May 16, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1913
Har Prayaas Ho Atal
Aap kee sharan milee hai jabb se, Guruji
Itne bhayy duur huey hain tabb se, Guruji
Jo prerna dhoondh rahi thi mai kabb se
Veh paayi mainey Aap mein basey Rabb se.
Mujhe Aap mein miley Hain Khuda
Na soch paaoon apne ko Aapse juda
Bakhshiye aisee ada
Ki Aapka naam japti rahoon sada.
Aap Hain kripa ke sindhu
Aap Hain nath aur bandhu
Aap Hain maalik meharbaan
Aap Hain Guru karunanidhaan.
Raksha keejiye sabke ghar parivaar kee
Raksha keejiye saare sansaar kee
Ye jo maada waqt hai aaya
Ismein kitnon ne kitna kuch hai ganvaaya.
Kewal kusoorvaaron ka nahin, apitu bekusooron ka bhi aahat hua hai jeevan
Is kalyuga ke bhanvar mein hui hai itnee peeda utpann
Aapke hukm se haalaat badal sakte hain isee kshan
Aapki mehar ka mohtaaj hai is jahaan ka har jann.
Aisee sumat deejiye ki sabhi saamanjasya kee oar badhein
Aisee chetna jagaayiye ki sabhi adhyaatmik seedhiyan chadhein
Aisee mohabbat ujaagar keejiye ki koi kisee se na ladey
Aisee ekta bakhshiye ki sabhi chunautiyon ka saamna karne ikatthe hon khade.
Aapki daya se pareeksha ke lamhe hotey hain safal
Aapki leela se daldal mein phansa hua jann bhi padta hai chal
Aapki karuna se sabka kalyaan hoga aaj nahin toh kal
Is atoot vishwaas ke sahaare hamaara har prayaas ho atal.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Har Prayaas Ho Atal (05/16/2023)