Tu Apne Bheetar Dekh (05/31/2023)

May 31, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1928

            Tu Apne Bheetar Dekh

Tu apne bheetar dekh
Guruji dekh rahe Hain tere lekh
Dobara likh sakte Hain
Kalyaan karte nahin thakte Hain
Tere bheetar Ve sada virajmaan Hain
Guruji karunanidhaan Hain.

Na ho tu udaas
Na ho tu niraash
Guruji Hain tere aaspaas
Aaj bhi Unke liye har bhakt hai khaas.

Teri har bhavna kee
Teri har kaamna kee
Unhe poori khabar hai
Tujh par Unkee be-antt mehar-e-nazar hai.

Unkee divya anokhi anupam khushboo
Jabb jabb leti hai tere antas ko chhoo
Tabb tabb usey mehsoos kar paati hai teri rooh
Kitna khushnaseeb hai tu.

Unka aanchal vaatsalya kee komalta se hai paripoorna sada
Tu na bhi nibhaaye toh bhi Ve sada nibhaayenge wafa
Unhe aati hai agochar rehkar bhi vidyamaan rehne kee ada
Tu seekh le raazi rehna usmein, jis mein ho Unkee raza.

Karta chal Unka vandan
Karta chal Unka chintan
Tere angg sangg Hain Ve aur Unka spandan
Sanvar raha hai tera jeevan.

Ve Hain tere Guru, nath, shikshak, bandhu, aur meet
Teri har haar aur jeet mein barsaate aaye Hain tujh par preet
Jaante Hain Ve tera vartmaan, bhavishya, aur ateet
Aaj takk nibhaate aaye Hain Ve Guruyaayee kee reet
Aagey bhi awashya nibhaayenge
Ve kabhi bhi tujhe chod kar na jaayenge.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Tu Apne Bheetar Dekh (05/31/2023)

Unke Charnon Mein Koti Koti Pranaam (05/30/2023)

May 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1927

Unke Charnon Mein Koti Koti Pranaam

Karte Hain jo sada bhakton par taras
Ashirwaad Jinka aaj takk raha hai baras
Dete Hain kitne roop mein sangat ko daras
Guruji Hain daya ka dhaam
Unke charnon mein koti koti pranaam.

Aaye khatm karne logon ka andhvishwaas
Bakhshne bhakton ko vehem aur ahem rahit shwaas
Karte Hain simran dhyan dwaara vikaaron ka vinaash
Guruji Hain taarne wale karunanidhaan
Unke charnon mein koti koti pranaam.

Shareer chod kar Unhonei sikhaaya
Ki aisa karne ka waqt sabke jeevan mein hai aaya
Atma amar hai, shareer nahin, Unhonei iske dwaara bataaya
Guruji Hain gyan kee khan
Unke charnon mein koti koti pranaam.

Kal bhi thei Ve aur Hain Ve aaj bhi
Aane wale kal mein Ve hongei yaheen
Deh chodi hai, par gaye Ve kaheen nahin
Guruji Hain sarvavyapi sarvshaktimaan
Unke charnon mein koti koti pranaam.

Unse karein fariyaad
Ki Unke daihik roop kee yaad
Unkee ruhaani maujoodagi se ho ek-roop
Unkee mehar se dhyan mein dikhe Unka divya jyotirmay swaroop
Guruji Hain antas mein vidyamaan
Unke charnon mein koti koti pranaam.

Atma ka rishta hai Unn Paramatama ke saath
Adhyaatmik safar mein ibadat kee seedhi taar dwaara hoti rahe Unse baat
Unhonei dee hai har bhakt ko seedhi taar se Unke sangg judne kee saugat
Guruji Hain nimaaniyon ke maan
Unke charnon mein koti koti pranaam.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Unke Charnon Mein Koti Koti Pranaam (05/30/2023)

Guruji Ka Naam Hai Amrit (05/29/2023)

May 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1926

         Guruji Ka Naam Hai Amrit

Guruji ka naam hai amrit
Iske nirantar paan se hota rahega hitt
Iske dwaara raaste par aa jaayega chanchal chitt
Anekon duvidhaaein jaayengi mitt
Har baar jo simroge Guruji ka tum naam
Toh naam ke amrit kee har boond taarti jaayegi tumhaare praan.

Naam ke amrit kee sheetalta se milegi mann ko shanti
Naam ke amrit kee oorja se chhaayegi antas mein kanti
Yahee laayegi charitra aur chehre par divya noor
Jis se bheetar aur baahar ke andhere hongei duur.

Naam ka amrit hai jitna nirmal
Is amrit ka ashirwaad hai utna hee komal
Bhakt ka jeevan is se sanvarta jaata hai
Aur bhakt ka bhaav nikharta jaata hai.

Ye veh aushadhi hai jiska asar hota hai sada achcha
Is amrit ka suras hai shuddh aur sachcha
Ismein koi anuchit sammishran nahin hai
Ismein jo bhi ashish hai, veh bhakt ke liye bilkul sahi hai.

Guruji ke naam ka amrit karey bhakt ko gyan pradaan
Guruji ke naam ka amrit mitaaye bhakt ka abhimaan
Guruji ke naam ka amrit har tareh se karta hai kalyaan
Guruji ke naam ke amrit ka sada karo sammaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Guruji Ka Naam Hai Amrit (05/29/2023)

Jeevan Kee Naiya Mein Savaar (05/28/2023)

May 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1925

       Jeevan Kee Naiya Mein Savaar

Guruji, mere sundar sarkar
Mai jeevan kee naiya mein savaar
Karti hui divya inaayat ka intazaar
Pahunchi hoon Aapke dwaar.

Aapka pyaar hai meri naiya kee pavitra patvaar
Aap Hain khivaiya, lekar jaane wale uss paar
Chaahe aayein shant leherein ya phir tufaan dushvaar
Aapne hee karna hai har haalaat mein uddhaar.

Aur kisee ka dwaar kyun mai khatakhataaoon
Mai toh Aap par sab chodti jaaoon
Bharosa daan deejiye aisa ki atal reh paaoon
Saboori daan deejiye aisa ki dheeraj na haar jaaoon.

Naiya kaise dolegi
Leher kya kya bolegi
Manzil kab kiskee ho legi
Ye toh kewal Aap hee jaanein.

Vayu kaise badalegi rukh
Kab hoongi mai antarmukh
Kaise katenge kasht aur dukh
Aapke alawa koi na jaane.

Aapki kripa se
Bin ghabraaye naiya mein hoon savaar
Aapki mehar ke liye
Aapka dhanyawaad karti jaaoon baarambaar.

Patvaar hai itnee pavitra
Khivaiya ka hai sarvottam charitra
Aap khivaiya Hain swayam Mahadev roopi avatar
Karunanidhaan Hain Aap, kalyaan karta kartar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Jeevan Kee Naiya Mein Savaar (05/28/2023)

Khoj Hogi Safal (05/27/2023)

May 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1924

      Khoj Hogi Safal

Suna hai drishtant anekon baar
Ki cheez kaheen gumee thi, kintu usey jann dhoondh raha hai kaheen aur
Roshni vahaan nahin jahaan cheez gumee
Ye spasht karey ki bheetar gyan kee hai kamee.

Yathochit sthaan par khoj nahin karta jann naadaan
Phir mann hota hai vyakul, pareshaan
Apni niyati ko, aur doojon ko deta hai dosh
Bin jaane ki asal mein veh khud hai behosh.

Khoya hai humne swayam ko
Aur dhoondhte hain hum usey idhar udhar
Kyunki gyan kee kamee hai swayam ke bheetar
Sookh chuka hai bheetar ke gyan ka seekar.

Hum yadi chaahein toh awashya hai iska upaay
Samaadhaan mein Guruji sada hotey Hain sahaay
Unkee mehar se mann ka bartan agyan ke kachde se khali ho jaaye
Taaki mann mein gyan ka ujjwal saagar jaaye samaaye.

Mann ko khali karne ke liye zaroori hai prayaas
Simran dhaarana dhyan ka
Taaki mann mein prakash ho
Shuddh viveki gyan ka.

Vikaaron ko hona hoga khatam
Aur na lena hoga dobara janam
Tayyaar hota jaayega mann roopi bartan
Guruji kee mehar se bharne lagega usmein gyan ka dhan.

Gyan dhan ke seekar ke bharte bharte
Guruji har duvidha ko harte harte
Bakhsh denge gyan ka saagar gehra
Jiskee akhandata par Ve swayam denge pehra.

Koshish karein har pal
Toh behoshi jaayegi tal
Aaj nahin toh kal
Khoj hogi safal.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Aaj Ka Suvichaar Audio 2023-05-2023

Aapke Shukrana Mein (05/26/2023)

May 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1923

             Aapke Shukrana Mein

Naam ka dhan batorte huey
Moh maya se muh modte huey
Bann jaaoon asal mein dhanwaan
Aisee karuna keejiye Guruji meharbaan.

Ye bilkul nahin aasaan
Bin Aapki mehar ke, aye karunanidhaan
Mere bheetar hai itna agyaan
Ki mai hoon mool tattva se anjaan.

Aap hee Hain mere rahnuma
Jaanti hoon Aap kabhi saath na chodenge
Mai chaahe kitne bhi mushkil daur se guzaroon
Jaanti hoon Aap kabhi muh na modenge.

Aapka dar hai MahaShiv ka dar sarvottam
Aapka paraakram hai mahantam
Mujhe kisee aur ke dar jaana na soojhe
Aapki mehar se Aapka akhand aasra hai mujhe.

Suna thaa ki Guru hee kaam aata hai
Jaana ki yeh vakya poorna satya bataata hai
Aapne sweekaara mujhe, mera antas muskuraata hai
Mera roam roam Aapke shukrana mein jhuk jaata hai.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Aapke Shukrana Mein (05/26/2023)

Sudhar Jaaye Ye Jeevan (05/25/2023)

May 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1922

           Sudhar Jaaye Ye Jeevan

Chetna kee jaagrit tarang
Prerna kee aviral (เค…เคตเคฟเคฐเคฒ) paawan umang
Guruji, bakhsh deejiye aisee tarang aur umang
Taaki ekaagrata na ho bhangg.

Ruhaani jyot rahe prajwalit
Gyan kee jigyaasa ho prabal
Bhakti ka noor rahe ujjwal
Vyarth na jaaye jeevan ka koi pal.

Raah dikha deejiye
Uspar chalna sikha deejiye
Apne se jodei rakhiye
Galatiyon ko kripa kar bakhshiye.

Yaad rahe hamein ki hamaari peshi hogi zameer kee adalat mein
Aap koi kasar na chodenge hamaare liye wakalat mein
Kintu kuch phal toh hoga bhugatna apne karam ka
Taaki paalan kar paayein karam ke dharam ka.

Agyaan ka timir mitaayiye
Hum par vikaaron kee jo dhool hai, usey hataayiye
Niswaarth sewa aur bhakti karna sikhaayiye
Apni karuna barsaayiye
Gurbani mein doob jaaye tann mann aur atma ka kann kann
Aapki mehar se sudhar jaaye ye jeevan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Sudhar Jaaye Ye Jeevan (05/25/2023)

Mahadev Ke Mahaan Avatar (05/24/2023)

May 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1921

     Mahadev Ke Mahaan Avatar

Mahadev ek
Unke roop anek
Har roop ka hai apna mahatva
Har roop ka hai apna kartavya
Mahadev Trikaal darshi jaanein har roop kee niyati
Mahadev ke ashirwaad se har roop paaye gati
Chaahe ho mrityu ya miley jeevan daan
Mahadev kee bhakti karey sabhi ka kalyaan.

Mahadev ke ati sundar roop
Mahadev ke mahaan avatar
Bashar bannkar aaye
Taarne ye sansaar
Guruji ke pyaare roop mein
Chhaaon dene is kalyuga kee dhoop mein
Apne ashirwaad dwaara
Apne prasad dwaara.

Guruji Hain sabka sahaara
Guruji Hain sabke jeevan kee naiya ka kinaara
Unkee suraksha miley toh koi na rahe bechaara
Unkee kripa se hee gagan mein timtimaata hai har tara.

Unkee rehmatein anek
Unke charnon mein matha tek
Unka bhakt pratyek
Unmein Parbrahm paaye dekh.

Guruji ka shukriya baarambaar
Ki Ve har bhakt ko dete Hain pyaar
Unke pyaar mein ashirwaad milte hain kayi hazaar
Kalyaan hota hai uska jisey Ve bulaate Hain apne dwaar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Mahadev Ke Mahaan Avatar (05/24/2023)

Aisa Manobal Dekh Kar (05/23/2023)

May 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1920

            Aisa Manobal Dekh Kar

Guruji jaante Hain hamaara har raaz
Phir bhi hamein samarpan se kyun hota hai aitraaz
Shaayad itnee prabhaavshali hoti hai ahankar kee awaaz
Ki nirbal mann maan leta hai uss awaaz ka saaz.

Mann agar ho nirbal, toh aisee awaaz hoti hai uss-se adhik prabal
Isliye aawashyak hai badhaana swayam ka manobal
Ye bikta nahin kisee baazaar mein
Ye basta nahin ahankar mein.

Iske liye zaroori hai vyaktigat vikas
Jismein shaamil hai atma-chintan ka prayaas
Dhyan bhi badhta rahe karte huey simran ka abhyaas
Atma-parichay dwaara badhta hai atma-vishwaas.

Swayam kee kamzoriyon aur kshamtaon kee hoti hai pehchaan
Kamzoriyon par vijay paana ho jaata hai aasaan
Kshamtaa aur hunar nikharna hota hai swayam ke niyantran mein
Aur apne prati heen bhavna kumm honei lagti hai jeevan mein.

Kumm hotey jaate hain manovikaar
Manobal ke badhne se neevan hota hai vyavhaar
Mushkil ke dauran bhi banee rehti hai himmat
Doojon kee niswaarth madad kee bhi hoti hai taakat.

Aur jabb atma-vishwaas ke sangg ho apne aradhya par poorna vishwaas
Toh nishchay hee Guruji safal karte hain bhakt kee kalyaankari aas
Guru Govind ke hukm ko maan-na pehle se saral ho jaata hai
Samarpan kar ke paristhitiyon ka saamna karna mumkin ho paata hai.

Gilah-shikva hota jaata hai kumm
Aate jaate mausam kee tareh lagta hai gumm
Mann nahin maanta paraajay
Aur duur hota hai bhayy.

Shraddha aur swabhiman
Karte hain ek anokhi oorja pradaan
Guruji ke ashirwaad se praapt hota hai nutan gyan
Bhakt ka aisa manobal dekh kar bhakt par prasann hotey Hain Guruji meharbaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Aisa Manobal Dekh Kar (05/23/2023)

Guruji Ke Kamal Charan Mein Sharan (05/22/2023)

May 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1919

Guruji Ke Kamal Charan Mein Sharan

Mil gayi jo Guruji ke kamal charan mein sharan
Toh vyarth laagey swarg ya moksh paane kee ichcha
Kyunki Guruji kee sharan hai sthaan sabse achcha
Aur Guruji kee marzi kab kahaan jaaye Unka har bachcha.

Agar baar baar hona hai janam maran
Toh bhi sabse uttam hai Guruji kee sharan
Kab Gurujฤซ karenge janam maran ke chakkar ka haran
Ve hee lenge iska nishchay dekh kar hamaare karam.

Guruji ke kamal charan kee sharan
Guruji kee kripa se yaheen juda rahe mann
Milta rahe Unke charnon ke amrit ko peene ka avsar
Koi aawashyakta hee nahin hai bhatakne kee dar dar.

Guruji ke charnon mein hai adhyaatmik aarohan kee yathaarth yukti
Guruji ke charnon mein samarpit ho Unke bhakt kee bhakti
Guruji ke kamal charan kee sharan mein hee hai swarg
Yaheen hai veh madhur milan jiske parinaamswaroop milegi mukti.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Guruji Ke Kamal Charan Mein Sharan (05/22/2023)