April 28, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1895
Bhatakte Bhatakte
Bhatakte bhatakte thakk raha hai tera mann
Idhar udhar kee soch se pecheeda ho raha hai tera jeevan
Guruji se guzaarish kar ki Ve bakhshein tujhe simran
Taaki santon kee vaani se goonje tere antas ka upvan.
Is upvan mein vikaaron ke aate rahe hain tufaan
Tu agyan vash raha hai is hakeekat se anjaan
Is upvan mein hoti rahi hai tark vitark kee aisee baad
Jis ne upvan kee shanti aur sundarta ko diya hai ujaad.
Baahar beshak ho din
Lekin tere antas mein hai jo andheri raat
Uska antt hoga aarambh simran kee shuruaat se
Tera kalyaan nishchit hai simran kee daat se.
Guruji Hain bahut hee meharbaan
Simran hotei hotei ho paayega tujhse dhyan
Dhyan dwaara praapt hoga tujhe jo param gyan
Uske prakash mein na rahega andhere ka koi bhi pramaan.
Tu prayaas rakh jaari
Aayegi tere mann ke shant honei kee baari
Pecheedepann ka ho jaayega khandan
Hota jaayega tere antas ka pavitrikaran
Bhatakna chod dega tera mann
Manobal badhta jaayega har kshan.
Vikaaron ke tufaan jaayenge thamm
Tu jaayega Guruji ke naam mein ramm
Guruji par ho jaayega jo tera vishwaas atoot
Toh tark vitark bhi jaayega chhoot.
Sweekriti hogi, hoga Guruji ko sab samarpan
Mann ko unmat na kar paayega koi bhi vikarshan
Tujhe milta rahega bakhshish ka dhan
Guruji kee mehar se sanvar jaayega tera janam maran.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Bhatakte Bhatakte (04/28/2023)