna.
Vaheen se mila Govindpaad Swami ka pataa
Badh gayi Shankaracharya ji kee Unse milne kee vyakulta
Bahut hitkaari hua Shankar ka Unse saakshaatkaar
Guru ne shishya Shankar ko bheja Kashi nagar ke dwaar.
Manikarnika Ghat ke sameep kiya Unhonei Brahmasutra bhaashya ka lekh
Kashi mein huey Unhe Shivji aur Vyaas ji ke darshan
Unke kiye atma-prakash se tarne laga thaa abb takk sansaar
Vyaas ji ke aadesh par Unhonei shuru kiya advaitvaad ka prachaar.
Bhaarat desh ka kiya bhraman aur char matth kiye sthaapan
Brahmasutra ke alaawa anek aur granthon kee Unhonei rachna kee
Dharmik maanyata se Unhe maana jaata hai Shivji ke avatar
Kedarnath dhaam mein Unke maanav shareer ne choda yeh sansaar.
Bhaagyashaali hain hum Shivavatari Guruji ke bhaktjann
Kyunki Guruji ne bhi jagat kalyaan ke liye liya maanav janam
Maha gyani leela dhari maha parakrami Guruji pyaare
Shukrana Unkee mehar ka, jo bhakton ke Unhonei kaaj sanvaare.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Adi Shankaracharya (04/24/2023)