Aapki Bakhshish Se…. (05/18/2023)

May 18, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1915

         Aapki Bakhshish Se….

Param poojya Guruji Maharaj
Aap Hain murshid, Aap Hain sartaj
Aapse guzaarish kar rahi hoon aaj
Ki Aapki bakhshish se poora ho mera ye kaaj.

Jo sada japte rahein Aapka naam
Jo sada karein Aapki mahima ka gungaan
Bakhsh deejiye aise shwaas
Kuch bhi na samajh paaoon
Toh bhi Aapke hukm par chalti jaaoon
Bakhsh deejiye aisa vishwaas.

Aap dikhaayein jo raasta
Usee raaste se mai rakhoon vaasta
Bakhsh deejiye aisee ekaagrata
Baadhaaon se na ghabraaoon
Chunautiyon se na darr jaaoon
Bakhsh deejiye aisee nirbhayta.

Der bhi lagg rahi ho uddeshya poorti mein toh badhti jaaoon
Manzil kee oonchaayee ho zyada toh bhi chadhti jaaoon
Bakhsh deejiye aisee himmat
Intazaar karne ka ho mujh mein sabr
Har pal karoon Aapka shukr
Bakhsh deejiye aisee inaayat.

Aap jaisa chaahein mai vaisi bann jaaoon
Aapka diya hua har farz nibhaaoon
Bakhsh deejiye aisee prerna
Apni manovritti par rakh paaoon nigraani
Dhyan doon ki kahaan jaa rahi hai zindagaani
Bakhsh deejiye aisee chetna.

Agyan ke andhere mein dhoondh loon swayam ko
Vikaaron ke jaal se azad kar paaoon mann ko
Bakhsh deejiye aisee buddhi
Buraayee se rahoon duur
Achchaayee par chaloon zaroor
Bakhsh deejiye aisee shuddhi.

Jeevan kee kshan bhangurta ko sada rakhoon yaad
Aapke naam simran se har kshan rakh paaoon dil ko aabaad
Bakhsh deejiye aisee daat
Antas mein neevenpann ka ho bhandar
Doojon kee madad karne ke liye rahoon tayyaar
Bakhsh deejiye aisee saugat.

Jahaan Aapki meharbaaniyon ka stavan ho
Jahaan Aapki anugrahit Gurbani ka manan aur shravan ho
Bakhsh deejiye aise satsang
Jiske dwaara niswaarth sewa mein mera bhaav nikhar jaaye
Jismein leen hokar Aapki praapti ho paaye
Bakhsh deejiye aisa bhakti ka rangg.

Jahaan sheetalta aur chhaaon miltee rahe
Jahaan mere pyaar kee kali khiltee rahe
Bakhsh deejiye mujhe Apna veh aanchal
Jabb ruhaaniyat ka noor rahe
Jabb Aapke naam ka suroor rahe
Bakhsh deejiye aise anginat haseen pal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Bakhshish Se…. (05/18/2023)

Leave a comment