Raah Dikha Deejiye (05/07/2023)

May 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1904

 Raah Dikha Deejiye

Param poojya Guruji, raah dikha deejiye
Apni kripa se uspar mujhe chalaa deejiye
Sumat bakhshiye taaki bhatak na jaaoon
Himmat bakhshiye taaki thakk na jaaoon.

Vishwaas deejiye aisa ki kabhi na dagamagaaoon
Avinashi dhan bakhshiye jisey mai baant paaoon
Buddhi deejiye aisee ki shuddhi kee oar badhti jaaoon
Jigyaasa deejiye aisee ki gyan kee seedhi chadhti jaaoon.

Aapki kripa se ahankar aur har vikaar ko duur bhagaaoon
Kiya hai unhonei aakraman mann par, Unkee daasi na bann jaaoon
Jitna bheetar jaana chaahti hoon, utna jaa nahin paaoon
Meri bhakti mein hee kamee hogi, ashish dein ki unn kamiyon ko duur kar paaoon.

Aapki rehmaton ke anubhav sunoon aur sunaaoon
Aapki mahima ka gungaan karti jaaoon
Har pal Aapke charnon mein mann se aur bhi jhukti jaaoon
Aapko paane kee koshish mein apne aap
ko khoti jaaoon.

Aapko paane se hee safal hoga mera janam maran
Aapki mehar se ye satya mujhe sada rahe smaran
Aapke ashirwaad se Aapki sharan mein kar doon poorna samarpan
Aapko paakar Aapke charnon mein hee atma kee yatra ho sampann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Raah Dikha Deejiye (05/07/2023)

Leave a comment