May 1, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1898
Dhanya Hua Mera Yeh Jeevan
Dhanya hua mera yeh jeevan
Guruji kee sharan jo milee
Unkee kripa ne Apna naam aur simran bakhsh kar
Mere odhne ke liye aisee chaadar silee
Jo mere liye suraksha kavach gayi bann
Jiske dwaara sanrakshit hua tann aur antakaran.
Zamaane ka vaig dikhaata hai raasta dehbhan ka
Aur Guruji ka pyaar dikhaata hai raasta dehee-abhimaan ka
Guruji kee sharan mein aisa parivartit hua hai jeevan
Maano ek adbhut se safar par chal pada hai antarmann.
Guruji ne sewa aur simran hai bakhsha
Kee hai har museebat se raksha
Laaparwahi honei lagey toh kar dete Hain satark
Sikhaate Hain ki bhakti mein na chale koi tark vitark.
Guruji kee dee prerna se badhta jaaye yeh prayaas
Ki bhakti mein shraddha aur vishwaas ka sada rahe vaas
Meri jis soch se Guruji na hon prasann
Vaisi soch kabhi na soche mera mann.
Bade sukhdaayee Hain Guruji ke kamal charan
Jahaan sees jhuka kar hua anginat duvidhaaon ka haran
Anmol hai Guruji ka har vachan
Unkee baaton ka sada rahe smaran
Unke dikhaaye raaste ka kar paaoon anusaran
Taaki swayam mein la paaoon sudhaar
Aur Guruji kee mehar se ho mera uddhaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Dhanya Hua Mera Yeh Jeevan (05/01/2023)