Abb Gawara Nahin (04/20/2023)

April 20, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1887

               Abb Gawara Nahin

Jabb gher leti hai niraasha kee nisha
Guruji dikhaate Hain asha kee disha
Is se pehle ki himmat lagey haarne
Guruji lagte Hain bhakt kop taarne.

Jabb sehat nahin deti hai saath
Guruji hee chalaate Hain thaam kar haath
Is se pehle ki khatm ho jaaye jeene kee ichcha
Guruji banaa dete Hain nazariye ko achcha.

Jabb priyajanon ke saath hota hai moh bhara vyavhaar
Guruji yaad dilaate Hain ki moh hai ek kamzori aur vikaar
Phir bhi is paash se nikalne ka na karein prayatn
Toh mann kee shanti ke liye karna padta hai aur bhi bada yatn.

Jabb ksheen honei lagta hai dheeraj
Guruji antarmann mein chitaraate Hain dhairya ka neeraj
Ehsaas dilaate Hain ki anivaarya hai rakhna is safar mein sabr
Aur atyant zaroori hai karna har pal Unka shukr.

Kyunki tarna shaayad mumkin na hota agar Unhonei hota pukaara nahin
Arzi hai Unse ki Ve angg sangg rahein, kyunki Unke saath ke bin guzaara nahin
Guzaarish hai ki Ve Apne haath se thaame bhakt ka haath, kyunki Unke haath ke bin sahaara nahin
Praarthana hai ki Ve barsaate rahein Apni mamta, Unke pyaar ke bin jeena abb gawara nahin.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Abb Gawara Nahin (04/20/2023)

Aapki Sharan Hai Sada Sukhdaayee (04/19/2023)

April 19, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1886

Aapki Sharan Hai Sada Sukhdaayee

Param poojya Guruji,

Aapke hukm mein rehne se ho bhakt ka kalyaan anokha
Aapki rehmat deti hai naye sirey se jeene ka mauka
Aapki mehar se ho paaye japp aur simran
Aapki nadar se aagey badhte hain kadam.

Aapke bulaave se bhakt aata hai Aapke dar par
Aapki daya se milta hai Aapke charan chhoone ka avsar
Aapka protsaahan deta hai sankat ka saamna karne kee shakti
Aapki prerna banti hai har paristhiti mein bhakti kee yukti.

Aapki inaayat se mushkil samaa jaata hai guzar
Aapke saath se suhaana ho jaata hai safar
Aapka pyaar antas ko pradaan karta hai nirmalta
Aapki mamta bakhshti hai hriday ko komalta.

Aapki mahima se sangat ko divya anubhav hotey hain
Aapke ashish ke amrit mein bhakt apne paap dhotey hain
Aapki mamta banti hai har marz kee aushadhi
Aapki kshamta pradaan karti hai shishya ko sumati.

Aapki guruyaayee duur karti hai agyan ka andhera
Aapka maargdarshan dikhaaye subuddhi ka savera
Aapki vadiyaayee karti hai saari sangat kee bhalaayee
Aapki sharan hai sada sukhdaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Sharan Hai Sada Sukhdaayee (04/19/2023)

Bhent Hogi Unse (04/18/2023)

April 18, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1885

                 Bhent Hogi Unse

Srishti ka sanatan strot
Srishti ke kann kann mein dhadakta hai nirantar
Har praani mein bhi
Uskee zindagaani mein bhi.

Vahee Hai Shiv, vahee hai shunya
Aur usee se hai sampoornata
Yeh stotra swayam mein hai paripoornata
Is stotra ko har saadhak hai dhoondhta.

Adhyaatmik raaste par hota hai
Is param sattaa ka anubhav anokha
MahaDev kee kripa se badhti hai sookshma drishti
Aur param gyan roopi ashirwaad kee honei lagti hai vrishti.

MahaDev ke avatar swayam aaye dharti par
Guruji Maharaj ka sundar sa roop lekar
Kalyuga mein maanav ko adhyatma ka raasta dikhaane
Karmakand aur paakhand se unhe duur karaane.

Apne adbhut, saral, rahasyamayi dhangg se
Bhakton ko Apne rangg mein rangg ke
Guruji bin pravachan ke pradaan karein asal gyan
Jiske dwaara jaagrit ho jaaye insaan.

Ye jaagriti nikhaarti hai antas kee aakriti
Guruji kee kripa se sashakt hoti hai antardrishti
Duur honei lagta hai bhayy
Mit jaata hai andhvishwaas aur har sanshay.

Guruji ke tareeke hain adbhut
Guruji Hain leela dhaari
Adhyaatmik unnati karaate Hain
Pyaare Guruji Shiv avatari.

Sabr aur shraddha kee saugat maangein Guruji se
Kyunki kuch lamhon ka nahin hai ye safar
Ho jaaye hamaare sanskaron par Guruji kee mehar
Toh Guruji ke simran aur dhyan se Unke diye gyan ka ho hum par asar.

Teevra hoti chalegi jo sookshma drishti
Aatmabodh hoga aur gyan kee hogi vrishti
Atma-saakshaatkaar dwaara bhent hogi Unse
Jinhonei sambhaali hai Apni rachi hui ye srishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bhent Hogi Unse (04/18/2023)

Atma Kee Yatra (04/17/2023)

April 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1884

                    Atma Kee Yatra

Chaaron oar thi barf safed
Apne mein samaaye huey na jaane kitne bhed
Phir bhi kitnee vimal aur bilkul swacch
Sthir, bedaag, bayaan karti hui sach.

Sooraj kee kirnon ke padne par
Aur bhi khil gaya barf ka noor
Chaadar kee bhanti phaili thi
Safed saundarya thaa paas aur duur.

Giree barf par ek chhoti si tehni
Jisne mitti kee poshak thi pehni
Phir hawaa ke prabhav se girne lagey mitti ke kuch aur kann
Barf aur bhi mayli hoti chali gayi har kshan
Barf par lagne lagey maano bhoore aur kaale se nishaan
Barf ke roop mein parivartan hua jis se shiksha milee mahaan.

Atma ka praakritik sahaj roop hai kitna pavitra
Bedaag hai atma ka antarjaat charitra
Bilkul uss barf kee tareh jo hoti hai bilkul saaf aur nirmal
Prakriti kee uss shunyata mein sthir aur vimal.

Lekin vikaar odhe huey karma hum praaniyon ke
Samay kee hawaa se badhte jaate hain
Ve atma par daag ke bann jaate hain kaaran
Daag badhte jaate hain hamaare agyan kee vajeh se
Aur mushkil hota jaata hai janam maran ke bandhan ka nivaaran.

Lamba hota jaata hai atma ka safar
Veh dhoondhti hai Paramatama se milan ka avsar
Kyunki ye atma kee mukti kee yukti hai
Iske intazaar mein atma kee rug rug dukhti hai.

Guruji kee mehar se humse ho paaye simran
Aur jaisa Guruji chaahein, kar paayein hum vaisa dhyan
Hamaare vichaar aur karmon ko prerit karta rahe
Guruji ka chaaha gyan.

Hota rahe hamaare antas ka pavitrikaran Guruji kee mehar se
Mit-te rahein Unkee kripa se daag jo lagey hain atma par
Guruji kee dikhaayee disha mein badhte rahein hum
Taaki atma ko mil paaye Paramatama ka dar.

Guruji kee kripa se ek din aayegi veh bela
Jabb atma ka roop hoga naya navela
Bedaag hogi, bilkul pavitra
Mitt chuka hoga har nishaan apavitra
Paramatama mein atma samaayegi
Aur atma kee yaatra safal ho jaayegi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma Kee Yatra (04/17/2023)

Pyaar Bhari Pukaar (04/16/2023)

April 16, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1883

                Pyaar Bhari Pukaar

Agar manzil takk pahunchne kee hai tujhe chaah
Toh tayy karni hogi poori raah
Isliye kaayam rakh apna utsaah
Aur poori tareh se tyaag de daah.

Varna maansik kasht tujhe hee sehna padega
Aur phir kaise tu adhyatma kee seedhiyan chadhega?
In seedhiyon kee chadhaayee itnee aasaan nahin
Kintu namumkin bhi nahin
Isliye nek neeyat se Guruji ke dikhaaye raaste par chal
Taaki pahunch jaaye tu vaheen.

Sadbhavna aur sehejta se sajaa sadhna
Akhandata se karta chal Guruvar kee aradhana
Unkee mehar se hota rahega japp aur simran jo le jaayega tujhe dhyan mein
Guruji kee kripa se nikhaar aayega tere dwaara kee gayi bhakti aur tere gyan mein.

Moh bhi banega teri adhyatmik raah mein rukavat
Isliye anaasakt pyaar kar chod kar moh mein padne kee chaahat
Moh aksar kaaran banta hai ahankar ka
Aur ahankar se aagaman hota hai agyan ke andhkaar ka.

Isliye Guruji kee dee prerna ko karta chal atmasaat
Na honei de apne jeevan mein andhkaar bhari raat
Guruji se vintee kar ki tujhe kabhi na ho apni unnati par ghamand
Aur Unkee mehar se tere antas mein Unke naam kee jyot jaley akhand.

Tu oordhva gati kee seedhiyan chadh
Adhyaatmik raah par aagey badh
Tujh par baras rahi hai Guruji kee preet aparampaar
Teri manzil de rahi hai tujhe pyaar bhari pukaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaar Bhari Pukaar (04/16/2023)

Shukrana Aur Kshama (04/15/2023)

April 15, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1882

           Shukrana Aur Kshama

Param poojya Guruji,

Beshak zindagi mein hai kabhi khushi kabhi gumm
Lekin shukrana ka hamaara bhaav na honei paaye kumm
Jabb takk saanson mein hai dumm
Aapka shukrana karta rahe ye mann.

Mumkin hai ki mauke aate rahenge kaafi
Lekin phir bhi jabb jabb ho sakey maang lein Aapse maafi
Kyunki jaane anjaane mein aagey bhi ho sakti hai gustaakhi
Aur tabb na jaane kitnee saansein reh jaayengi baaki.

Guruji, bakhshte rahiyega aisee subuddhi
Ki har pehar karte rahein Aapki mehar se apne antas kee shuddhi
Aapka shukrana karna yaad rahe sada
Aur neeveen hoti chale kshama maangne ke sanskaar kee adaa.

Aapne panah dee hai Apne komal kamal charan mein
Ye ehsaan kabhi na bhoolein hum kisee bhi janam mein
Nek neeyat koshish karein ki hamaare kisee bhi karma se Aapko na ho dukh
Aapko prasann rakhein bannkar hum Gurumukh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shukrana Aur Kshama (04/15/2023)

Guruji Ke Charnon Mein (04/14/2023)

April 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1881

             Guruji Ke Charnon Mein

Bheetar thaa agyan ka timir
Baahar thaa andhera
Raahi soch raha thaa mann hee mann
Ki kab hoga bheetar aur baahar savera.

Kayi janmon se safar thaa jaari
Savere kee na aa rahi thi baari
Andhera banaa hua thaa ek beemaari
Jo rok raha thaa aagey badhne kee tayyaari.

Pahuncha veh saagar ke kinaare
Dekh raha thaa har leher ko
Taras raha thaa mann hee mann
Ki oopar wale kee mehar ho.

Kaheen duur se aayi bhajan kee awaaz
Bahut meetha lagaa raahi ko veh saaz
Samajh na aaya usey mithaas ke raaz
Lekin honei lagaa usey adbhut raahat ka ehsaas.

Shant honei lagaa uska mann
Maalum na chala usey ki beet gaye itne kshan
Mann uss bhajan mein gaya ramm
Raahi hua uskee dhun mein magan.

Bhajan mein baar baar aa raha thaa Shivji ka naam
Usey ek khushboo aayi aur ruhaaniyat se mehek gayi uskee shaam
Usey ehsaas hua ki aaya hai kisee divya shakti ka paigaam
Veh bhajan kee awaaz kee oar chal padaa maano jaa raha ho kisee teerath dham.

Ek bahut sundar Swaroop dekha usne vahaan
Kuch jann bhi baithey thei vahaan
Shivji aur Guru Nanak Dev ji ke bhi swaroop thei vahaan
Aur thaa ek sundar sa aasan jis par pehle toh usey koi na dikha virajmaan.

Veh chup hokar baith gaya udhar uss kshan
Swaroop mein sajey chehre kee oar hua usey bahut aakarshan
‘Ye Guruji Hain,’ usey bataane lagaa vahaan baitha ek jann
‘Shivji ke avatar Hain ye, aur yahaan hua hai Unka satsang.’

Uss bhakt jann ka itna kehna thaa
Ki ek sangat ne raahi ko diya langar aur jal prasad
Saath hee Guruji ke prasad kee mahima sunaayee
Aur Guruji ne Apni kripa se raahi ko Apni leela dikhaayee.

Guruji ke aasan se ek roshni kee kiran
Seedhi gayi raahi kee oar
Raahi kee aankhon ko roshni lagi anokhi aur shaktishali
Ek nayi oorja se jeevit ho gayi uske mann ke upvan kee har daali.

Guru kripa se savera hua mann ke upvan mein
Usey lagaa ki andhera buss ajanabi hai abb jeevan mein
Usne Guruji ke charnon mein sees jhukaaya
Aur veh Guruji ke Swaroop ko dekhkar muskuraaya.

Uska yeh anubhav thaa akalpaneeya
Jal gaye uske bheetar divyata ke bujhe deeye
Usey jeevan ka uddeshya gaya mil
Ullaas se harshaaya uska dil.

Duur hui raahi ke bheetar aur baahar kee nisha
Mil gayi usey Guruji ke charnon mein disha
Jaise khila raahi ka naseeb, vaise hee sabki kismat chamak jaaye
Har bhatke huey musaafir ko Guruji ke charnon mein manzil mil jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Charnon Mein (04/14/2023)

Aayi Baisakhi (04/13/2023)

April 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1880

                 Aayi Baisakhi

Kalgidhar wale Sarbansadaani
Lekhak, anekon hunar wale gyani
Vinamr swabhaav ke swaabhimaani
Guru Gobind Singh Ji kee zindagaani
Laaye dil mein prerna
Jagaaye bheetar kee chetna
Insaaniyat ka dharma achche se nibhaane kee
Nazar andaaz kar ke bhautik daud zamaane kee.

1699 ka saal banaa yaadgaar
Shri Guru Gobind Singh Ji kee prerna se panch pyaare huey sees katvaane ke liye tayyaar
Dusvein Guru unke bhaav se Huey prasann atyant
Aur tabhi se Guru ne shuru kiya Khalsa Panth.

Balidaan diya apne parivaar ka
Guru Gobind Singh Ji ne maanav jaati ke liye
Mughalon ke khilaaf Unhonei uthaayee buland aawaaz
Aur nirdhan janon ko diya suraksha ka ehsaas.

Aaj Baisakhi ke shubh avsar par
Guru Gobind Singh Ji aur anya Guruon ko yaad kar
Kyun na badhaayein hum sab apni chetna kee oonchaayee
Aur saraahein Guruon kee vaddi vadiyaayee.

Rabi kee fasal ka pakna ho safal
Katni shuru hui hai kheton mein fasal
Baisakhi aayi ek baar phir
Bannkar naye varsh ka roop
Karmon kee fasal ko nikhaarne kee koshish mein
Guru kripa se bhavishya mein sabke karmon ke beej hon anoop.

Guruji kee sangat ko
Baisakhi par bahut bahut badhaayi aur pyaar
Guruji ke ashish se sabhi bhakton ka
Sukhi rahe ghar parivaar.

Guruji ke naam kee jyot akhand
Sada jalti rahe antas ke bheetar
Guruji ke satsang sunein aur sunaayein
Har satsang hai Unke ashirwaad praapt karne ka avsar.

Guruji ka dhanyawaad baarambaar
Guruji kee mehar se khushiyan laaye har tyohaar
Khushkismat hai har veh praani jis par Guruji daalein Apni drishti
Guruji ke ashirwaad kee vrishti mein bheegti rahe yeh srishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aayi Baisakhi (04/13/2023)

Guruon Kee Baani (04/12/2023)

April 12, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1879

               Guruon Kee Baani

Nirmal nirmal
Guruon kee baani
Jeevan daayi aur ruhaani
Vyarth kee baaton se begaani.

Gyan ka khazaana hai Gurbani
Sanvaarti aayi hai anginat sangat kee zindagani
Ek Onkar ke mahatva par dete huey zor
Yaad dilaate huey ki Guru ne thaami hai bhakt ke jeevan kee doar
Gurbani dikhaaye raasta swayam mein sudhaar laane ka
Gurbani dikhaaye raasta apne bheetar jhank kar shanti paane ka.

Gurbani mein basein Guru aur Unka hukm mahatvapoorna
Gurbani mein basey prerna jaagriti poorna
Har tareh se kalyaankari hai Gurbani ka shravan aur manan
Guru kee rehmat se hee mumkin hai Gurbani ka simran.

Gurbani sunkar shaant ho paaye mann
Aur buddhi ho paaye sthir
Bahut anmol hai Gurbani ka simran
Aur is se antas mein badhta hai Guru ka chintan.

Shabad ka arth na bhi aaye samajh
Toh bhi uske spandan se mann sakta hai sulajh
Guruon kee mahima hai iska kaaran
Unkee kripa se shabad mein basee oorja banti hai kasht- nivaaran.

Aur jabb Guruji kee ho marzi
Toh Ve poori karein bhakt kee arzi
Shabad ke arth ko samajh paane kee
Aur shabad ke arth kee gehraayee mein jaane kee.

Guruji barsaate rahein sabhi bhakton par Apni aisee mehar
Ki bhakt Gurbani ka simran kar paayein har pehar
Kewal bhakt ke karne se aisa ho sakta nahin
Kyunki jo ho Guru kee kripa se, simran toh hai vahee.

Jaagtey huey ho simran
Sotey huey bhi bheetar chale simran
Har shabad hai anmol divya dhan
Jis se nikhar jaata hai bhakt ka jeevan.

Gurbani ka prabhaav hai aparampaar
Jo bhakton ko Guruji ke aur bhi kareeb laaya
Guruji ka dhanyawaad
Ki Unhonei Gurbani ka ruhaani raasta hai dikhaaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruon Kee Baani (04/12/2023)

Ashirwaad Bharpoor (04/11/2023)

April 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1878

Ashirwaad Bharpoor

Saanson ka bharosa nahin
Kabb thamm kar ruk jaayein
Kyun na apni galatiyon ke liye kshama maangne ke liye
Aaj nahin, balki abhi hee Maalik ke charnon mein jhuk jaayein.

Kewal tann se nahin, balki mann se jhukein
Jis galati ka maalum ho, usey dobara karne se rukein
Aur jin sainkdon galatiyon ka ehsaas hee nahin hua aaj takk
Guruji se sumat maangein taaki unn galatiyon ko dohara kar na jaayein bhatak.

Guruji toh Hain atyant dayaavaan
Aur Unhe hamaari har galati kee hai poori pehchaan
Unke dwaara kiye maargdarshan mein Hamaara hai sampoorna kalyaan
Hum lene wale toh banein
Ve toh meharbaan hokar karenge hamein gyan pradaan.

Gyan grahan kar paane ke liye karna hoga swayam ko tayyaar
Kayi bhakt janon ka aisa karne par ho gaya Guruji kee mehar se beda paar
Sabhi hain safar ke bhinn bhinn moad par
Lekin sabhi kee baari awashya aayegi koshish karne par
Aur jabb Guruji ke diye gyan se antas hoga prakashit
Toh har sanshay mitt jaayega aur ho jaayega hitt.

Guruji kee kripa se is uddeshya kee poorti hogi zaroor
Param gyan kee praapti laayegi atma par noor
Atma aur Paramatama na rahenge pehle jaise ek doosre se utna duur
Bhakt par barsega Guruji ka ashirwaad bharpoor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ashirwaad Bharpoor (04/11/2023)